Salaf e Saliheen Ke Aqwaal


Shona shaikh

Active member
Salaf e Saliheen Ke Aqwaal

Usaam bin Ali riwayat karte hain ke maine Imam A'mash ko kahte huwe suna:

إِذَا رَأَيْتَ الشَّيْخَ ، لَمْ يَقْرَإِ الْقُرْآنَ ، وَلَمْ يَكْتُبِ الْحَدِيثَ ، فَاصْفَعْ لَهُ ، فَإِنَّهُ مِنْ شُيُوخِ الْقَمَرِ " ، قَالَ أَبُو صَالِحٍ : قُلْتُ لأَبِي جَعْفَرٍ : مَا شُيُوخُ الْقَمَرِ ؟ ، قَالَ : " شُيُوخٌ دَهْرِيُّونَ ، يَجْتَمِعُونَ فِي لَيَالِي الْقَمَرِ ، يَتَذَاكَرُونَ أَيَّامَ النَّاسِ ، وَلا يُحْسِنُ أَحَدُهُمْ أَنْ يَتَوَضَّأَ لِلصَّلاةِ​

Tarjumah: Jab tum kisi Alim ko dekho ke wo Qur'an e kareem nahin padhta aur Hadees nahin likhta to us se door raho woh Sheikh ul Qamar hai. Abu Saleh kahte hain ke maine Abu Jaafar(ravi) se poocha: Sheikh ul Qamar kaun hai? Aap ne farmaya: Sheik ul Qamar un dahriyah logon ko kahte hain jo chandni raat mein jama ho kar tareekhi waqiyaat maine badi door ki lete hain aur deeni masaail mein unki jihalat ka ye haal hota hai ke achchi tarah wuzu karna bhi nahi jante.
(Sharf o Ashaabul hadees 1/67, Mohaddis ul Faasil: 306)
 
Last edited:

Similar threads


Top