NABI sallallahu alaihi wasallam PAR JHOT BOLNE WALA JAHANNUM ME JAYEGA


NABI sallallahu alaihi wasallam PAR JHOT BOLNE WALA JAHANNUM ME JAYEGA
TAHREER : MUHADDIS-UL-ASR HAFIZ ZUBAIR ALI ZAI HAFIZAHULLAH
(Maah Naamah AL-HADIS Hazro, Shurmaarah No.38, page:2-3)
Roman Script : Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
((مَنْ يَقُلْ عَلَىَّ مَا لَمْ أَقُلْ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ))
"Jis shakhs ne mujh par aisee baat kahi jo maine nahi kahi to woh apna thikaanaa(jahannum ki) aag me banaa le."(Sahih Bukhari:109)

Irshaad-e-NABWI sallallahu alaihi wasallam hai ke:
((مَنْ رَوَى عَنِّي حَدِيثًا، وَهُوَ يَرَى أَنَّهُ كَذِبٌ، فَهُوَ أَحَدُ الْكَاذِبِينَ))
"Jis ne mujh se ek hadis bayaan ki aur wo jaanta hai ke ye riwaayat jhoti(meri taraf mansob) hai to ye shakhs jhoton me se ek yani KAZZAB hai."(Musnad Ali Bin Ja'ad:140. aur is ki sanad SAHIH hai. Sahih Muslim:1)

Mutawaatir ahadis se saabit haike RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam par jhot bolene wala shakhs jahannami hai. Is ke baawajod bahut se log din raat apni taqriron, tahriron aur aam guftago me jhoti, be asal aur mardod riwaayaten kasrat se bayaan karte rahte hain aur is silsie me Aale Taqleed kaafi nidar waqe howe hain balke yon kaha jaye ke in ki kitaben aur taqreeren jhoti riwaayaat ka palanda hain to ye mubaligha nah hoga, masalan Muhammed Zakariyah Kandahlwi Deobnadi likhte hain:

"Hazrat Abdullah Bin Abbas raziallahu-anhuma farmate hain ke ibteda me Huzor Aqdas raat ko jab namaaz keliye khade hote to apne ko kursi se baandh liya karte ke neend ke ghulbe se gir naa jayen. Is par:
﴿طٰهٰ مَا أَنْزَلْنَا عَلَيْكَ الْقُرْآنَ لِتَشْقَى﴾
naazil howi."(Fazayil-e-Namaaz, page:82 Tisra Baab, Hadis:8, Tableeghi Nisaab, page:398)

Zakariya Sahab ki bayaan kardah ye riwaayat "Taareekh Dimashq li-Ibn Asakar"(4/99-100) me
((عبدالوھاب بن مجاھد بن ابیه عن ابن عباس))
ki sanad se marwi hao.

Hakim Naishapori rahimahullah farmate hain:
((یروی عن ابیه احادیث موضوعة))

Abdul Wahhab Bin Mujahid apne baap se 'Muazo' hadisen bayaan karta tha.(Al-Mudkhil ila Al-Sahih, page:173)

Imam Ibn Mayeen rahimahullah ne kaha:
((لاشئ))
"wo koi cheez nahi hai".(Suwaalaat Ibn Junaid:264)

Imam Nasai rahimahullah ne kaha: 'Matrook-ul-Hadis'(Kitab-uz-Zuafa wa al-Matrokeen:375)

Imam Ali Bin Madini rahimahullah ne kaha:
((غیر ثقة ولا یکتب حدیثه))
"Woh Siqqah nahi hai aur uski hadis naa likhi jaye."(Suwaalaat Muhammed Bin Usmaan Bin Abi Shibah:125)

Hafiz Ibn Hajar rahimahullah ne kaha:
((متروک۔۔۔الخ))
(Taqreeb-ut-Tahzeeb:4263)

Aise sakht majroh raawi ki mauzo riwaayat awaam-un-naas ke saamne pesh kigai hai haalaanke is ke bar'aks Sahih riwaayat me aayaa hai ke NABIYE KAREEM sallallahu alahi wasallam ne ek rassi baandhi howi dekhi to pocha: ye kya (aur kisliye) hai? kaha gaya: ke ye ZAINAB raziallahu-anha keliye hai. Jab woh (ibaadat karte howe) thak jati hain to is se latak jati hain. AAP sallallahu alahi wasallam ne farmaya: aisaa naa karo, ise khol do, jab tak hashshaash bashshaash raho to namaaz padho aur jab thak jao to baith jao. (Sahih Bukhari:1150. Sahih Muslim:784)

RASOOLULLAH sallallahu alahi wasallam to ibaadat keliye rassi baandhne ke amal se mana farmarahe hain aur 'Zakariya Sahab' mazkorah mauzo riwaayat ke zariye se ye kahte hain ke "to apne ko rassi se baandh liya karte ke neend ke ghulbe se girnaa jayen"!!

Jhoti aur mradod riwaayaat malom karne ke kai tariqe hain masalan:
1)Riwaayat bayaan karne wala Kazzab aur Matrok ho.
2)Riwaayat be-sanad aur be-hawalah ho.
3)Muhaddiseen Kiraam ne riwaayat mazkorah ko mMauzo, Baatil aur Mardod waghairah qaraar diya howa hai agar cheh is ke raawi Siqqah o Sudoq hon aur sanad bazaahir Sahih ya Hasan malom hoti ho.

Yaad rakhen ke NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam par jhot bolne wala shskhs jahannum me jayega. Is wayeed-e-shadeed me AAP sallallahu alahi wasallam par jhot bolne wala aur AAP sallallahu ahaihi wasallam par jhot ko baghair tardeed ke aage logon tak pahunchane wala dono yaksaan shaamil shareek hain.

WAMA ALAINAA ILLAL BALAAGH
 

Top