BADA NUQSAAN


Ibnatu Ali

Member
Bada nuqsaan

Written by: Ajmal

Kal hamaare gharon mein tilaawat e Quran ki aawaazein goonjti thein aaj songs goonjte hain.

Kal hamaare gharon mein Allah, Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam aur aslaaf e ummat ki baatein huwa karti thein aaj TV ke dramon filmon aur cricket aur doosre khelon par comments huwa karte hain.

Kal jin gharon mein kisi ajnabi aurat ki tasweer ka daakhla tak mahaal tha aaj wahaan baap, beti, bhai aur bahen aik saath baith kar neem barhana be-haya aurton ke dance se lutf andoz hote hain.

Kal jo khawateen burqa pehan kar bahar nikalne se hichkichaati thein aaj woh dupatte tak ki qaid se aazad baazaaron mein matargashti karti phirti hain.

Kal jahaan haraam kamaayi se bachne ka dars diya jaata tha aaj wahaan haraam ke baghair guzaara mumkin nahi hai aisa samjhaaya jaata hai.

Kal aakhirat ki kaamyaabi ki baatein ki jaati thein aaj sirf duniya mein kamyaab hone ko kaha jaata hai.

Aaj musalmaanon ki aksariyyat ne duniya ki lazzat o kaamyaabi haasil karne ke liye apne gharon mein jin gunaahon ko dawat de rakha hai maut ke saath hi ya us se pehle hi yeh saari lazzatein aur kaamyaabiyaan khatm ho jaayengi aur un gunaaho ki paadaash mein maut ke baad badi lambi nakaami shuru hogi aur agar un gunaaho mein kufr o shirk ki aamezish bhi ho aur phir usi haalat mein maut aa jaaye to aisi nakaami hogi jo kabhi khatam nahi hogi.

Hamaare Rabb ne is hamesha ki nakaami ko «الْخُسْرَانُ الْمُبِينُ» se ta’beer kiya hai:

فَاعْبُدُوا مَا شِئْتُم مِّن دُونِهِ ۗ قُلْ إِنَّ الْخَاسِرِينَ الَّذِينَ خَسِرُوا أَنفُسَهُمْ وَأَهْلِيهِمْ يَوْمَ الْقِيَامَةِ ۗ أَلَا ذَٰلِكَ هُوَ الْخُسْرَانُ الْمُبِينُ​

Tarjumah: Tum us ke siwa jis ki chaaho ibadat karte raho, keh dijiye! Ke haqeeqi ziyan-kaar woh hain jo apne aap ko aur apne ahel ko qayamat ke din nuqsaan mein daal denge yaad rakho ke khullam khulla nuqsaan yahi hai.
(Surah Az-Zumar, Surah No: 39 Ayat No: 15)

Hamein to hukm diya gaya hai ki:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا قُوا أَنفُسَكُمْ وَأَهْلِيكُمْ نَارًا۔۔۔​

Tarjumah: Aye imaan waalo! Tum apne aap ko aur apne ghar walon ko jahannum ki aag se bachaao..
(Surah At-Tahrim, Surah No: 66 Ayat No: 6)

Kya aaj musalmaan apne gharon mein filmi gaanon, TV ke dramon, filmon aur khelon, be-haya aur faahisha aurton ka neem barhana raqs aur suroor aur haraam ki kamaayi waghera ko jagah de kar apne aap ko aur apne ghar waalon ko jahannum ki aag se bachaane ka kaam kar rahe hain?
Shayad ke aaj ka musalmaan jahannum ke azaab aur aalaam ko sirf duniya ki sardi garmi jaisa samjhta hai is liye apne aap ko aur apne ahl o ayaal ko jahannum ki aag se bachaane ki use fikr hi nahi. Jahannum mein log aise dardnaak azaab se guzrenge jo Allah ki azmat ki nisbat se hoga. Kaash Allah ke bande jahannum ke shadeed tareen azaab ka kuch idraak rakhte to zaroor us se bachne ki koshish karte.
 
Top