SAB SE PAHLE: TAWHEED


SAB SE PAHLE: TAWHEED
Tahreer: Muhaddis-ul-Asr Hafiz Zubair Ali Zai
Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:
﴿وَلَقَدْ بَعَثْنَا فِي كُلِّ أُمَّةٍ رَسُولًا أَنِ اعْبُدُوا اللَّهَ وَاجْتَنِبُوا الطَّاغُوتَ﴾
(Surah al-Nahal:36)
"Aur hum ne har ummat me ek Rasool bheja ke ALLAH ki ibaadat karo aur taaghot se ijtinaab kar."

Syidina Wa Mahbobana MUHAMMED RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne jab Syidina Muaz Bin Jabal raziallahu-anhu ko Yaman ki taraf (Governor bana kar) bheja to farmaya:
((فَلْيَكُنْ أَوَّلَ مَا تَدْعُوهُمْ إِلَى أَنْ يُوَحِّدُوا اللَّهَ تَعَالَى))
"Tum ne inhe sab se pahle ALLAH ki tawheed ki taraf dawat deni hai."(Sahih Bukhari, Kitab-ul-Tawheed, Hadis No.:7372)

Syidina Haris Bin Haris al-Aayizi raziallahu-anhu se riwayat hai ke (main zamana jahiliyat me jab makkah aayaa to dekha ke NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam ke paas log akhatte hain) maine apne waalid se pocha: ye log kion akhtte hain? usnne kaha: ye log ek "Saabi" ke paas akhtte hain.
((فَاذَالنَّبِیِّ یَدعُوالٰی تَوحِیداللہِ وَالاِیمَان))
"Maine ne (qareeb aakar) dekha to NABIYE KAREEM sallallahu alaihi wasallam ALLAH ki tawheed aur emaan ki taraf dawat de rahe the." (al-Taareekh al-Kabeer lil-Bukhari:2/262 aur is ki sanad SAHIH hai. wa Sahahah Abu Zur'a al-Dimashqi kama fi taareekh Dimashq li-Ibn Asaakar:12/213-214. wa rawaho Ibn Abi Aasim fi Ahaad wa al-Masaani:5/374, Hadis No.2976)

Har insaan par ye farz haike tawheed wo sunnat ka raastah ikhtiyaar karke ALLAH TA'ALA ki ibaadat me apni sari zindagi guzare aur apni tamaam ibaadaat khaalis ALLAH hi keliye saranjaam de. Ye aqidah dil me pori quwat se bithaale ke be-shak meri namaaz, meri qurbaani, meri zindagi aur meri maut sirf ALLAH RABUL AALAMEEN hi keliye hai. Is ka koi shareek nahi, mujhe isee ka hukom diya gaya hai aur mai sab se pahle ALLAH ka farmabardaar (Muslim) hon.

Jis ne Tawheed ko chod kar dosra raastah ikhtiyaar kiya, ALLAH TA'ALA is ke saare amaal zaaye kardega.

Irshaad BAARI TA'ALA hai:
﴿إِنَّهُ مَنْ يُشْرِكْ بِاللَّهِ فَقَدْ حَرَّمَ اللَّهُ عَلَيْهِ الْجَنَّةَ وَمَأْوَاهُ النَّارُ﴾
(Surah al-Maayidah:72)
"Beshak jis ne ALLAH ke saath shreek kiya to ALLAH ne us par jannat haraam kardi aur us shakhs ka thikaanaa (jahannum ki) aag hai."

Aye Allah! hame Tawheed wo Sunnat par zindah rakh aur usi par hamara khatimah ho. AAMEEN


 
Top