RAMAZAANUL MUBARAK KUCH AHAM SABAQ DETE HUE HAM SE RUKHSAT HO GAYA


RAMAZAANUL MUBARAK KUCH AHAM SABAQ DETE HUE HAM SE RUKHSAT HO GAYA(Corona Virus ke pasmanzar me)
Tahreer: Sheikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Islamic Dawah Center Taif, KSA
Romanised: Khadija Muhammadi

Jin Haalat Se Aaj Duniya Guzar Rahi Hai Unki Taarikh Raqam Hoti Ja Rahi Hai Aane Wali Nasle Hamari Taarikh Parhengi Aur Jaae Gi Ke Isme Unke Liye Bahut Kuch Asbaaq Paae Jate Hai Mumkin He Mustaqbil Behtar Banane Ke Liye Apni Islaah Bhi Kare. Un Naslo Ko Aane Me Abhi Waqt He Pehle Hame Yaha Se Guzarna Hoga Lekin Sawaal Hamare Liye Bhi Bahut Aham He Ke Ham Ne Raqam Hoti Hui Aaj Ki Taarikh Se Kiya Kuch Sikha Aur Sabaq Liya?

Ramazaan Aaya Aur Jaise Laga Lamho Me Ham Se Rukhsat Ho Gaya Magar Iski Barkate Saal Bhar Khatam Nahi Hoti Bashart Yah Ke Haasil Karne Walo Ne Maah e Khair Aur Falaah Se Waqai Sa'adat Aur Barkat Haasil Ki Ho Allah Ka Farmaan He:
قد أفلح من تزكى وذكر اسم ربه فصلى.(اعلى:١٤-١٥)
Tarjumah:- Beshak Usne Kaamiyabi Paai Jo Paak Ho Gaya Aur Jis Ne Apne Rab Ka Naam Yaad Rakha Aur Namaaz Parhta Raha.

Is Aayat Ki Tafseer Me Allama Ibne Kaseer RH Ne Likha He Ke Jis Ne Apne Nafs Ko Bure Akhlaaq Se Paak Kiya Jo Kuch Allah Ne Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam Par Naazil Kiya Uski Tabedari Ki Allah Ki Khushi Aur Uske Ahkaam Aur Shariat Ki Paasdaari Karte Hue Namaaz Ko Apne Waqto Par Qaim Kiya Woh Kaamiyaab Ho Gaya.
Is Aayat Ko Aayat E Siyaam Ke Lafz
لعلكم تتقون۔
Taaki Tum Parhezgaar Ban Sako. Se Jod Kar Dekhte Hai To Hame Maloom Hota He Ke Maah E Siyaam Aur Uski Ibaadate Moamino(Isme Naam Ke Musalmaan Daakhil Nahi He) Ko Gunaaho Se Paak Aur Aur Nafs Ko Parhezgaar Bana Deti Hai. Hame Allah Ki Bepaya Rehmato Se Ummid He Ke Is Maah Me Moamino Ki Magfirat Ho Gai Hogi Aur Ham Kaamiyaab Hone Walo Me Se Ho Jaaenge. In Sha Allah

Abhi Hamaari Magfirat Ho Gai Aur Ham Gunaaho Se Paak Ho Gae Lekin Yaad Rakhiye Masiyat Ka Irtikaab Karne Se Fir Ham Gunehgaar Aur Allah Ke Mujrim Ho Jaaenge Is Liye Apne Nafs Ko Paak Rakhna Aur Usi Tahaarat Aur Paakizgi Par Khud Ko Baqi Rehna Bahut Hi Aham Masala He Jo Aksar Ki Nazro Se Ojhal Hota He. Zara Gaur Farmaae Ke Allah Ne Kaamiyabi Ke Liye Kiya Kaha He? Allah Farmata He Ke Beshak Usne Falaah Paai Jo Paak Ho Gaya Aur Jis Ne Apne Rab Ka Naam Yaad Rakha Aur Namaaz Parhta Raha.

Yaha Namaaz Se Muraad 5 Waqt Namaazo Ko Apne Waqto Par Qaim Karna Aur Uski Muhafizat Karte Rehna He Jaisa Ke Mukhtalif Mufassereen Ne Is Aayat Ki Tafseer Me Zikar He. Matlab Yah Hua Ke Asal Kaamiyabi Uski He Jo Allah Ke Ahkaam Aur Shariat Ki Paasdaari Karta Aur Uski RAZA Ke Liye Hamesha Namaazo Ki Pabandi Karte Rehta He Kisi Khaas Mauqa Se Ibaadat Kar Lena Kamaal Nahi He Balke Sada Ibaadat Par Qaim Rehna Kamaal He Aur Yahi Matloob Moamin Bhi He Jaisa Ke Allah Ka Farmaan He:
فاستقم كما أمرت.(هود:١١٢)
Tarjumah:- Pas Ay Muhammad! Tum Aur Tumhare Woh Sathi Jo(Kufr Aur Bagaawat Se Imaan Aur Ta'at Ki Taraf)Palat Aae Hai Thik Thik Raahe Rasat Par Saabit Qadam Raho.

Yahi Baat Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Ek Mauqa Se Sawaal Karne Wale Sahaabi Sufiyaan Bin Abdullah RA Ko Bataai Jab Unhone Aap Se Sawaal Kiya Ke Mujhe Islaam Ki Ek Aysi Baat Batlaae Ke Fir Aap Ke Baad Kisi Se Uske Mutalliq Sawaal Na Karu To Aap Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
قل آمنت باللہ ثم استقم۔(صحیح مسلم:38)
Tarjumah:- Kaho Mera Rab Allah He Aur Usi Par Qaim Raho.

Is Liye Guzarte Hue Ramazaan Se Ek Aham Sabaq Yah Milta He Ke Bilashuba Ramazaan Guzar Gaya He Magar Allah Ka Zikar Baqi Uska Deen Aur Uski Ibaadat Baqi He, Ham Uski Hamd O Sana Karte Rahenge Uske Deen Par Chalte Rahenge Aur Uski Ibaadat Marte Dam Tak Karte Rahenge Jaisa Ke Farmaan E Ilaahi He:
واعبد ربک حتی یأتيك اليقين.(الحجر:٩٩)
Tarjumah:- Aur Apne Rab Ki Ibaadat Karte Rahe Yaha Tak Ke Aap Ko Maut Aa Jaae.

Corona Haalat Ki Wajah Se Ramazaanul Mubarak Me Masaajid Band Ho Jane Se Ham Sab Kabeeda Khaatir The Aaj Bhi Is Wajah Se Ham Me Maayusi He Magar Allah Ke Deen Me Bari Kushadgi Aur Tasalli Ka Samaan He Yahi Guzishta Aayat Dekhe Jo Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ki Tasalli Ke Liye Is Waqt Naazil Hui Jab Mushrekeen Makka Aap Ko Tarah Tarah Se Sataate Aap Ka Mazaaq Udaate Aur Deewana Paagal Keh Kar Takleef Pohnchate The Is Se Aap Ko Ranjeeda Aur Kabida Khaatir Ho Jate Allah Ne Aap Ko Tasalli Dete Hue Tasbeeh Bayaan Karne Aur Sajdah Ka Hukam Diya. Aap Ko Kaha Apne Rab Ke Liye Namaaz Parhte Rahe Aur Uske Liye Sajdah Aur Tasbeeh Me Lage Rahe Usi Me Aap Ko Qalbi Sukoon Mile Ga Aur Ayse Aap Ko Allah Ki Madad Bhi Milti Rahe Gi.

Jis Tarah Allah Ne Gam Aur Malaal Ke Mauqe Par Apne Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ko Ibaadat Aur Zikar Ke Zariya Dhaharas Bhandaai He Isi Tarah Usme Hamari Tasalli Ka Bhi Samaan He Ham Se Rab Ki Ibaadat Matloob He Lihaza Ham Jaha Bhi Rahe Aur Jis Haal Me Rahe Apne Parwardigaar Ki Hamd O Sana Bayaan Karte Rahe Aur 5 Waqt Namaaz Ki Muhafizat Karte Rahe Us Se Dil Ko Sukoon Mile Ga Aur Allah Ki Madad Haasil Rahe Gi.

Aaj Ke Haalaat Aur Ramazaanul Mubarak Se Aam Musalmano Ko Yah Sabaq Mila Ke Ham Ne Deen Ke Woh Zaroori Ahkaam Bhi Nahi Sikhe The Jin Se Waasta Rozmarra Ka He Yahi Wajah He Ke Ramazaan Jaise Ibaadat Ke Mausam Me Kitne Ghar Tilaawat Namaaz Aur Qayamul Lail Se Sune Honge Kuy Ke Unke Ghar Koi Namaaz Parhane Wala Nahi Aur Koi Quraan Janna Wala Nahi Tha Kiya Yah Corona Hame Sabaq Deta He Ke Deen Ko Itna Ham Me Se Har Koi Sikhe Jo Kam Az Kam Ibaadat Ke Liye Kaafi Ho?

Masaajid Band Ho Jane Me Un Logo Ke Liye Lamha Fikriya He Jo Sirf Jum'a Ki Ibadat Karte The Unse Musalsal Jum'a Chhut Raha He Yaha Tak Ke Ramazaanul Mubarak Ke Jum'a Bhi Chhut Gae. Ayse Logo Ke Liye Nasihat He Ke Namaaz Sirf Hafta Me Farz Nahi He Balke Din Aur Raat Me 5 Martaba Farz He Yah Baat Deen Me Likhi Hui Pehle Se Maujood He Aur Aaj Corona Ki Wajah Se Isqaat E Jum'a Aur Jama'at Ne Ahsaas Bhi Dila Diya. Ay Kaash Ke Ham Nasihat Haasil Kare.

Is Tarah Ke Beshumaar Asbaaq Mil Jaaenge Lekin Meri Nazar Me 3 Aham The Jin Ka Mene Zikar Kiya He Uska Khulasa Yah He Ke Corona Ke Is Daur Me Ramazaan Se Ek Sabaq To Yah Mila Ke Jo Ke Har Ramazaan Ka Sabaq He Ke Hamari Kaamiyaabi Dar Asal Usme He Ke Panjwaqta Namaazo Ki Muhafizat Karte Rahe Ge Chaahe Qaid Rahe Ya Aazaad Rahe.

Dusra Sabaq Yah Ke Dunyawi Uloom Ke Sath Sath Deen Ki Buniyaadi Ta'leem Bhi Haasil Kare Taaki Khud Se Bhi Rab Ki Bandagi Uski Hamd O Sana Aur Qur'an Ki Tilaawat Kar Sake Kitni Ajeeb He Ke Duniya Ki Badi Se Badi Degree Haasil Karne Ke Bawajood Hame Namaaz Parhna Aur Quraan Ki Tilaawat Karna Na Aae.

Teesri Baat Yah He Ke Jo Log Deen Par Apni Marzi Se Amal Karte The Woh Sambhal Jaae Rab Ki Is Taur Bandagi Kare Jis Tarah Karne Ka Hukam Hua He.

Allah Se Dua He Ke Woh Ramazaan Me Anjaam Diye Gae Hamare Aamal Ko Qabool Farma Kar Use Hamari Najaat Ka Zariya Banaae Ham Se Corona Ki Waba Door Kar De Aur Hame Marte Dam Tak Apni Bandagi Ki Taufeeq Se Nawaaze. Aameen
 

Similar threads


Top