Umar Asari

Administrator
Staff member
Oral sex ka hukm

❀Sawal:❀
Assalamu Alaikum Warehmatullahi Wabarakatuhu
Islaam mein oral sex ke baare mein kya hukm hai. Kuch log kehte hain ke yeh haraam nahi hai?


✯Jawab:✯
Walaikum Assalam Warehmatullahi Wabarakatuhu
الحمد لله، والصلاة والسلام علىٰ رسول الله، أما بعد​
Agarche kuch ahle ilm ne is ko istimtaa (biwi se faida uthaane) ke umoom mein shaamil samajh kar is ki ijazat di hai. Kiunki siwaaye dubur ke biwi se har tarah ka istimtaa jaaiz hai. Lekin main samjhta hoon ke yeh maghribi tehzeeb ka asar hai jo hamaare mu'aashre mein nasoor ki tarah phailta jaa raha hai. Yeh amal takreem e insaaniyat aur ehtraam e Muslim ke mukhaalif hai. Allah ne insaan ko is se buland paida farmaaya hai. Kya kisi musalmaan ke liye yeh munasib amal hai ke woh jis munh ke saath Quran e Majeed ki tilaawat karta ho, azkaar padhna ho aur Allah ki tasbeeh karta ho Usi munh ke saath sharmgaah ka bosa le. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki talimaat se wazeh hota hai ke aap har achche kaam ko daayen haath se anjaam dete the. Aur istinja waghera baayen haath se farmaate the. Jab haathon mein itni ehtiyaat ki jaa sakti hai to zabaan to phir aik behtar hissa hai.
Lehaza aadmi ko chaahiye ke woh maghrib ki mushaabihat ikhtiyaar karne ki bajaaye takreem e insaaniyat aur ehtraam e Muslim ka khayaal rakhe aur Allah Taala ki jaanib se halaal kardah umoor se istimtaa par qana'at kare. Aur mashkook umoor se ijtinaab kare.
والله أعلم بالصواب​
Fatwa Committee
Mohaddis Fatwa
 
Top