Phone Uthane Wala Pehle Salaam Kare Ya Kalaam


Phone Uthane Wala Pehle Salaam Kare Ya Kalaam.

Fazilatus Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Islamic Dawah Center Taif(Saudi Arabia)
Romanised: Khadija Muhammadi

Masala Yah Hai Ke Jab Kisi Ko Phone Kiya Jaae To Phone Uthane Wala Pehle Salaam Kare Ya Takhatub Ka Koi Kalamah Istimaal Kare? Is Silsile Me Raajeh Baat Yahi Hai Ke Phone Uthane Wala Takhatub Ka Koi Bhi Kalamah Jo Uske Mahol Aur Muashre Me Raaij Hai Bole,Is Silsile Me Shaikh Albani RH Ka Mauqaf Yahi Hai Fir Phone Karne Wala Apne Mukhaatib Ko Salaam Kare.
Is Baat Ko Dusre Alfaaz Me Ayse Samjhe Je Jab Ham Kisi Ko Phone Karte Hai To Basa Awqaat Mushkil Se Rabata Hota Hai,Connection Ka Problem Hota Hai Ya Kabhi Ek Jaanib Phone Access Karne Wala Ya Phone Karne Wala Gair Muslim Ho Sakta Hai Jis Se Islaam Me Salaam Karna Man'a Hai. Fir Yaha Ek Uljhan Yah Bhi Hai Ke Phone Karne Wala Salaam Kare Ya Uthaane Wala? Kon Pehal Kare Aur Kis Buniyaad Par?
Is Liye Behtar Yah Hai Ke Jab Ham Kisi Ko Phone Karr To Apna Phone Dusre Se Marboot Ho Jaane Ka Intizaar Kare,Uski Surat Yah Hai Ke Jis Ne Phone Access Kiya Hai Use Chaahiye Ke Takhaatub Ka Koi Jumlah Masalan Hello,Ahlan Wa Sahlan,Marhaba Farmaaiye,Halla,Naam Wagairah Bol Kar Pehle Aapas Me Marboot Ho Jaae Fir Phone Karne Wala Salaam Se Apni Baat Ka Aagaaz Kare. Agar Number New Ho To Salaam Se Pehle Ta'ruf Bhi Kar Le Taaki Pata Chal Jaae Musalmaan Bhai Hai Ya Koi Aur? Yah Masala Haraam Aur Halaal Ka Nahi Hai Balke Afzaleeyat Aur Ahtiyaat Ka Taqaza Hai. Taham Meri Nazar Se Is Masale Me Bhi Koi Ziyadah Qabahat Nahi Hai Ke Phone Uthaane Wale Ko Agar Yaqeen Ho Ke Phone Karne Wala Hamaara Musalmaan Bhai Hai To Bajaae Takhaatub Ke Baraa E Rasat Salaam Se Apni Baat Ko Shuru Kare. Taham Ahtiyaat Aur Afzaliyat Ke Paishe Nazar Qawi Maslak Yahi Ma'loom Hota Hai Ke Phone Uthaane Wala Pehle Takhaatub Ke Kalmah Ke Zariya Phone Karne Wale Se Rabata Qaaim Kar Le Fir Phone Karne Wala Salaam Kare,Aage Hadees Aa Rahi Hai Jis Se Is Mauqaf Ki Taaid Hoti Hai.
Ab Yaha Chand Ek Shubhaat Ka Izaala Bhi Kar Deta Hu Ke Jinhone Yah Kaha Ke Kalaam Ke Shuru Me Hello Nahi Kehna Chaahiye Kuy Ke Uska Ma'ni Jahnnami Ka Hai To Yah Masala Mene Alag Mazmoon Me Waazeh Kiya Hai,Hello Kehne Me Koi Haraj Nahi Hai Aur Uska Ma'ni Jahnnami Nahi Hota Hai. Aur Jinhone Kaha Ke Hello Ke Ma'ni Me Kuch To Hai Jis Ki Wajah Se Agngrezo Ne Use Istimaal Karna Chhod Diya To Yah Qatai Galat Hai,Yah Kis Ne Kaha Ke Angrez Ya English Bolne Wale Helli Istimaal Karna Chhod Diye,Har Jagah English Bolne Walo Me Yah Lafz Aam Hai Yaha Tak Ke Angrezo Me Bhi Jis Tarah Dusre Alfaaz Aam Hai Jinhone Kaha Ke Hello Bolne Se Salaam Mit Jaae Ga Kuy Ke Angrezo Ki Koshish Hi Islaami Tehzeeb Aur Saqafat Ko Mitana Hai,Unke Liye Jawab Yah Hai Ke Hello Bolna Kis Ne Zaroori Kaha Hai? Ham Is Lafz Ka Istimaal Zaroori Nahi Kehte Balke Yah Kehte Hai Ke Agar Kisi Ne Is Lafz Ka Istimaal Kar Liya To Usme Koi Muzahiqa Nahi Hai. Albatta Jinhone Yah Kaha Ke Salaam Se Hi Apni Baat Ka Aagaaz Karna Zaroor Hai Aur Daleel Me" As Salaam Qabalal Kalaam" Yani Baat Karne Se Pehle Salaam Karna Hai,Is Hadees Ko Paish Karte Hai. Is Hadees Ki Haqeeqat Aage Bayan Ki Jaae Gi Pehle Unki Khidmat Me Arz Hai Ke Aap Pehle Salaam Ke Mutalliq Islaami Hukam Samjh Le Islaam Me Salaam Karna Wajib Nahi Hai Balke Masnoon Hai,Agar Koi Salaam Karta Hai To Fir Jawaab Dena Waajib Ho Jata Hai.
Mazeed Bar'aa Phone Par Takhatub Wala Koi Jumla Kehna Salaam Se Pehle Yah Usi Tarah Hai Jaise Ke Koi Kisi Ke Darwaaze Par Ja Kar Darwaza Khatkhata Kar Us Se Ijazat Talab Kare.
Abu Moosa Ash'ari RA Se Marvi Hai Ke Nabi SAV Ne Farmaya:
إذا استأذن أحدكم ثلاثا فلم يؤذن له فليرجع.
Tarjumah: 3 Martaba Ijazat Talab Karo Agar Ijazat Mil Jaae To Thik Warna Wapis Laut Jaao.(Muslim Sharif,Kitabul Istizaan Wal Aadaab:2153)
Darwaze Pat Awwalan Salaam Nahi Ijazat Talab Karna Hai Jab Ijaazat Mil Jaae To Ghar Me Daakhil Hote Hue Salaam Karna Hai. Haa Agar Aadmi Bilmushaafa Mulaaqaat Kare To Apni Baat Ka Aagaaz Salaam Kare. Pehli Rivayat,Kalaam Se Pehle Salaam Wali Rivayat:
حدثنا الفضل بن الصباح بغدادي حدثنا سعيد بن ذكريا عن عنبسة بن عبد الرحمان عن محمد بن زاذان عن محمد بن المكندر عن جابر بن عبدالله قال قال رسول الله صلى الله عليه وسلم قبل الكلام وبهذا الإسناد عن النبي صلى الله عليه وسلم قال لا تدعوا أحدا إلى الطعام حتى يسلم قال أبو عيسى هذا حديث منكر لا نعرفه إلا من هذا الوجه وسمعت محمدا يقول عنبسة بن عبد الرحمان ضعيف في الحديث ذاهب و محمد بن زاذان منكر الحديث.(2699 :Tirmizi)
Jabir RA Se Rivayat Hai Ke Rasool SAV Ne Farmaya:Salaam Kalaam Se Pehle Kiya Jana Chahiye. Aur Usi Sanad Se Yah Bhi Manqool Hai Ke Kisi Ko Us Waqt Tak Khaane Ke Liye Na Bulaao Jab Tak Woh Salaam Na Kare.
Imaam Tirmizi Ne Farmaya: Yah Hadees Munkar Hai. Ham Use Isi Sanad Se Jante Hai Aur Mene Muhammad (Imaam Bukhari) Se Suna Ke Anbasa Bin Abdur Rahman Zaeef Aur Zaahibul Hadees Hai Aur Mubammad Bin Zaazaan Munkarul Hadees Hai.
Goya Imaam Tirmizi Ne Bhi Use Munkar Qaraar Diya Hai Shaikh Zubair Ali Zai Hafizahullaah Ne Is Rivayat Ko Zaeef Kaha Hai.(Anwarus Sahiha,Zaeef Sunan Tirmizi,2699)
Shaikh Albani RH Ne Is Rivayat Ko(Zaeeful Ja'me:3373,3374)Me Mauzu Kaha Hai.
Dusri Rivayat:
من بدأ بالكلام قبل السلام فلا تجيبوه.
Tarjumah:Jo Bagair Salaam Ke Baat Kare Uska Jawaab Na Do.
☆ Abu Haatim Ne Is Rivayat Ko "Al Ilal"(2/294/2390)Baatil Qaraar Diya Hai.
☆ Abu Zar'a Ne "Al Ilal" (2/332/2517) Me Is Hadees Ki Koi Asal Tasleem Nahi Ki Hai.
☆ Haysami Ne "Al Majm'a" (8/32) Me Kaha Ke Uski Sanad Me Haroon Bin Mubammad Abut Taiyab Nami Ravi Kazzaab Hai.
Goya Yah Hadees Bhi Zaeef Hai Aur Us Se Bhi Istidlaal Nahi Kiya Jaae Ga. Agar Sahih Bhi Maan Lete Hai Jaisa Ke Shaikh Albaani Ne Ise Hasan Qaraar Diya Hai,Fir Bhi Phone Uthaate Waqt Hello Ya Marhaba Wagairah Kehne Me Koi Haraj Nahi Hai Kuy Ke Yah Misal Darwazah Khatkhatane Aur Ijazat Talab Karne Ke Hai. Yahi Mauqaf Shaikh Albani RH Ka Hai Jab Ke Un Ke Samne Yah Hadees Thi Fir Bhi Woh Ma'ni Nahi Lete Jo Salaam Se Shuru Karne Wale Log Lete Hai.
Phone Access Karne Wala Kiya Kahe Us Se Mutalliq Shaikh Muhammad Nasirud Din Albani RH Ka Ek Waqia Yaha Zikar Karna Mufeed Hoga Jise Shaikh Saleh Bin Ta'ha Abu Salaam Ne Apni Kitaab AlMan'e Al Jameel(1/16-17) Me Zikar Farmaya Hai. Woh Bayan Karte Hai Ke Ek Martaba Shaikh Albani RH Ne Telephone Se Mujh Se Rabata Qaaim Kiya Aur Me Maujood Nahi Tha To Meri Chhoti Beti Ne Telephone Ka Receiver Uthaate Hi Kaha "As Salaamu Alykum Wa Rahmatullaahi Wa Barakatuhoo" Shaikh Ne Mutalliq Istifsaar Kiya Fir Us Bachchi Se Kaha Ke Apne Waalid Ko Khabar Dena Ke Mubammad Nasirud Din Albaani RH Ne Phone Kiya Tha. Aur Unhone Apne Liye Shaikh Ka Lafz Istimaal Nahi Kiya Yah Unka Tawazeh Tha,Allaah Jannat Me Unke Darjaat Ko Buland Farmaae Jab Me Ghar Lauta To Meri Bachchi Ne Khabar Di Ke Ek Aadmi Ne Phone Kiya Tha Unka Naam Muhammad Nasiruddin Albani Hai Mene Foran Shaikh Ko Phone Lagaya To Shaikh Jo Chaah Rahe The Mujh Se Puchna Us Ke Mutalliq Mujh Se Kaha:Ay Abu Salaam! Jab Mene Aap Se Ittisaal Kiya To Aap Ki Choti Beti Ne Phone Uthaaya Aur Kaha:As Salaamu Alykum Wa Rahmatullaahi Wa Barakaatuhu Kya Yah Amal Ilm Aur Yaqeen Ke Saath Hai Ya Bachchi Ki Taraf Se Zaati Tasrruf Hai? Ay Abu Salaam Ham Is Mamle Me Istifadah Chahte Hai.
Yah Baat Bhi Shaikh RH Ke Tawazeh Aur Dawat Ki Hikmat Me Se Hai.
Mene Shaikh Se Kaha:Yah Bachchi Ki Taraf Se Pehli Baar Tasrruf Hua Hai Aur Jaha Tak Is Masale Me Mujhe Maloom Hai Woh Yah Ke Telephone Ka Receiver Uthane Wala "Na'am" Kahe Aur Jis Ne Phone Kiya Hai Woh Is Se Salaam Kare Tab Woh Phone Karne Wale Ko Salaam Ka Jawaab Lautaae,Na Yah Ke(Phone Uthaane Wala)Salaam Se Shuru Kare.
Shaikh RH Ne Jawab Diya Ke Yahi Sahih Hai Jo Me Janta Hu,Is Liye Ke Phone Karne Wala Shakhas Us Shakhas Ki Tarah Hai Jo Darwaza Khatkhata Kar(Ijaazat) Talab Karta Hai Dono Me Koi Farq Nahi Hai.
 
Top