Shona shaikh

Active member

TAUHEED AUR USKE AQSAAM(TYPES)



Tauheed se murad
"Allah Ta'ala ko zaat, sifat, ibadaat aur uske huquq me munfarid(unique), yakta(ek) aur bemisaal manna hai."
Tauheed islam ke 5 sutuno(pillars) me se sabse pahla sutun(pillar) hai. Aur tauheed hi islam ki pahchan hai aur imaan ka buniyaadi hissa hai.
Tauheed ki teen qisme hoti hai aur un teeno qismo pe iman lana farz hai.

1.Tauheed e Ruboobiyat(Zaat)

2.Tauheed e Uloohiyaat(Ibadaat)

3.Tauheed e Asma wa Sifaat

1.Tauheed e Ruboobiyat(Zaat) kya hai❓
Jawab:
Allah Ta'ala ko kaynaat ki har chiz ka khaliq, malik, raziq aur kaynaat me tamam umoor ki tadbeer karne wala manna Tauheed e Zaat(Ruboobiyat) kahlata hai.Jaisa ke Allah Ta'ala farmata hai

✔"Kaho Allah yakta (ek) hai, Allah ta'ala sabse be-niyaaz hai aur sab uske mohtaaj hai, na uski koi aulaad hai, na wo kisi ki aulaad hai, aur na koi uska hamsar hai."
(Surah Ikhlas 112 : 1-4)

✔“Wahi Awwal bhi hai aur aakhir bhi, zahir bhi aur poshida bhi aur wo har cheez ka ilm rakhta hai”.
(Surah Hadeed 57 : 3)

✔"(Ai Nabi) aap kahiye ke wo kaun hai jo tum ko aasman aur zamin se rizq pahochata hai, ya wo kaun hai jo kaano aur aankho par poora ikhtiyaar rakhta hai, aur wo kaun hai jo zinde ko murde se nikalta hai aur murde ko zinde se nikalta hai aur wo kaun hai jo tamam kamo ki tadbir(intezam) karta hai? zarur wo yahi kahenge ke "Allah", to unse kahiye ke phir kyo nahi darte"
(Surah Yunus 10 : 31)

2.Tauheed e Uloohiyaat(ibadaat) kise kahte hain❓
Jawab:
Tauheed e Uloohiyaat se murad ye hai ke Allah hi haqeeqi aur akela mabud hai. Ibadat ki sari qisme(zubani, maali aur jismani) sirf Allah Ta'ala ke liye hi makhsus hai. Yahi wo tauheed hai jisko mushrikeen e makka samet har daur ke mushrik manne se inkar karte rahe. Ab dekhna ye hai ke kya ham khud is Tauheed pe qayam hai ya nahi❓

◾Allah ke alawa koi ibadat ke layq nahi, insan ka jeena aur marna bas Allah ke liye hi hona chahiye

✔"Kaho meri namaz, meri tamam Qurbaniya mera jeena mera marna sabkuch Allah ta'ala Rabbul Alameen ke liye hai jiska koi shareek nahi usi baat ka mujhe hukm diya gaya hai aur sabse pehla Muslim (Farmabardaar) mai hun."
(Surah Anaam 6: 162-163)

✔"Aur (Ai Logo)tumhara mabud to bas ek hi hai, uske alawa koi ibadat ke layaq nahi, wo bahut rahem karne wala aur maherban hai.
(Surah baqara 2:163)

◾Haath bandh kar ba adab khade hona, Sajda aur Ruku ye sab Allah ke liye hi makhsus hai.

✔"Apni namazo ki hifazat karo aur (khaas taur par) namaz e Asr ki aur Allah ta'ala k saamne is tarah adab se khade ho jese farmabardaar gulaam khade hote hai".
(Surah Baqara 2: 238)

✔"Ai logo jo emaan laye ho! ruku karo, sajdah karo aur ibadat karo apne Rabb ki aur naik kaam karo taki falah paa sako".
(Surah Hajj 22 :77)

◾Dua sirf Allah Ta'ala se hi barah e raast mangni chahiye, Allah apne bando ke qareeb hai aur unki dua sunta aur qubul karta hai.

✔"Ae Nabi! mere bande jab tumse mere mutalliq puche (to unhe bata do) ke mein unke qareeb hi hu jab koi dua karne wala mujhse dua karta hai to mein qubool karta hu Bas unhe chahiye ke wo mera hukm maane mujh par emaan laye taki raah e raast paa ley".
(Surah Baqara 2:186)

◾Har wo khana jispe Allah ke alawa kisi aur ka naam liya gaya ho wo Haraam hai. Sari nazar niyaz aur mannat ka haqdar wahi hai.

✔"Beshak Allah ta'ala ne tum par murdaar, khoon, khinzeer ka gosht aur wo har cheez jo Allah ta'ala k alawa kisi doosre k naam kardi jaye, haraam kar diya hai".
(Surah Baqara 2:173)

◾Raza aur khushnudi sirf Allah hi ki talab karni chahiye.

✔"Rishtedaar, miskeen aur musafir ko uska haqq ada karo yahi tarz e amal behtar hai un logo ke liye jo Allah ta'ala ki khushnudi chahte hai aur wahi log falah paane wale hai".
(Surah Room 30 : 38)

◾Tamam mohabbato pe ghalib Allah ki hi mohabbat honi chahiye.

✔"Logo mein se kuch log aese hai jo Allah ta'ala k siwa doosro ko uska hamsar aur maddey muqabil banate hai, aur unse aesi muhabbat karte hai jesi muhabbat Allah ta'ala se karni chahiye halanke emaan wale to Allah ta'ala se toot kar muhabbat karte hai".
(Surah Baqara 2 :165)

◾Deen aur duniya ke tamam muamlaat me ita'at sirf Allah ki hi honi chahiye.

✔"Humne har ummat mein ek Rasool bheja aur uske zariye sabko khabardaar kar diya k "Allah ta'ala ki ita'at karo aur Ghairullah ki ita'at se bacho uske baad unmein se kisi ko Allah ta'ala ne hidayat bakhshi aur kisi par gumrahi musallat ho gayi".
(Surah Nahal 16 :36)

◾Panah sirf Allah se hi maangni chahiye, kisi aur ke bas me ni ke wo kisi ko panah de sake.

✔"Kaho mein panah maangta hu insaano k Rabb , insano k baadshah, insaano k haqeeqi mabood ki, us waswasa daalne wale k shar se jo baar baar palat kar aata hai, jo loogo k dilo mein waswasa daalta hai, khawah wo jinno mein se ho ya insaano mein se".
(Surah Naas 114 : 1-6)

3.Tauheed e Asma wa Sifat kise kahte hai❓
Jawab:
Tauheed e Asma wa Sifaat se murad ye hai ke Allah ke unsab Asma aur sifat ka iqrar kiya jaye jin se Allah ne Quran me apne apko mausoof kiya ya Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne ahadees me unka zikr kiya. Aur Allah ke asma wa sifat me kisi ko sharik na kiya jaye..
Jaise...‼”Allaah Ne Kaha:

✔"Ai Iblees tujhe usey sajda karne se kis chiz ne roka jise maine apne hatho se paida kiya"
(Surah Saad 38:75)

✔”Rehmaan Arsh Par Qayim Hai”.
(Surah Taha 20 : 5)

◾Qayamat ke roz jaza wa saza dene ka ikhteyar sirf Allah ko hi hoga.

✔"Allah ta'ala kafiro ke muamale mein Nooh Alaihis Salaam aur Loot Alaihis Salaam ki beewiyo ko bataur misaal paish karta hai, wo hamare 2 saaleh bando ki zojiyat(beewiyan)mein thi magar unhone apne un shauharo se khayanat ki (yaani kafiro se saaz baaz ki) aur wo dono (yaani Nooh Alaihis Salaam aur Loot Alaihis Salaam) Allah ta'ala ke muqabaley mein un (beewiyo) ke kuch bhi kaam na aa sakey dono se keh diya gaya ke jao aag mein jaane walo ke saath tum bhi (aag mein) chali jao".
(Surah Tahreem 66 :10)

✒Yani Qayamat ke din insan ke amaal hi kam ayenge na ki kisi ki nisbat , Nooh Alaihissalam apni biwi ke kam na asake,Sirf Allah hi hai jo jise chahega bakshega,Usi ka sab ikhteyaar hai

✔"Ae Nabi! khawah un (munafiko) k liye maafi darkhwast karo ya na karo (ek hi baat hai) agar tum sattar (70) martaba bhi unhe maaf karne ki darkhwast karoge to Allah ta'ala unhe hargiz maaf nahi karega is liye ke unhone Allah ta'ala aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke saath kufr kiya aur Allah ta'ala faasiq logo ko hidayat nahi deta".
(Surah Tauba 9: 80)

Mafhoom e hadees :
☘Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :
"Allah ki qasam! mein nahi jaanta halankey mein Allah ka Rasool hu (marne k baad) mere saath kya muamla hoga".
(Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz hadees no.1243)

◾Shariyat saazi halal wa haram, jayez ya najayez tay karne ka ikhteyar sirf Allah ko hi hai.

✔"Ae Nabi! tum kyu us cheez ko haraam karte ho jo Allah ta'ala ne tumhare liye halal ki hai, (kya) tum apni beewiyo ki khushi chahte ho? Allah ta'ala bakhshaney wala raham farmane wala hai".
(Surah Tahreem 66 : 1)

◾Ilm e ghaib sirf Allah hi ko hai.

✔"Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam unse kaho mein apni zaat k liye kisi nafa aur nuqsan ka ikhtayaar nahi rakhta Allah ta’ala hi jo kuch chahta hai hota hai aur agar mujhe ghaib ka ilm hota to mein bahut se faidey apne liye hasil kar leta aur mujhe kabhi koi nuqsan na pahunchta, mein to mehaz ek khabardaar karne wala hu aur khushkhabri sunane wala hu un logo k liye jo meri baat suney"
(Surah Aaraf 7 :188)

◾Har waqt aur har jagah bando ki sunne wala aur hazir aur nazir(apne ilm aur qudrat ke sath) sirf Allah hi hai.

✔"Aur ae Nabi mere bandey jab tumse mere mutalliq puchey to unhe bata do k mein unse qareeb hi hu pukaarne wala jab mujhe pukaarta hai mein uski pukaar sunta hu aur jawab deta hu lihaza unhe chahiye k meri dawat par labbaik kahe aur mujh par emaan laye takey log raah e raast pa ley".
(Surah Baqara 2 : 186)

✔"Aur Allah ta'ala tumhare saath hai jaha bhi tum ho aur jo kaam bhi tum karte ho use wo dekh raha hai".
(Surah Hadeed 57 : 4)

◾Dilo me chupe bhed sirf Allah hi janta hai.

✔"Tum log khawah aahista baat karo ya unchi aawaaz se (Allah ta'ala k liye yaksa hai kyunki) wo dilo k bhed jaanta hai, kya wahi na jaanega jisne logo ko paida kiya hai? halankey wo poshida baato se bhi ba'khabar hai".
(Surah Mulk 67 : 13-14)

◾Deen aur duniya ki tamam bhalaiya sirf Allah ke hi haath me hai jise chahta hai ata karta hai jisse chahta hai chheen leta hai.

✔"Kaho Ai Allah! kainaat ke baadshah, tu jise chahey hukumat de, jis’se chahey cheen le jise chahe izzat bakhshey jisko chahey zaleel kare, bhalayi tere ikhtiyaar mein hai, beshak tu har chiz par qadir hai"
(Surah Ale Imran 3 : 26)

◾Rizq me tangi aur farakhi karne wala Allah hi hai.

✔"Aur apni aulaad ko gurbat k darr se qatal na karo hum unhe bhi rizk denge aur tumhe bhi, darhaqeeqat aulaad ka qatal ek bada gunah hai".
(Surah Isra 17 : 31)

✔"Ae Nabi inse kaho mera rabb jise chahta hai kushaada rizk deta hai jise chahta hai tang deta hai lekin aksar log (iski haqeeqat) nahi jaante".
(Surah Saba 34 : 36)

◾Aulaad dene ya na dena wala, beti ya beta dene wala sirf Allah Ta'ala hi hai.

✔"Allah ta'ala zameen aur aasmaan ki baadshahi ka malik hai jo kuch chaahta hai paida karta hai jise chahta hai ladkiya deta hai jise chahta hai ladkey deta hai jise chahta hai ladkey aur ladkiya mila jula kar deta hai aur jise chahta hai baanj kar deta hai wo sab kuch jaanta hai aur har cheez par qaadir hai".
(Surah Shura 42 : 49-50)

◾Sehat aur shifa dena wala sirf Allah Ta'ala hi hai.

✔"Allah ta'ala ne mujhe paida kiya wahi meri rehnumayi farmata hai wahi mujhe khilaata hai aur pilaat hai aur jab mein bimaar ho jata hu to mujhe shifa deta hai wahi mujhe maut dega aur phir dobaara zindagi bakhshega usi se mein ummed rakhta hu k rooz e jaza meri khata maaf farmayega".
(Surah Shu’ara 26 : 78-82)

◾Hidayat dena sirf Allah Ta'ala ke hi ikhteyar me hai.

✔"Ae Nabi tum jise chaho use hidayat nahi de sakte lekin Allah jise chahta hai hidayat deta hai aur Allah ta'ala un loogo se khoob wakif hai jo hidayat qubool karne wale hai".
(Surah Qasas 28 : 56)

◾Neki karna aur gunah se bachne ki taufeeq dene wala Allah Ta'ala hi hai.

✔"Hazrat Shuaib Alaihis Salaam ne apni qaum se kaha, mein kuch ni chahta siway(tumhari) islaah ke,jahatak mujhse ho sake. Aur mujhe (uski) taufeeq milna,Allah ki madd ke siwa (mumkin) nahi. Maine usi par bharosa kiya hai aur usi ki taraf ruju karta hu".
(Surah Hood 11 : 88)

HADEES :

☘Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu farmate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mera haath pakad kar farmaya "Ae Muaaz! Allah ta'ala ki qasam mujhe tum se bahut muhabbat hai, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ae Muaaz! mein tujhe taakeed karta hu ke kisi (farz) namaz ke baad ye kalmaat kehna na chhorna

اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى ذِكْرِكَ وَشُكْرِكَ وَحُسْنِ عِبَادَتِك
Yani "Ya Allah! mujhe, shukr aur behtareen ibadat karne ki tofeeq ata farma".
(Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1522)

◾Nafa aur Nuqsan ka Malik sirf Allah Ta'ala hi hai.

✔"(Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam) in munafiqo se kaho kaun hai jo tumhare muamaley mein Allah ta'ala k faisley ko rokne ka kuch bhi ikhtayaar rakhta hai agar wo tumhey nuksaan pahuchana chahey ya nafa pahuchana chahye? tumhare aamaal se Allah ta'ala poori tarah ba'khabar hai"
(Surah Fatah 48 : 11)
 
Last edited:

Similar threads


Top