New Users Ke Liye Forum Istemaal Karne Ka Tareeqa


Staff Member

Member
Staff member
Islaah e Ummat Forum Ko Istemaal Karna Yani Us Mein New Posts, Articles Aur Threads Waghera Shaamil Karna Bahut Hi Aasaan Hai. Aur Is Ke Do Tareeqe Hain:
Pehla: New Topic (Thread) Start Karna:

Doosra: Kisi Jaari Topic (Thread) Mein Apni Tehreer, Comment Waghera Send Karna.

Pehle Hum Aap Ko “New Topic (Thread) Start Karne” Ke Baare Mein Batate Hain.
Koi Bhi New Tehreer, Topic Ya Thread Waghera Us Ke Related Section Mein Aap Shuru Kar Sakte Hain, Jis Ka Tareeqa Bahut Aasaan Hai.

Forum Ke First Page (Main Page) Par Jaayen Wahan Par Left Side Mein Aap Ko Alag Alag Topics Ke Liye Alag Alag Sections Nazar Aayenge, Is Tarah:
Screenshot_2018-08-21-20-25-30.png

For Example, Aap “Nikah Ya Talaq” Ke Topic Par Koi New Post Share Karna Chahte Hain To, “Nikah Ya Talaq” Wale Topic Par Click Karen. Isi Tarah Agar Aap “Dawat o Tableegh” Par Koi New Post Send Karna Chahte Hain To, “Dawat o Tableegh” Wale Topic Par Click Karen.

Related Topic Par Click Karne Par New Page Aap Ke Saamne Aayega, Is Tarah:
Screenshot_2018-08-21-20-27-08.png

Upar Photo Mein Right Side Ki Taraf Upar Dekhen, Aik Button Yellow Colour Ka Hai, Jis Par “Post Thread” Likha Hai, Us Par Click Kar den.

Phir Uske Baad Aap Ke Paas Aik Editor Ka Page Khul Jaayega, Do Box Wala (Aik Chota Aur Doosra Bada Box).
Is Tarah:
20180821_205656.jpg

Us Ke Chote Wale Box Mein Title Likhen Aur Neeche Bade Box Mein Tehreer Aur Articles Waghera.
Aur Phir Apni Tehreer Aur Post Aik Baar Achchi Tarah Padh Len. Uske Baad Uske Just Neeche Aapko “Tags” Ka Aik Box Nazar Aayega. Aap Usmein Tags Likh Sakte Hain. For Example: Aap “Namaz” Ke Mutalliq Kuch Post Kar Rahe Hain To “Namaz” Likh Den, Agar Aap Aapki Post Ya Tehreer “Roza” Ke Mutalliq Hai To “Tags” Wale Box Mein “Roza” Likhen.
Aur Phir Uske Baad “Post Thread” Par Click Kar Den.
Aap Ka New Article Ya Post Forum Par Post Ho Jayega, In sha Allah. Pehla Tareeqa Khatm Huwa.

Editor Mein Maujood Mukhtalif Sahuliyat Ki Madad Se Aap Apni Tehreer Ko Khoobsurat Bana Sakte Hain. Jaise Aap Pani Tehreer Ko Bold, Italic, Under Line Aur Colorful Kar Sakte Hain. Is Ki Mazeed Tafseel Yahan Dekhen!
Images Aur Videos Waghera Ka Link Aur Isi Tarah Se Kisi Website Ka Link Bhi Aap Shamil Kar Sakte Hain.
Heading Aur Sub Heading Waghera Bhi De Sakte Hain.
Tehreer Ko Forum Mein Shaamil Karne Se Pehle “Preview” Ke Button Ko Use Karke Yeh Bhi Dekh Sakte Hain Ke Aapki Tehreer Post Hone Ke Baad Kaisi Nazar Aayegi.
“Attach Files” Wala Button Istemaal Karke Zaroorat Ke Mutabiq Be-Jaan Cheezon Ki Photos Bhi Shaamil Kar Sakte Hain. Isi Tarah Kisi Website Ka Video Link Bhi De Sakte Hain, Waghera Waghera.

Ab Hum Aap Ko Doosra Tareeqa Batate Hain. “Kisi Jaari Thread Mein Apni Tehreer Aur Comment Waghera Send Karna”:

Is Tareeqe Mein Aap Kisi Member Ke Start Kiye Huwe Thread Mein Ya Apne Hi Pehle Se Start Kiye Gaye Thread Mein Koi Mazeed Tehreer, Jawab Aur Comments Waghera Send Kar Sakte Hain.
Bade White Box Mein Likhen Aur Neeche Maujood “Post Reply” Wala Button Daba Den. Is Tarah Se Box Hoga:
 
Top