Umar Asari

Administrator
Staff member
Nange (nude) ho kar wuzu karna kaisa hai?

Nange ho kar wuzu karne mein koi harj nahi hai kiunki wuzu ke sahih hone ke liye libaas shart nahi hai lehaaza agar koi insaan nanga ho to us halat mein bhi wuzu kar sakta hai.
Albatta behtar aur afzal yeh hai ki insaan kapde pahen kar wuzu kare. Mu’aawiyah bin Haydah Radhiallahu Anhu kehte hain ke main ne (Allah ke Rasool ﷺ se) kaha:
يَا نَبِيَّ اللَّهِ، عَوْرَاتُنَا مَا نَأْتِي مِنْهَا وَمَا نَذَرُ؟ قَالَ: احْفَظْ عَوْرَتَكَ إِلَّا مِنْ زَوْجَتِكَ أَوْ مَا مَلَكَتْ يَمِينُكَ، قُلْتُ: يَا رَسُولَ اللَّهِ، إِذَا كَانَ الْقَوْمُ بَعْضُهُمْ فِي بَعْضٍ؟ قَالَ: إِنِ اسْتَطَعْتَ أَنْ لَا يَرَاهَا أَحَدٌ فَلَا يَرَاهَا، قَالَ: قُلْتُ: يَا نَبِيَّ اللَّهِ، إِذَا كَانَ أَحَدُنَا خَالِيًا؟ قَالَ: فَاللَّهُ أَحَقُّ أَنْ يُسْتَحْيَا مِنْهُ مِنَ النَّاسِ​
“Aye Allah ke Nabi (ﷺ)! Hum apni sharamghaahein kitni khol sakte hain aur kitni chhupana zaroori? Aap ﷺ ne farmaya: Tum apni sharamgaah apni biwi aur apni laundi ke siwa har ek se chhupaao, main ne phir kaha: Jab log mil jul kar reh rahe hon (to hum kya aur kaise karen) Aap ﷺ ne farmaya: Tab bhi tumhari har mumkin koshish yahi honi chaahiye ke tumhari sharamgaah koi na dekh sake, main ne phir kaha: Allah ke Nabi! Jab aadmi akela ho? Aap ne farmaya: Logon ke maqabil Allah to aur ziyadah mustahiq hai ke us se sharam ki jaye.”
(Sunan Tirmizi: 2794. Allamah Albani Rahimahullah ne Hasan kaha hai)
 

Similar threads


Top