Shona shaikh

Active member
Bismillahirrahmanirrahim

Peshaab Ki Cheeto Se Bachne Ka Hukm


Mehfum-e-Hadees: Hazarat Abdullah Ibn-e-Abbas (RaziAallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Ek Martaba Huzoor (Sallalahu Alayhi Wasallam) Ek Bagh Se Guzre, Waha Par 2 Qabren Thi, Ki Achanak Aawaz Aayi, Tou Huzoor (Sallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya-Qabr Waalo Par Azaab Ho Raha Hai, Ye Usi Ki Aawaz Hai,Fir Hazarat Ibn-e-Abbas (Radiallahu Anhu) Ne Pucha Ye Azaab Kyu Ho Raha Hai?

Aap Ne Farmaya – Ek Peshaab Ki Cheeto Se Nahi Bachta Tha, Aur Dusra Chugali Karta Tha,Fir Farmaya Ki, Khajoor Ki Shakh Lekar Aao”,

Aap Hazarat Ibn-e-Abbas (RaziAllahu Anhu) Khajoor Ki Shakh Le Aaye,Aap Huzoor (Sallalahu Alayhi Wasallam) Ne Uss Shak Ke 2 Tukde Kar Diye, Aur Dono Ki Qabron Par Rakh Diya, Aur Farmaya Jab Tak Ye Shakh Sukhengi Nahi Tab Tak Azaab Me Takhfeef (Kami) Rahengi.
(Bukhari Sharif Jild 1, Kitabul Wuzu, Bab Ul Azaab-E-Qabr, Hadees-169)
 
Top