PADOSIYON KO TAKLEEF DENA


Ibnatu Ali

Member
❍PADOSIYON KO TAKLEEF DENA

بسم الله الرحمن الرحيم​

Allahﷻ ne apney kalaam-e-paak mein padosiyon ke saath husn-e-sulook ki takeed farmaayi hai, Allahﷻ ne farmaaya:
وَاعۡبُدُوا اللّٰهَ وَلَا تُشۡرِكُوۡا بِهٖ شَيۡـًٔـا‌ؕ وَّبِالۡوَالِدَيۡنِ اِحۡسٰنًا وَّبِذِىۡ الۡقُرۡبٰى وَالۡيَتٰمٰى وَ الۡمَسٰكِيۡنِ وَالۡجَـارِ ذِى الۡقُرۡبٰى وَالۡجَـارِ الۡجُـنُبِ وَالصَّاحِبِ بِالۡجَـنۡۢبِ وَابۡنِ السَّبِيۡلِۙ وَمَا مَلَكَتۡ اَيۡمَانُكُمۡ‌ؕ اِنَّ اللّٰهَ لَا يُحِبُّ مَنۡ كَانَ مُخۡتَالاً فَخُوۡرَۙا‏۝​
"Aur Allahﷻ hi ki 'ibadat karo aur uss ke saath kisi ko shareek naa banaao aur maa baap aur qaraabat waalon aur yateemon aur mohtaajon aur rishtedaar hamsaayon aur ajnabi hamsaayon aur rufaqaaye pehlu(ya'ni paas baithney waaley) aur musafiron Jo log tumhaarey qabzey mein(ghulam) hon sab ke saath ahsaan karo ke Allahﷻ (Ahsan karney waalon ko dost rakhta hai aur) takabbur karney waaley badaayi maarney waaley ko dost nahin rakhta".
❲Surah An-Nisa:36❳

Padosiyon ka bahut 'azeem haq hai isi liye inhein takleef dena muharramaat mein se hai, Hazrat Abu Shurayh(Razi Allahu 'Anhu) se ek marfoo' hadees mein marwi hai ke Nabiﷺ ne farmaaya:
والله لا يؤمن، والله لا يؤمن، والله لا يؤمن، قيل: من يا رسول الله؟ قال: الذي لا يأمن جاره بوائقه​
"Allah ki qasam woh emaan waala nahin, Allah ki qasam woh emaan waala nahin, Allah ki qasam woh emaan waala nahin, kaha gaya: Aye Allah ke rasoolﷺ! kaun hai woh? farmaaya: jis ka padosi uski aziyaton se mehfooz nahin".
❲Sahih Bukahri dekhiye fath ul baari 10/443❳

Nabiﷺ ne ek padosi ka doosre poadosi ki ta'reef karna yaa usey bura bhala kehna uskey liye shahadat wa gawaahi banaya hai, Hazrat ibne Mas'ood(Razi Allahu ‘Anhuma) farmaatey hain: ke ek aadmi ne Nabiﷺ ko kaha: Aye Allah ke rasool ﷺ ! main ye kaisey jaan sakta hoon ke main ne apney padosi par ahsaan kiya hai yaa usey takleef di hai, toh Nabiﷺ ne farmaaya:
إِذَا سَمِعْتَ جِيرَانَكَ يَقُولُونَ :قَدْ أَحْسَنْتَ ، فَقَدْ أَحْسَنْتَ ، وَإِذَا سَمِعْتَهُمْ يَقُولُونَ : قَدْ أَسَأْتَ ، فَقَدْ أَسَأْتَ​
"Agar tum apney padosi ko ye kehtey huwe suno: ke tum ne accha kiya hai toh phir accha hi kiya, aur agar ye kehtey suno: ke tum ne bura kiya toh phir bura hi kiya".
❲Imam Ahmed 1/402, Sahih ul jaame' 623❳

Padosi ko takleef dene ki muta'ddid soortein hain:
❶ Jin mein se hi ek ye hai ke mushtareek diwaar mein lakdi gaadney se padosi ko rokey.
❷ Baghair ijaazat ke apna ghar ooncha karey aur uss se sooraj ko chupa de aur hawa ko rokey.
❸ Uskey ghar ki taraf apni khidkiyan khol kar jhaankey.
❹ Oonchi awaazon se usey tang karey, darwaaza waghairah kisi cheez ko thokey yaa cheekhey chillaaye khaas taur Par uskey soney aur aaraam ke auqaat mein aisa karey.
❺ Apney padosi ke bacchon ko maarey.
➏ Unkey ghar ke darwaazey ke saamney kachra phenkey. agar koi apney saath waaley padosi ko takleef de toh ye gunah e 'azeem ho jaata hai aur uska gunah dugna ho jaata hai jaisa ke Nabiﷺ ne irshaad farmaaya:
لأن يزني الرجل بعشر نسوة خير له من أن يزني بامرأة جاره ولأن يسرق الرجل من عشرة أبيات أيسر له من أن يسرق من بيت جاره.​
"Agar koi aadmi dus(10) 'aurton ke saath zina ka irtekaab karey toh ye uskey liye apney padosi ki 'aurat ke saath zina ka irtekaab karney se halka hoga, agar koi aadmi dus(10) gharon se choriyan karey toh woh uskey liye apney padosi ke ghar se chori karney se halka hoga".
❲Bukhari, Al Adab ul mufrad: 103. As Silsilat us Sahihatu: 65❳

Ba'z khaaen wa ghaddaar apney padosi ki raat ki duty hone ki wajah se uski ghair maujoodgi ka faidah uthaa kar shar wa fasaad phailaaney ke liye uss ke ghar mein ghus jaatey hain. qayamat je din uskey liye halaakat wa barbaadi hai.

━━━━━━━━━━━
┃Kitaab: Muharramaat ❨Haraam Ashya wa Umoor❩
Taleef: Fazilat Al Shaykh Mohammad Saalih Al-Munajjid [Hafidahullah]┃
 
Last edited:
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Mu’aasharat (Rahen Sahen) 0

Similar threads


Top