Umar Asari

Administrator
Staff member
Nasihat Ke Taur Par Qissay Bayan Karne Ka Hukm

Sheikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Nasihat Ke Liye Quran o Hadees Mein Beshumaar Qissay Bayan Kiye Gaye Hain, Is Liye Kisi Ko Nasihat Karne Key Maqsad Se Yeh Qissay Kaafi Hain. Magar Woh Qissay Aur Kahaniyan Jo Quran o Hadees Mein Na Hon or Unki Sachchaai Ka Ilm Ho To Unhen Bhi Bayan Kiya Ja Sakta Hai.
Lekin Woh Waqiyaat Jo Mangharat, Deen Se Takaraane Walay, Imaan Kharab Karne Walay Aur Jhootay Hon To Unhen Nhin Bayan Kiya Jayega Kiunki Jhoot To Jhoot Hai Is Se Ibrat Lena Kaisa?
Aik Soorat Hai Ke Agar Yeh Jhootey Aur Mangharat Waqiyaat Logon Mein Shohrat Paa Rahe Hon, Aur Logon Ko Un Se Ghalat Fehmiyan Ho Rahee Hon Ya Log Un Waqiyaat Ko Sach Samajhtey Hon To Aisey Halaat Mein Un Waqiyaat Ka Butlaan Wazeh Kiya Jayega Takey Logon Ko Sachchaai Ka Ilm Ho Sakay.
واللہ اعلم بالصواب​
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Maqubool Ahmad Salafi Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top