Nafl Namaz padhne waale ke peeche Farz Namaz padhna


NASEER KHAN

New member
Assalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu

koi banda agar akela namaz padh raha ho. Farz, Sunnat ya fir Nafl aur pichey se koi mujhe hath se touch kar ke mera Saath namaz suru karde Fardz namaz samajh kaar to wo.banda kya kare?

Iska Jawab Mujhe Islamqa.com me English aur Arabic me Mila hy lekin Mere liye Samhajna Muskil hy. isliye Aap se Request hy ke Fatwa ko Roman Urdu me Transition kar ke Mujhe de๐Ÿ‘‡๐Ÿ‘‡๐Ÿ‘‡

 
Last edited:

Umar Asari

Administrator
Staff member
Assalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu

koi banda agar akela namaz padh raha ho. Farz, Sunnat ya fir Nafl aur pichey se koi mujhe hath se touch kar ke mera Saath namaz suru karde Fardz namaz samajh kaar to wo.banda kya kare?

Iska Jawab Mujhe Islamqa.com me English aur Arabic me Mila hy lekin Mere liye Samhajna Muskil hy. isliye Aap se Request hy ke Fatwa ko Roman Urdu me Transition kar ke Mujhe de๐Ÿ‘‡๐Ÿ‘‡๐Ÿ‘‡

Pehli baat:
Is mein koi harj nahi ki farz padhne waala nafl padhne waale ki iqtidaa mein namaz ada kare, yeh baat saabit hai ki Muโ€™aaz Radhiallahu Anhu Nabi e Akram ๏ทบ ki iqtidaa mein Isha ki namaz ada karte they aur us ke baad apni qaum ke paas jaate aur unhien Isha ki namaz padhaate they. Yeh Isha ki namaz un ke liye nafl hoti thi aur un ki qaum ke liye farz. Chunanche Jabir Radhiallahu Anhu farmate hain:
ูƒูŽุงู†ูŽ ู…ูุนูŽุงุฐูŒ ูŠูุตูŽู„ู‘ููŠ ู…ูŽุนูŽ ุงู„ู†ู‘ูŽุจููŠู‘ู ุตูŽู„ู‘ูŽู‰ ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ูˆูŽุณูŽู„ู‘ูŽู…ูŽุŒ ุซูู…ู‘ูŽ ูŠูŽุฃู’ุชููŠ ู‚ูŽูˆู’ู…ูŽู‡ู ููŽูŠูุตูŽู„ู‘ููŠ ุจูู‡ูู…ู’​
โ€œMuโ€™aaz Radhiallahu Anhu Nabi e Kareem ๏ทบ ke saath namaz padhte phir wapas aa kar apni qaum ko namaz padhaate they.โ€
(Sahih Bukhari: 711)

โ€ Imam Nawawi Rahimahullah farmate hain:
โ€œIs Hadees mein nafl padhne waale ke peeche farz ada karne waale ki namaz ke sahih hone ke jawaaz ka suboot milta hai. Kiunki Muโ€™aaz Radhiallahu Anhu Nabi ๏ทบ ke saath farz ada karte they to un se farz namaz saaqit ho jaati phir woh dobarah apni qaum ko namaz padhaate they jo un ke liye nafl hoti aur un ki qaum ke liye farz. Is tarah ki sarahat Sahih Muslim ke alawah doosri kitaabon mein bhi aayi hai aur yeh Imam Shafaโ€™ee aur doosron ke nazdeek jaaiz hai.โ€
(Sharah Muslim: 4/181)

Doosri baat:
Is mein (bhi) koi harj nahi ki musalli (namaz padhne waala) apni namaz akele shuru kare phir us ke saath (namaz mein) koi aur aa kar shaamil ho jaaye aur woh imam ban jaaye. Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma farmate hain:
ุจูุชู‘ู ุนูู†ู’ุฏูŽ ุฎูŽุงู„ูŽุชููŠ ููŽู‚ูŽุงู…ูŽ ุงู„ู†ู‘ูŽุจููŠู‘ู ุตูŽู„ู‘ูŽู‰ ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ูˆูŽุณูŽู„ู‘ูŽู…ูŽ ูŠูุตูŽู„ู‘ููŠ ู…ูู†ูŽ ุงู„ู„ู‘ูŽูŠู’ู„ูุŒ ููŽู‚ูู…ู’ุชู ุฃูุตูŽู„ู‘ููŠ ู…ูŽุนูŽู‡ูุŒ ููŽู‚ูู…ู’ุชู ุนูŽู†ู’ ูŠูŽุณูŽุงุฑูู‡ู ููŽุฃูŽุฎูŽุฐูŽ ุจูุฑูŽุฃู’ุณููŠ ููŽุฃูŽู‚ูŽุงู…ูŽู†ููŠ ุนูŽู†ู’ ูŠูŽู…ููŠู†ูู‡ู​
โ€œMain ne ek baar apni khaala Maimoona Radhiallahu Anha ke ghar raat guzaari. Nabi e Kareem ๏ทบ raat mein namaz padhne ke liye khade huwe to main bhi Aap (๏ทบ) ke saath namaz mein shareek ho gaya. Main Aap ๏ทบ ke baayen taraf khada ho gaya tha. Phir Aap ๏ทบ ne mera sar pakad ke daayen taraf kar diya.โ€
(Sahih Bukhari: 699)

โ€ Imam Bukhari Rahimahullah ne is Hadees par yeh baab baandha hai:
ุฅูุฐูŽุง ู„ูŽู…ู’ ูŠูŽู†ู’ูˆู ุงู„ุฅูู…ูŽุงู…ู ุฃูŽู†ู’ ูŠูŽุคูู…ู‘ูŽ ุซูู…ู‘ูŽ ุฌูŽุงุกูŽ ู‚ูŽูˆู’ู…ูŒ ููŽุฃูŽู…ู‘ูŽู‡ูู…ู’​
โ€œNamaz shuru karte waqt imamat ki niyat na ho, phir kuch log aa jayen aur woh un ki imamat karne lage (to kya hukm hai)?โ€

Aur Anas Radhiallahu Anhu se riwayat hai, woh farmate hain:
ูƒูŽุงู†ูŽ ุฑูŽุณููˆู„ู ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุตูŽู„ู‘ูŽู‰ ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ูˆูŽุณูŽู„ู‘ูŽู…ูŽ ูŠูุตูŽู„ู‘ููŠ ูููŠ ุฑูŽู…ูŽุถูŽุงู†ูŽุŒ ููŽุฌูุฆู’ุชูุŒ ููŽู‚ูู…ู’ุชู ุฅูู„ูŽู‰ ุฌูŽู†ู’ุจูู‡ูุŒ ูˆูŽุฌูŽุงุกูŽ ุฑูŽุฌูู„ูŒ ุขุฎูŽุฑูุŒ ููŽู‚ูŽุงู…ูŽ ุฃูŽูŠู’ุถู‹ุง ุญูŽุชู‘ูŽู‰ ูƒูู†ู‘ูŽุง ุฑูŽู‡ู’ุทู‹ุงุŒ ููŽู„ูŽู…ู‘ูŽุง ุญูŽุณู‘ูŽ ุงู„ู†ู‘ูŽุจููŠู‘ู ุตูŽู„ู‘ูŽู‰ ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ูˆูŽุณูŽู„ู‘ูŽู…ูŽ ุฃูŽู†ู‘ูŽุง ุฎูŽู„ู’ููŽู‡ูุ› ุฌูŽุนูŽู„ูŽ ูŠูŽุชูŽุฌูŽูˆู‘ูŽุฒู ูููŠ ุงู„ุตู‘ูŽู„ูŽุงุฉู​
โ€œRasoolullah ๏ทบ Ramadhan mein namaz padh rahe they to main aa kar Aap (๏ทบ) ke pehlu ki janib khada ho gaya, ek aur aadmi aaya woh bhi khada ho gaya, yahan tak ke hamari ek jamaโ€™at ban gayi. Jab Nabi e Kareem ๏ทบ ne mehsoos kiya ki main Aap ke peeche hun to Aap (๏ทบ) ne namaz mein takhfeef shuru kar di.......โ€
(Sahih Muslim: 1104)

Kuch ulama ne is (apni namaz akele shuru karne waale ka imam ban jaane) ke mutalliq kaha hai ki yeh nafl mein jaaiz hai farz mein nahi, lekin sahih baat yeh hai ki yeh farz aur nafl dono mein jaaiz hai.
โ€ Shaikh ul Islam Ibn e Taymiyah Rahimahullah farmate hain:
ูˆุงู„ุตุญูŠุญ ุฌูˆุงุฒ ุฐู„ูƒ ููŠ ุงู„ูุฑุถ ูˆุงู„ู†ูู„​
โ€œSahih baat yeh hai ki yeh farz aur nafl dono mein jaaiz hai.โ€
(Majmooโ€™ ul Fatawa: 22/258)

โ€ Aur Shaikh Ibn e Uthaymeen Rahimahullah farmate hain:
โ€œLekin sahih yeh hai ki yeh farz aur nafl dono mein sahih hai, jahan tak nafl (mein sahih hone) ka talluq hai to is silsile mein daleel maujood hai. Aur farz (mein is liye sahih hai) kiunki jo cheez nafl mein saabit hai woh farz mein bhi saabit hai illa (magar) yeh ki (us ke khilaaf) koi daleel ho.โ€
(Ash-Sharh ul Mumtiโ€™: 2/304)

Teesri baat:
Jab muqtadi kisi aise shakhs ke peeche namaz mein shaamil ho jo nafl namaz shuru kar chuka ho jaisa ki sawaal mein poochi gayi surat (situation) mein hai to imam ko ikhtiyaar hai ki woh chaahe to jehri padhe ya sirri. Albatta agar woh imam ki niyat se namaz ko shuru kare to jehri padhe jaisa ki Hadees e Muโ€™aaz is par daleel hai.
Wallahu Aโ€™lam.
 
Top