IMAM BUKHARI RH MUQALLID NAHI THE AHNAF KI GAWAHI


ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

Kya IMAM BUKHARI RH MUQALLID THE ? AHNAF KI GAWAHI

IS TAHREER KO URDU ME PADHNE KE LIYE YAHA'N CLICK KARE'N


IS TAHREER KE SCAN PAGES KE LIYE YAHA'N CLICK KARE'N


BA’AZ LOGO’N NE IMAM BUKHARI RH KO MUQALLID SAABIT KARNE POORA JOR LAGA DIYA HAI LEKIN PHIR BHI WO APNE MAQSAD ME KAAMYAB NA HO SAKE AAJ INSHA ALLAH IS POST ME YE SABIT KIYA JAAYEGA KI IMAM BUKHARI RH MUQALLID NAHI THE

Aaiye pehle dekhte hain ki MUQALLID aur MUJTAHID ke baare me kya BAYAN kiya gaya hai

1- IMAM IBN QAYYIM RH likhte hain:
الْمُقَلِّدُ لَيْسَ مِنْ الْعُلَمَاءِ بِاتِّفَاقِ الْعُلَمَاءِ
ki ULAMA ka is baat par ITTEFAQ hai ki MUQALLID ALIM nahi hota.[[ I’LAAM UL MU’AQQIEEN JILD 3 SAFA 469 ]]

2- IMAM IBN ABDUL BARR RH likhte hain ki unhone (ULAMA ne) kaha:
وَالْمُقَلِّدُ لَا عِلْمَ لَهُ وَلَمْ يَخْتَلِفُوا فِي ذَلِكَ
ki MUQALLID ke paas koi ILM nahi hota aur is baat me koi bhi IKHTILAF nahi hai.[[ JAAME AL BAYAN UL ILM JILD 2 SAFA 993 ]]

AB FAISLA KHUD HI KAR LEN KI KYA IMAM BUKHARI RH KE PAAS KOI ILM NAHI THA ?

3- SARFARAZ KHAN SAFDAR ne farmaya ki:
“TAQLEED JAHIL ke liye hai jo AHKAM aur DALAIL se NAWAQIF ho”.[[ AL KALAM UL MUFEED SAFA 234 ]]

FAISLA KHUD KAR LEN KI KYA IMAM BUKHARI RH JAHIL THE AUR AHKAM AUR DALAIL SE NAWAQIF THE ??

AB AAIYE DEKHTE HAIN IJTIHAD AUR MUJTAHID KE BAARE ME KYA BAYAN KIYA GAYA HAI

4- MASTER AMIN OKADVI farmate hain ki:
“MUJTAHID par IJTIHAD WAJIB hai aur apne jaise MUJTAHID ki TAQLEED HARAM hai”.[[ TAJALLIYAT E SAFDAR JILD 3 SAFA 430 ]]

5- ALLAMA NAWWI RH farmate hain:
فَإِنَّ الْمُجْتَهِدَ لَا يُقَلِّدُ الْمُجْتَهِدَ
ki aur MUJTAHID, MUJTAHID ki TAQLEED nahi karta.[[ SAHEEH MUSLIM BASHARAH AL NAWAWI JILD 1 SAFA 290 ]]

6- IMAM IBN TURKAMANI HANAFI RH ne bhi yahi farmaya:
فَإِنَّ الْمُجْتَهِدَ لَا يُقَلِّدُ الْمُجْتَهِدَ
ki aur MUJTAHID, MUJTAHID ki TAQLEED nahi karta.[[ AL JAUHAR UN NAQI JILD 2 SAFA 47 ]]

IN AQWAALAT se ye SAABIT huaa ki MUJTAHID TAQLEED nahi karta

AB AAIYE IMAM BUKHARI RH KO MUJTAHID SABIT KARTE HAIN AHNAF KI KITABON SE AUR JIN LOGO KE DIL O DIMAG ME YE CHAL RAHA HAI KI IMAM BUKHARI RH MUQALLID THE TO WO YE WASWASA NIKAL DEN

AHNAF KI GAWAHI

1- MAULANA MUHAMMAD HUSSAIN NELWI HANAFI IMAM ZAHBI RH ke baare me likhte hain ki:
jab IMAM ZAHBI RH iski TASHEEH kar den to QATAYI SAHEEH ban jayegi jiska MUNKIR KAAFIR nahi to kam az kam FAASIQ zaroor hoga q ki IMAM ZAHBI RH ka QAUL HUJJAT hai.[[NIDA E HAQ SAFA 285]]

IMAM ZAHBI RH IMAM BUKHARI RH ke baare me farmate hain:
وكان إماما حافظا حجة رأسا في الفقه والحديث مجتهدا من أفراد العالم مع الدين والورع والتأله
Ap IMAM,HAFIZ,HUJJAT,CHOTI KE FAQEEH wa MUHADDIS aur MUJTAHID the NEZ DEENDARI TAQWA wa PARHEZGARI aur IBADATGUZARI ke sath sath YAGANA ROZGAR the.[[ AL KASHIF JILD 2 SAFA 157 ]]

RASHEED AHMAD GANGOHI jinke MUTA’ALLIQ ASHIQ ILAHI MERATHI HANAFI ne WASHGAF ALFAZ me likha hai:
قطب العالم ، قدوة العلماء ، غوث الأعظم ، أسوة الفقهاء ، جامع الفضائل والفواضل العلية ، مستجمع الصفات الخصائل البهية والسنية ، حامي دين مبين مجدد زمان وسيلتنا إلى الله الصمد الذي لم يلد و لم يولد شيخ المشائخ
ki wo DUNIYA ke QUTB the,ULAMA ke liye ek NAMOONA the GAUS UL AZAM the FUQAHA me ek MISAL the un me TAMAM NEKIYAN thi wo DEEN ke MUJADDID the wo USTADON ke USTAD the.[[TAZKIRATUR RASHEED JILD 1 SAFA 2 ]]

2- RASHEED AHMAD GANGOHI likhte hain:
الإمام البخاري عندي مجتهد برأسه و هذا أيضا ظاهر من ملاحظة تراجمه بدقة النظر
ki IMAM BUKHARI mere NAZDEEQ MUJTAHID MUSTAQIL hain aur ye DAQEEQ E NAZAR ke sath unke TARAJIM E ABWAB ke MULAHIZA se ZAHIR hai.[[LAAME AD DARARI ALA JAAME AL BUKHARI SAFA 19 ]]

3- ZAKARIYAH KAANDHALWI ne bhi apni KITAAB me yahi ALFAAZ NAQAL kiye hain.[[ALKANZUL MUTAWAARI JILD 1 SAFA 164 ]]

4- MAULANA ABDUL RASHEED NOMANI DEOBANDI HANAFI likhte hain:
قال سليمان بن إبراهيم العلوي : البخاري إمام مجتهد برأسه كأبي حنيفة والشافعي ومالك و أحمد
Ki SULEMAN BIN IBRAHEEM AL ALWI ne farmaya ki IMAM BUKHARI RH AIMMA E ARABA IMAM MALIK RH,IMAM SHAFAYI RH,IMAM ABU HANIFA RH,IMAM AHMAD RH ki tarah CHOTEE ke MUJTAHID the.[[ MA TAMASSU ALAIHI AL HAAJJAH SAFA 48 ]]

5- Ibraaheem bin Abdul Lateef bin Makhdoom Muhammad Haashim Al-Tatwi al-Sindi al-Hanafi RH farmate hain:
وأما الإمام البخاري، فقد ذكر التاج السبكي في طبقاته أنه أي البخاري شافعي المذهب، وتعقبه العلامة نفيس الدين سليمان بن إبراهيم العلوي رضي الله تعالى عنه فقال: البخاري إمام مجتهد برأسه كأبي حنيفة والشافعي ومالك وأحمد وسفيان الثوري ومحمد بن الحسن
Ki TAAJ UD DEEN SUBKI RH ne IMAM BUKHARI RH ke MUTA’ALLIQ TABQAT me ZIKR kiya hai ki BUKHARI RH SHAFAYI UL MASLAK the magar ALLAMAH NAFEES UD DEEN SULEMAN BIN IBRAHEEM AL ALVI RH ne iska INKAAR kiya hai aur BUKHARI RH ke MUTA’ALLIQ kaha hai ki BUKHARI RH ek BADE MUJTAHID the jaise IMAM ABU HANIFA RH,IMAM SHAFAYI RH,IMAM MALIK RH,IMAM AHMAD RH,IMAM SUFIYAN SOORI RH AUR IMAM MUHAMMAD BIN HASAN RH the.[[ SAHAQ UL AGHBIYA BAHAWALA MA TAMASSU ILAIHI AL HAAJJAH SAFA 48 ]]

6- ABDUL RASHEED NOMANI ke NAZDEEQ bhi IMAM BUKHARI RH MUJTAHID hi hain q ki SARFARAZ KHAN SAFDAR likhte hain ki:
” USOOL E TASNEEF ke PESH E NAZAR jab koi SHAKS apne kisi BAYAN ki TAYEED me kisi doosre ki IBAARAT NAQAL karta hai aur uske kisi JUZZ se IKHTILAAF nahi karta to iska LAAZMAN yahi NATEEJAH nikalta hai ki uske sath wo KAAMIL ITTEFAQ rakhta hai ”.[[RAAH E HIDAYAT SAFA 138 ]]

MAULANA ANWAR SHAH KAASHMIRI HANAFI jinke MUTA’ALLIQ ANZAR SHAH HANAFI SHAIKH ALI ka QAUL NAQAL karte hain:
لو حلفت أنه أعلم بأبي حنيفة لما حنثت
Ki unhone farmaya agar mai ye QASAM khaa’un ki wo (yani ANWAR SHAH) ABU HANIFA ke baare me sab se ZYADAH janne waale the to mai JHOOT nahi keh raha hu.[[ HAYAAT E KAASHMIRI SAFA 290 ]]

7- MAULANA ANWAR SHAH KASHMEERI RH farmate hain:
واعلم أن البخاري مجتهد لا ريب فيه وما اشتهر أنه شافعي فلموافقته إياه في السمائل المشهورة و إلا فموافقته للإمام الأعظم ليس بأقل مما وافق فيه الشافعي ، وكونه من تلامذة الحميدي لا ينفع لأنه من تلامذة إسحاق بن راهويه أيضا فهو حنفي ، فعده شافعيا باعتبار الطبقة ليس بأولى من عده حنفيا
Ki IMAM BUKHARI RH MUJTAHID the isme koi SHAK O SHUBA nahi hai aur ye jo MASH’HOOR hai ki aap SHAFAYI hain to wo MASAIL E MASH’HOORAH me IMAM SHAFAYI RH se MUWAFIQAT ki wajah se hai, agar ye baat kahi jaye ki IMAM BUKHARI RH IMAM HUMAIDI RH ke SHAGIRD hain jo ki SHAFAYI hain to ye baat bhi uske liye DALEEL aur FAYEDE MAND nahi hai q ki AAP IS’HAAQ BIN RAHWIYAH ke bhi SHAGIRD hain jo ki HANAFI hain rahi baat IMAM SHAFAYI RH se MUWAFIQAT wali to AAP ne bahut se MASAIL me IMAM ABU HANIFA RH se MUWAFIQAT ki hai.[[ FAIZ UL BARI JILD 1 SAFA 53 ]]

8- MULLA ALI QARI HANAFI RH IMAM BUKHARI RH ke bare me farmate hain:
وَمِنْ حَيْثِيَّةِ حِدَّةِ ذِهْنِهِ، وَرِقَّةِ نَظَرِهِ، وَوُفُورِ فِقْهِهِ، وَكَمَالِ زُهْدِهِ، وَغَايَةِ وَرَعِهِ، وَكَثْرَةِ اطِّلَاعِهِ عَلَى طُرُقِ الْحَدِيثِ، وَعِلَلِهِ، وَقُوَّةِ اجْتِهَادِهِ، وَاسْتِنْبَاطِهِ
Ki aur BAHAISIYAT bahut ZABARDAST ZAHEN aur BAREEK NAZAR rakhne wale the aur FIQH me aur KAMAL E ZUHD me aur PARHEZGARI me bahut bahut BULAND the aur HADEES ke TUROOQ yani ASANEED aur HADEES ki ILLATO’N par bahut MALOOMAT rakhte the aur JABARDAST MUJTAHID THE aur MASLA ke AKHZ karne me bahut ZABARDAST the.[[MIRQAT UL MAFATEEH SHARAH MISHKAT UL MASABEEH JILD 1 SAFA 57 ]]

9- MUFTI RAFEE’A USMANI HANAFI likhte hain ki:
ANWAR SHAH KASHMEERI RH ki RAAYE BA’AZ DALAIL ki BINA par ye hai ki IMAM BUKHARI RH to BILA SHAK O SHUBA MUJTAHID MUTLAQ hain aur unki KITAB isi par SHAHID ADAL hai. Aam TAUR se jo IMAM BUKHARI RH ka SHAFAYI hona MASH’HOOR hai wo is WAJAH se ki MASAIL E MASH’HOORAH me unka MAZHAB IMAM SHAFAYI RH ke MUWAFIQ hai magar ye MUWAFIQAT unke SHAFAYI hone ki DALEEL nahi ban sakti.[[ DARS E MUSLIM SAFA 85 ]]

10- MUHAMMAD ZAKARIYYA KANDHALWI HANAFI IMAM BUKHARI RH ke baare me farmate hain ki:
isi tarah bahut se SHAWAFE’A ne apne TABQAAT me usko SHAFAYI TAHREER kiya hai CHAKKI ka PAAT ye hai ki IMAM BUKHARI RH PUKHTA TAUR par MUJTAHID the agarcha FUQAHA E SHAFAEEYAH ne unko TABQAAT E SHAFAEEYAH me aur GHAIR MUQALLIDEEN ne apna kaha hai lekin chunki IMAM BUKHARI RH AHNAF se ZYADAH NARAAZ hain isliye NUMAYA’N TAUR par ye MALOOM hota hai ki AAP SHAFAYI hain HAALA’N ki IMAM BUKHARI RH jitne AHNAF se NARAZ hain usse kuch ZYADAH SHAFAEEYAH ke KHILAF hain.[[ TAQREER BUKHARI SHAREEF HISSA 1,2,3 SAFA 44 ]]

11- SALEEMULLAH KHAN HANAFI MUHTAMIM JAMIYAH FAROOQIYAH KARACHI likhte hain ki:
BUKHARI RH MUJTAHID MUTLAQ hain[[ FAZL UL BARI JILD 1 SAFA 36 ]]

12- MUHAMMAD AASHIQ ILAHI MERATHI HANAFI MUHAMMAD ZAKARIYA HANAFI ki SAWANEH UMRI me likhte hain ki:
mere NAZDEEQ SAHEEH baat ye hai ki IMAM BUKHARI RH PUKHTA TAUR par MUJTAHID the.[[SAWANEH UMRI MUHAMMAD ZAKARIYA SAFA 334 ]]

13- AHMAD RAZA BIJNOORI HANAFI likhte hain ki:
IMAM BUKHARI RH CHUN’KI khud DARJA E IJTIHAD rakhte the isliye unhone JAM’A HADEES ka kaam apne NUQTA E NAZAR se QAYEM kiye hue TARAJIM WA ABWAB ke MUTABIQ kiya.[[ ANWAR UL BARI JILD 2 SAFA 236 ]]

14- IBN AABIDEEN SHAMI HANAFI ke USTAD ALLAMA ISMA’EEL AJLOONI HANAFI IMAM BUKHARI RH ke baare me likhte hain:
كانا مجتهداً مطلقا
ki wo MUJTAHID MUTLAQ the.[[ AL FAWAID UD DARARI BAHAWALA DIFA SAHIH BUKHARI SAFA 75 ]]

15- MUHAMMAD ABDUL QAWI HANAFI likhte hain ki:
JAM’HOOR ULAMA ki TAHQEEQ me IMAM BUKHARI RH MUJTAHID hain.[[MIFTAH UN NIJAAH SAFA 28 ]]

16- MUHAMMAD SIDDIQUE HANAFI likhte hain ki:
IMAM BUKHARI RH MUJTAHID HAIN,BA”AZ ne kaha SHAFAYI UL MASLAK hain lekin RAAJEH yahi hai ki MUJTAHID hain.[[ AL KHAIR US SAARI JILD 1 SAFA 68 ]]

17- ABDUL HAYI LAKHNAWI HANAFI RH farmate hain:
“فقد وجد بعدهم أيضا أرباب الاجتهاد المستقل كأبي ثور البغدادي و داود الظاهري و محمد بن إسماعيل البخاري وغيرهم على ما (لا) يخفى على من طالع كتب الطبقات”
ki unke baad bhi IJTIHAD E MUSTAQIL wale hazraat hue hain,jis tarah ki ABU SAUR BAGHDADI,DAWOOD ZAHIRI aur MUHAMMAD BIN ISMA’EEL ALBUKHARI RH wagairah hain jisne KUTUB E TABQAT ka MUTAL’A kiya hai,is par ye baat POSHEEDAH nahi hai.[[JAME US SAGEER SHARAH NAAFE UL KABEER SAFA 16 ]]

18- ABUL HASAN SINDHI HANAFI IMAM BUKHARI RH ke bare me likhte hain:
والصحيح أنه مجتهد
ki SAHEEH baat ye hai ki wo MUJTAHID the.[[ HASHIYAH BUKHARI (MISRI) BAHAWALA DIFAA SAHIH BUKHARI SAFA 75 ]]

19- QARI MUHAMMAD TAYYAB HANAFI likhte hain ki:
IMAM BUKHARI RH MUHADDIS bhi hain aur FAQEEH bhi hain Nez IJTIHAD ke RUTBE ko PAHUCHE hue hain.[[KHUTBAT E HAKEEM UL ISLAM JILD 5 SAFA 231 ]]

MULLA ALI QARI HANAFI ke MISL balki unhi ki IBARAT ka TARJUMA SHAIKH ABDUL HAQ DEHLAWI HANAFI RH aur unke SAHABZADE SHAIKH NOOR UL HAQ HANAFI RH ne BAYYAK ALFAZ me yu’n kiya hai

20- ABDUL HAQ DEHLAWI HANAFI RH IMAM BUKHARI RH ke bare me farmate hain:
وے درزمان خود در حفظ احادیث واتقان آں وفہم معانی کتاب و سنت و حدّت ذہن وجودت قریحت ووفور فقہ وکمال زہد و غایت ورع و کثرت اطلاع برطرق حدیث وعلل آں ووقت نظر و قوت اجتہاد و استنباط فروع از اصول نظیرے نداشت
ki wo apne ZAMANA me HADEES ke HIFZ O ITQAAN,MA’AANI KITAB O SUNNAT ke FAHEM,ZAHEN ki tezi,HAFIZAH ki UMDAGI,WAFOOR FIQH,KAMAL E ZUHD,GHAYAT WAR’A,ASANEED WA ILLAL E HADEES par KASRAT E ITLA’A,WAQT NAZAR,QUWAT E IJTIHAD aur USOOL se FROO’A ISTEMBAT karne me apni MISAAL nahi rakhte the.[[ ASH’ATUL LAM’AAT JILD 1 SAFA 5 ]]

21- NOOR UL HAQ HANAFI RH IMAM BUKHARI RH ke bare me farmate hain:
وے درزمان خود در حفظ احادیث واتقان آں وفہم معانی کتاب و سنت و حدّت ذہن وجودت قریحت ووفور فقہ وکمال زہد و غایت ورع و کثرت اطلاع برطرق حدیث وعلل آں ووقت نظر و قوت اجتہاد و استنباط فروع از اصول نظیرے نداشت
ki wo apne ZAMANA me HADEES ke HIFZ O ITQAAN,MA’AANI KITAB O SUNNAT ke FAHEM,ZAHEN ki tezi,HAFIZAH ki UMDAGI,WAFOOR FIQH,KAMAL E ZUHD,GHAYAT WAR’A,ASANEED WA ILLAL E HADEES par KASRAT E ITLA’A,WAQT NAZAR,QUWAT E IJTIHAD aur USOOL se FROO’A ISTEMBAT karne me apni MISAAL nahi rakhte the.[[TAISEER UL QARI JILD 1 SAFA 3 ]]

22- IMAM IBN AABIDEEN HANAFI RH SAHAB E RADD UL MUKHTAR IMAM BUKHARI RH ke bare me likhte hain:
وهي منقسمة إلي حفظٍ ودراية،واجتهاد في التحصيل،ورواية ونسق وإفادة وورع وزهادة والتحقيق وإتقان وتمكن وعرفان وأحوال وكرامات
ki wo HIFZ aur DARAYAT aur IJTIHAD aur RIWAYAT aur IBADAT aur IFAADAH aur PARHEZGARI aur ZUHD aur TAHQEEQ aur ITQAN aur TAMAKKUN aur IRFAN aur AHWAL aur KARAMAAT par MUNQASIM hain.[[UQOOD UL LALAAYI FIL ASANEED UL AWAALI SAFA 97 ]]

23- ALLAMA GHULAM RASOOL SA’EEDI HANAFI farmate hain ki:
IMAM BUKHARI RH SHAFAYI hone ki TAQDEER par bhi MAHEZ MUQALLID nahi the balki MUJTAHID FIL MASAIL the.[[ NEMATUL BARI JILD 1 SAFA 82 ]]

24- MAULANA SAYYAD FAKHRUDDEEN HANAFI IMAM BUKHARI RH ke bare me farmate hain ki:
lekin HAQEEQAT ye hai ki SHAFAYI ya HAMBALI se TALAMMUZ aur TAHSEEL E ULOOM ki bina par kisi ko SHAFAYI ya HAMBALI kahna MUNASIB nahi,balki IMAM ke TARAJIM BUKHARI ke gahre MUTAL’A se MALOOM hota hai ki IMAM ek MUJTAHID hain, unhone jis tarah AHNAF se IKHTILAF kiya hai waha’n HAZRAAT SHAWAFE’A se IKHTILAF ki TADAD bhi kuch KAM nahi.[[ EEZAH UL BUKHARI JILD 1 SAFA 45 ]]

25- QAZI ABDUL RAHMAN HANAFI FAZIL DARUL ULOOM DEOBAND likhte hain ki:
BA’AZ FIQHI MASAIL me IMAM SHAFAYI RH ki MUWAFIQAT ki waja se IMAM BUKHARI RH ko SHAFAYI kehne ka JAWAZ nikal sakta hai aur isi tarah BA’AZ QARA’IN se unhe HAMBALI kaha ja sakta hai to IS’HAQ BIN RAHWIYAH ka SHAGIRD hone ki waja se IMAM BUKHARI RH ko HANAFI UL MASLAK bhi kaha ja sakta hai,phir bahut se MASAIL me IMAM BUKHARI RH ne IMAM SHAFAYI RH ki MUKHALIFAT aur HANAFIYAH ki TAYEED bhi ki hai,unhone jis tarah AHNAF se IKHTILAF kiya hai usi tarah SHAWAFE’A se bhi kiya hai,HAQEEQAT ye hai ki IMAM BUKHARI RH ke TARAJIM ABWAB me jo BALIGH NAZRI paayi jaati hai iske PESH E NAZAR unko kisi MASLAK ka PABAND nahi kaha ja sakta wo kisi MASLAK ke MUTTABE’A na the balki khud ek MUJTAHID ki SHAAN rakhte the.[[ FAZAL UL BARI JILD 1 SAFA 64 ]]

ALHAMDULILLAH AHNAF KI GAWAHI SE SABIT HUA KI IMAM BUKHARI RH MUQALLID NAHI BALKI MUJTAHID THE

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN

JAZAKALLAHU KHAIRAN
 

Similar threads


Top