Gaay (Cow) ke doodh (Milk) Aur Ghee mein shifa aur Gost mein Bimari


Abdul Adil

Member
Gaay (Cow) ke doodh (Milk) Aur Ghee mein shifa aur Gost mein Bimari

Allah Ke Rasool ﷺ se mansoob hai ki

سمن البقر والبأنها شفاء ولحومها داء

Gaaye Ka Ghee Aur Doodh Shifa aur Iska Gost bimari hai

[Al-Kamil Libne Adi 7/300]

Al Silsila Tus As Sahiha Mein ye riwayat is tarah se hai

البانها شفاء وسمنها دواء ولحومها داء. يعني البقر".

Gaayon (Cows) ka doodh shifa hai , unka ghee dawa hai aur Unka Gost bimari hai.

[Al-silsila Tus As Sahiha Raqam Number : 1533]

Tahqeeq :- Ye Riwayat Jhoothi hai , Iski sanad mein Muhammad Bin Jyad Al-Tahan Kazzab hai.

Is Hadees Ko Zaeef , Munkir Kahne Wale Muhaddiseen _______

1] Ibne Adi Rahimahullah ne kaha

منكر

[Al-Kamil Fi Al-Zoafa : 7/298]

2] Imam Ibne Qaishrani Rahimahullah ne kaha

محمد بن زياد كذاب

[Jakiratul Huffaz : 3/1478]

3] Imam Shakhawi Rahimahullah ne kaha

إسناده ضعيف منقطع

[الأجوبة المرضية ١‏/٢٣]

Nez Farmaya

الطحان متهم بالكذب

[الأجوبة المرضية ١‏/٢٤]

Mazeed farmaya

له شواهد

[Al-Maqasidul Hasna : 390]

4] Imam Azuli Rahimahullah ne kaha

ضعيف

[Kashf ul Khafa : 2/182]

5] Ibne Qayyam Rahimahullah ne kaha

لا يثبت ما في هذا الإسناد

[Zaad Ul Ma'ad : 4/298]

6] Ibne Mafleh (ابن مفلح) Rahimahullah ne kaha

ليس هذا الخبر بذاك الضعيف الواهي وقد ذكر بعضهم أن هذا الإسناد لا يثبت ، كذا قال وفيه نظر

[Al-Adaab Al-Shariya : 2/372]

7] Abu Tayyab Muhammad Shamsul Haq Bin Ameer Al Dyanwi Al-Azeema baadi ne kaha

إسناده ضعيف

[Gyat Ul Maqsood : 3/113]

8] Imam Jarqashi Rahimahullah ne kaha

منقطع وفي صحته نظر

[اللآلئ المنثورة ١٤٨]

Note :- Yaad rahe is riwayat ki jitni bhi sanade hai sab Zaeef hai

Al-Batta Shaikh Albani Rahimahullah ne kaha

إسناده حسن

[Al-Silsila Tus As Sahiha Raqam Number : 1533]

Nez farmaya

صحيح

[Sahih Al Jamey Hadees Number : 1233]

Imam Haqim Rahimahullah ne kaha

صحيح الإسناد، ولم يخرجاه

[Al-Mustadrak Ala A-Sahiheen Hadees Number : 8451]
 
Last edited:
Top