PARDA KA MAZAQ UDHANE WALA KAAFIR HAI


Ibnatu Ali

Member
PARDA KA MAZAQ UDHANE WALA KAAFIR HAI

Sawal : Shar'ee Hijab pehanne walon ka mazaq udhane walon ka kya hukm hai? Aur ye hijab karne walon ko bhoot (ghost) ki tarha ya chalta phirta hua khema (tent) se taabir karte hain, aur is jaise mazaq wale alfaz bolte hain ?

Jawab: Jo kisi Musalman mard Ya aurat ka mazaq udaye is taur par ke woh shairyat ka karband hain toh woh KAFIR hai. Chahe woh kisi musalman aurat ke hijab ka Mazaq ho ya uske alawa aur koi Deeni masla ho. Is hadith ki wajah se Jise Abdullah ibn e Umar Radhiallahu anhuma ne riwayat kiya hai “Gazwah e tabook ke ek majlis ke ek shakhs ne kaha mein ne apne in sathiyon jaise nahi dekha ye log pet ke bande hai, Aur zuban ke nihyat hi jhute (lier) hain Aur dushman ke muqable mein bahut hi buzdil hain. Toh ek shakhs ne kaha tumne jhut kaha, aur tum munafiq ho, mein is bat se Rasool Allah ( ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ) ko zarur ba-kahbar karunga toh Rasool allah ( ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ) tak yeh baat paunchi aur quran ki ayat nazil hui. Abdullah ibn e Umar Radhiallahu anhuma ne kaha mein ne inhe Rasool Allah ( ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ) ki ontni (camel) ki nakeel se latka hua paya Aur pathar unko zakhmi kar rahe the aur woh bol rahe the Aye Allah ke Rassool hum toh hansi Mazakar kar rahe they Aur Rasool Allah (ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ) ne kaha
اَبِاللّٰهِ وَاٰيٰتِهٖ وَرَسُوْلِهٖ كُنْتُمْ تَسْتَهْزِءُوْنَ لَا تَعْتَذِرُوْا قَدْ كَفَرْتُمْ بَعْدَ اِيْمَانِكُمْ ؕ اِنْ نَّـعْفُ عَنْ طَآئِفَةٍ مِّنْكُمْ نُـعَذِّبْ طَآئِفَةً ۢ بِاَنَّهُمْ كَانُوْا مُجْرِمِيْنَ​
Allah, uski ayatein Aur uske Rassol hi tumhare mazak ke liye rah gaye hain? Tum bahane na banao yaqenan tum apne imaan ke baad be-emaan ho chuke ho Agar hum tum logon mein se kuch ko maaf bhi kar den toh kuch logon ko unke jurm ki sangeen saza bhi denge.
Toh momin ke mazaq udhane ko Allah aur uske Rasool (ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ) aur uski ayat ks mazaq udna ke mutaradif (ek hi hai) qarar diya gya hai.

May Allah grant us success. May peace and blessings be upon our Prophet Muhammad, his family and Companions,

Ye fatwa Alifta se liya gya hai.

Translate from urdu to Roman urdu: Iqbal Javed Al-hindy

Source in urdu

Source in english
 
Top