Hadees "Badon Ke Saath Barkat" Ki Wazahat


Staff Member

Member
Staff member
Hadees "Badon Ke Saath Barkat" Ki Wazahat

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farman hai:
البَرَكَةُ مع أَكَابِرِكُمْ​
Tarjuma: Tumharey badon ke saath hi tum mein khair o barkat hai.
(Sahih ibn e Hibban: 559 and Tabarani fil Ausat)
Is hadees ko Sheikh Albani Rahimahullah ne sahih kaha hai. (Silsilah As Saheehah: 1778)

Is hadees se kuch logon ne ye istidlal kiya hai ke buzurgon se hi deen hasil kiya jaye kiyunki unhi ke paas khair o barkat hai. Halanki is hadees mein ilm hasil karney ki koi baat hi nahi hai. Mutlaq ek baat kahi gayi hai ke khair o barkat badon ke paas hai.
Is hadees mein jo badey ka lafz hai wo do tarah ka hai:
Pehla: Ilmi aitebaar se bada ho. Allah Taala jisey chahta hai ilm se nawazta hai, uska darja bhi bada bana deta hai, is lehaz se wo badey huwe go (گو) ke umar ke lehaz se chota ho.
Allah Taala ka farmaan hai:
ﻳَﺮْﻓَﻊِ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﺍﻟَّﺬِﻳﻦَ ﺁﻣَﻨُﻮﺍ ﻣِﻨﻜُﻢْ ﻭَﺍﻟَّﺬِﻳﻦَ ﺃُﻭﺗُﻮﺍ ﺍﻟْﻌِﻠْﻢَ ﺩَﺭَﺟَﺎﺕ​
Tarjuma: Allah Taala tum mein se un logon ke jo Imaan laaye hain aur jo ilm diye gaye hain unkey darjaat buland farmata hai.
(Surah Al Mujadilah, Surah No: 58 Ayat No: 11)

To jo ilmi aitebaar se badey darjey par faaiz hon, unsey faida haasil karna chahiye, ye bhi maloom ho ke alag alag ilm-o-fan ke alag alag mahireen hain. Jo jis fan ka mahir ho us se us fan ke mutalliq ilm hasil kiya jaye.
Jaisa ke Allah Taala ne apney is farmaan me kaha hai:
ﻓَﺎﺳْﺄَﻟُﻮﺍ ﺃَﻫْﻞَ ﺍﻟﺬِّﻛْﺮِ ﺇِﻥ ﻛُﻨﺘُﻢْ ﻟَﺎ ﺗَﻌْﻠَﻤُﻮﻥ​
Tarjuma: Tum ahle ilm se pucho agar tum nahi jantey.
(Surah An Nahal, Surah No: 16 Ayat No: 43)

Iski mazeed wazahat RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke farmaan se ho jaati hai, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
إنَّ من أشراطِ الساعةِ أنْ يُلتمسَ العلمُ عند الأصاغرِ​
Tarjuma: Qayamat ki nishaniyon mein se hai ke chotey logon se ilm talash kiya jayega.
{Sahih al Jami’ (Albani) : 2207}

Yahan chotey logo se murad wo log hain jo deen se jahil hon, na ki umar mein chotey hon.
Yahi Baat ibne Sereen Rahimahullah ke qaul se wazeh hoti hai, jisey Imam Muslim Rahimahullah ne Sahih Muslim ke Muqaddamey mein zikr kiya hai.
إن هذا العلم دين فانظروا عمن تأخذون دينكم​
Tarjuma: Beshak ilm, deen hai to tum dekho ki tum kissey apna deen hasil kartey ho?

Ilm ke husool se mutalliq ye baat bhi dhiyan rahey ke Quran o Hadees hi ilm ka naam hai. Jo in dono musadir se ilm sikhaaye unhi se ilm liya jaaye.
Doosra: Jo ilmi aitebaar se nahi balki umar ke aitebaar se bada ho, aisey logo se deen ka ilm to nahi, lekin dunyawi tajrubaat aur mushaahdaat hasil kiya jaa sakta hai. Deen har haal mein unhi se hasil kiya jayega jin ke pas Quran o Hadees ka ilm ho.
Jaisa ki mainey upar kaha hai ke ye Hadees Mutlaq is baat ko batati hai ke khair o barkat tum mein se badon mein hai. Iska matlab ye hua ke jo badey hotey hain chaahey umar mein ho ya ilm mein unki tauqeer (izzat) ki jaye, is maaney ki taa'eed ek Zaeef Hadees se hoti hai:
اشربْ فإِنَّ البرَكَةَ فِي أكابِرِنَا فَمَنْ لَمْ يَرْحَمْ صغيرَنا ويُجِلَّ كبيرَنا فليس مِنَّا​
Tarjuma: Piyo pas beshak humarey badon ki wajah se hi hum mein khair o barkat hai. Pas wo hum mein se nahi jo humarey choton par rahem nahi karta, aur humarey badon ki izzat nahi karta.
(Silsilah az Zaeefah: 7152)

Khulasa ke taur par ye kaha jayega ke saari barkat Allah ki taraf se hai. Wo jisey chahey barkat se nawaz dey chahey chota ho ya bada.
 

Top