New Year mein jashn manana, uski mubarakbaad dena jaiz nahi


Ibnatu Ali

Member
new year mein jashn manana, uski mubarakbaad dena jaiz nahi

sawal :
naye eewsi saal ki ibtida (yani new year) mein musalman ek dosray ko mubarakbaad aur duayen day sakte hain? aur yeh baat wazeh hai ke musalman ek dosray ko naye saal ki mubarakbaad dete hue usey koi tehwaar samajh kar nahi dete?

jawab :
Alhumdulillah: musalmaano ke liye eewsi saal ki ibtida (new year) par ek dosrey ko mubarakbaad dena jaiz nahi hai, aur esi tarah us din tehwaar ki shakl mein jashnn manana bhi jaaiz nahi hai؛ kyunki har do soorat mein kuffar ki mushabihat payi jaati hai, aur hamein aisa karne se roka gaya hai. aap sallallahu alaihe wasallam ka farmaan hai :
.حَدَّثَنَا عُثْمَانُ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، حَدَّثَنَا أَبُو النَّضْرِ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ ثَابِتٍ، حَدَّثَنَا حَسَّانُ بْنُ عَطِيَّةَ، عَنْ أَبِي مُنِيبٍ الْجُرَشِيِّ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏"‏ مَنْ تَشَبَّهَ بِقَوْمٍ فَهُوَ مِنْهُمْ ‏"‏ ‏​
Ibn e Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: jo jis qoum ki mushabihat ikhtiyar kare woh unhin mein se hai.
(ABU DAUD HADITH 4031) is hadees ko allama albani ney "sahih abu daud" mein sahih qarar diya hai. aur waisey bhi har saal usi din ke aaney par mubarbaad dena hi usey "eid"[saal ke baad anay wala tehwar] bana deta hai, aur yeh bhi Shariat mein mana hai.
wallahuaalm.
Sheikh Saalih Al Munajjid
islamqa

ROMANISED BY: Siraj
 

Similar threads


Top