Islah E Niyat Ki Zaroorat o Ahmiyat


Ibnatu Ali

Member
Islah E Niyat Ki Zaroorat o Ahmiyat

Ameerul Momineen Abu Hafs Umar Bin Khattaab Radi Allahu’Anhu Se Riwayat Hai Wo Kehte Hai Ke Maine Rasoollallah Sallallahu Aalaihi Wasallam Ko Farmate Huwe Suna:
“Tamaam Aamaal Ka Daar o Madaar Niyatou Par Hai Aur Har Shaks Ko Uski Niyat Ke Mutabiq Jaza (badla) Milegi, Jis Ki Hijrat Allah Ta’ala Aur Uske Rasool Ke Liye Ho To Uski Hijrat Allah Ta’ala Aur Uske Rasool Hi Ke Liye Hi Hai, Aur Jis Ki Hijrat Husool-e-Duniya (Duniya Hasil Karne) Ke Liye Ya Kisi Aurat Se Nikah Ki Garz (Maqsad) Se Ho Tou Uski Hijrat Us Cheez Ke Liye Hai Jis Ke Liye Usne Hijrat Ki.”
[Saheeh Muslim, Hadees 4927]

Imam Nawawi Rahimahullah Kehte Hain:
Lugwi Tashree:
[Hafs]
Sher, Abu Hafs Ye Hazrat Umar Radi Allahu'Anhu Ki Kunniyat Hai.
[Anniyah] Niyat Ki Jama’ (plural) hai Lugwi Taur Par Niyat Ka Matlab Irada Hai, Istelahi Taur Par Niyat Us Irade Ko Kehte Hain Jo Fa’il (Karne Waale) Ke Sath Muttasil (Mili Hui) Ho.
[Hijrat] Lugwi Taur Par Hijrat Ki Ma’ani “Tark Karna” Hai Aur Shar’an, Deen Ko Bachane Ki Garz Se Dar-ul-Kufr Se Dar-ul-Islam Ki Taraf Chale Jane Ko Hijrat Kaha Jaata Hai. Raha Aap Ka Ye Farmaan Ke “Uski Hijrat Allah Ta’ala Aur Uske Rasool Ki Taraf Hai” Tou Iska Matlab Ye Hai Ke Uski Hijrat Riya Aur Dikhawe Se Paak Hai, Aur Uska Maqsad Sirf Allah Ta’ala Aur Uske Rasool Ki Riza Hasil Karna Hai, Is Liye Us Ki Hijrat Maqbool Hai Aur Use Uski Jaza Milegi.
[Li'Duniya Yusibuhaa] (Ka Matlab Yeh Hai Ki) Kisi Duniyawi Garz Ke Husool Ki Khatir Ho.

Fawaid:
Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam Ne Is Hadees-e-Mubarakah Mein Ye Haqiqat Bayaan Farmayi Hai Ke Insaan Ke Tamaam A’maal Ki Quboliyat Aur Unke Ajr-o-Sawaab Ka Inhesaar Niyat Par Hai.

Aamal Karne Wale Ki Niyat Durust Ho Tou Uska Aamal Allah Ta'ala Ke Yahan Maqbool Aur Aamal Karne Wale Ko Uska Sawaab Milta Hai. Aagar Aamal Karne Wale Ki Niyat Durust Na Ho Tou Bazahir Wo Aamal Kitna Hi Achchaa Kiun Na Ho, Aamal Karne Wala Ko Uska Sawaab Nahi Milta, Balke Wo Amal Uske Liye Wabaal Aur Ba'is e Gunah Ban Jata Hai, Goya Niyat Tamaam Aamaal Ki Rooh Hai.

Sharah Arbaeen e Nawawi. Imam Nawawi (Rahimahullah) Tarjuma wa Fawaid: Professor Sayeed Mujtaba Sayeedi (Hafizahullah), Page 21.
 
Top