QABAR MEIN NABI (ﷺ) KI HAYAAT KA MAS'ALAH


QABAR MEIN NABI (ﷺ) KI HAYAAT KA MAS'ALAH

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
Is baat mein koi shak nahin hai ke Nabi Kareem (ﷺ) Dunya ki zindagi guzaar kar faut hogaye hai.

Irshaad e Baaree تعالى hai:

أعوذ بالله من الشيطان الرجيم
اِنَّكَ مَیِّتٌ وَّ اِنَّهُمۡ مَّیِّتُوۡنَ

"Beshak aap wafaat paane waale ho aur ye log bhi marne waale hain."
(1)

Sayyidnaa Abu Bakr (Raziyallaahu 'Anhu) ne farmaaya:

أَلَا مَنْ كَانَ يَعْبُدُ مُحَمَّدًا صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَإِنَّ مُحَمَّدًا قَدْ مَاتَ

"Sunlo ! Jo shakhs Muhammad (ﷺ) ki ibaadat karta tha toh beshak Muhammad (ﷺ) faut hogaye hain." (2)

Is mauqe par Sayyidnaa Abu Bakr Al-Siddeeq (Raziyallaahu 'Anhu) ne ye aayat bhi tilaawat farmaayi:

وَمَا مُحَمَّدٌ إِلا رَسُولٌ قَدْ خَلَتْ مِنْ قَبْلِهِ الرُّسُلُ أَفَإِنْ مَاتَ أَوْ قُتِلَ انْقَلَبْتُمْ عَلَى أَعْقَابِكُمْ وَمَنْ يَنْقَلِبْ عَلَى عَقِبَيْهِ فَلَنْ يَضُرَّ اللَّهَ شَيْئًا وَسَيَجْزِي اللَّهُ الشَّاكِرِينَ

"Muhammad (ﷺ) sirf ek Rasool hain. Unse pehle bhi bohat se Rasool guzar chuke hain. Pas kya agar woh wafaat paa jaayein ya Unhen Shaheed kardiya jaaye toh tum Islaam se phhir jaaoge ? Aur jo shakhs apni Aeydiyon ke bal phhir jaayega toh woh Allaah ko koi nuqsaan nahin pohncha sakega aur Allaah anqareeb Shukr guzaar Bandon ko badlah dene waala hai" (3)

Unse ye aayat sunkar (tamaam) Sahaabah Karaam ne ye aayat pardhni shuroo kardi. (4)

Sayyidnaa 'Umar (Raziyallaahu 'Anhu) ne bhi isey tasleem karliya. (5)

Ma'loom hua ke ispar Sahaabah Karaam ka ijmaa' hai ke Nabi (ﷺ) faut hogaye hain.
Sayyidah 'Aa'ishah (Raziyallaahu 'Anhaa) ne farmaaya:

مَاتَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَإِنَّهُ لَبَيْنَ حَاقِنَتِي وَذَاقِنَتِي ، فَلَا أَكْرَهُ شِدَّةَ الْمَوْتِ لِأَحَدٍ أَبَدًا بَعْدَ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ

"Nabi (ﷺ) ki wafaat hui toh Aap (ﷺ) meri hansli (collarbone) aur thoadi (chin) ke darmiyaan (sar rakhe hue) the. Aap (ﷺ) (ki shiddat sakraat) dekhne ke ba'd ab main kisi ke liye bhi Naza' (jism se rooh ke nikalne ka manzar) ki shiddat ko bura nahin samajhti." (6)

Sayyidah 'Aa'ishah (Raziyallaahu 'Anhaa) bayaan karti hain ke Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

مَا مِنْ نَبِيٍّ يَمْرَضُ إِلَّا خُيِّرَ بَيْنَ الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ

"Jo Nabi bhi beemaar hota hai toh usey Dunya wa Aakhirat ke darmiyaan ikhtiyaar diya jaata hai." (7)

Aap (ﷺ) ne Dunya ke badle mein Aakhirat ko ikhtiyaar karliya ya'ni Aap (ﷺ) ki wafaat ke ba'd Aap ki zindagi Ukhrawi zindagi hai jisey ba'z 'Ulamaa barzakhi zindagi bhi kehte hain.

Ek riwaayat mein hai ke Sayyidah 'Aa'ishah (Raziyallaahu 'Anhaa) farmaati hain:

كُنْتُ أَسْمَعُ أَنَّهُ لَا يَمُوتُ نَبِيٌّ حَتَّى يُخَيَّرَ بَيْنَ الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ

"Main (Aap (ﷺ) se) sunti thi ke koi Nabi wafaat nahin paata yahaan tak ke usey Dunya aur Aakhirat ke darmiyaan ikhtiyaar dey diya jaata hai." (8)

Sayyidah 'Aa'ishah (Raziyallaahu 'Anhaa) hi farmaati hain:

فَجَمَعَ اللَّهُ بَيْنَ رِيقِي وَرِيقِهِ فِي آخِرِ يَوْمٍ مِنَ الدُّنْيَا ، وَأَوَّلِ يَوْمٍ مِنَ الْآخِرَةِ.

"Pas Allaah (تعالى) ne mere aur Aap (ﷺ) ke thook ko (miswaak ke zariye se) us din jama' kardiya jo Aapki Dunya ki zindagi ka sab se aakhri aur Aakhirat ki zindagi ka sab se pehla din tha." (9)

Sayyidah 'Aa'ishah (Raziyallaahu 'Anhaa) se ek doosri riwaayat mein hai:

لَقَدْ مَاتَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ

"Yaqeenan Rasool Allaah (ﷺ) faut hogaye hain." (10)

Inke alaawah aur bhi bohat se dalaael hain. Is Saheeh wa Mutawaatir dalaael se ma'loom hua ke Sayyidnaa Muhammad (ﷺ), Mere Maa Baap unpar Qurbaan hojaaye, Faut hogaye hain.

Sayyidnaa Abu Hurairah (Raziyallaahu 'Anhu) apni Namaaz ke baare mein farmaate the:

إِنْ كَانَتْ هَذِهِ لَصَلَاتَهُ حَتَّى فَارَقَ الدُّنْيَا

"Aap (ﷺ) ki yahi Namaaz thi yahaan tak ke Aap (ﷺ) Dunya se chale gaye." (11)

Ek doosri riwaayat mein hai ke Sayyidnaa Abu Hurairah (Raziyallaahu 'Anhu) ne Nabi Kareem (ﷺ) ke baare mein farmaaya:

حَتَّى فَارَقَ الدُّنْيَا

"Yahaan tak ke Aap (ﷺ) Dunya se chale gaye." (12)

Sayyidnaa Abu Hurairah (Raziyallaahu 'Anhu) hi farmaate hain:

خَرَجَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مِنَ الدُّنْيَا

"Rasool Allaah (ﷺ) Dunya se chale gaye." (13)

Is mein koi shak nahin ke wafaat ke ba'd, Nabi Kareem (ﷺ) Jannat mein hai.

Sayyidnaa Samurah Bin Jundab (Raziyallaahu 'Anhu) ki bayaan kardah Hadees mein aaya hai ke Farishton (Jibreel wa Meekaaeel) ne Nabi Kareem (ﷺ) se farmaaya:

إِنَّهُ بَقِيَ لَكَ عُمُرٌ لَمْ تَسْتَكْمِلْهُ فَلَوِ اسْتَكْمَلْتَ أَتَيْتَ مَنْزِلَكَ

"Beshak Aapki umr baaqi hai jisey Aapne (abhi tak) poora nahin kiya. Jab Aap ye umr poori karlenge toh apne (jannati) mahel mein aajaayenge." (14)

Ma'loom hua ke Aap (ﷺ) Dunya ki umr guzaar kar Jannat mein apne mahel mein pohanch gaye hain.

Shuhadaa Karaam ke baare mein pyaare Rasool (ﷺ) farmaate hain:

أَرْوَاحُهُمْ فِي جَوْفِ طَيْرٍ خُضْرٍ، لَهَا قَنَادِيلُ مُعَلَّقَةٌ بِالْعَرْشِ، تَسْرَحُ مِنَ الْجَنَّةِ حَيْثُ شَاءَتْ، ثُمَّ تَأْوِي إِلَى تِلْكَ الْقَنَادِيلِ.

"Unki roohein sabz parindon ke peyt mein hoti hain, unke liye 'arsh ke neeche Qandeelein latki hui hain. Woh (Roohein) Jannat mein jahaan chaahti hain sayr karti hain phir waapas un Qandeelon mein pohanch jaati hain." (15)

Jab Shuhadaa Karaam ki roohein jannat mein hain toh Anbiyaa Karaam unse badarjah Haa A'laa Jannat ke A'laa wa Afzal tareen maqaamaat wa mahallaat mein hain. Shuhadaa ki ye Hayaat e Jannati, Ukhrawi wa Barzakhi hai, isi tarah Anbiyaa Karaam ki ye Hayaat e Jannati, Ukhrawi wa Barzakhi hai.

Haafiz Ibn Hajar Al-'Asqalaani likhte hain:

لأنه بعد موته وإن كان حيّا فهي حياةٌ أخرويَةٌ لا تشبهُ الحياةَ الدنيا، والله أعلم.

"Beshak Aap (ﷺ) apni wafaat ke ba'd agarche zindah hain lekin ye Ukhrawi Zindagi hai jo Dunyaawi Zindagi se mushaabah nahin hai. Wallaahu A'lam." (16)

Ma'loom hua ke Nabi Kareem (ﷺ) Zindah hain lekin Aapki Zindagi Ukhrawi wa Barzakhi hai, Dunyaawi nahin hai.

Deobandiyon ka jo Aqeedah Rasool Allaah (ﷺ) ki Hayaat ko lekar hai woh oopar zikr kiye gaye tamaam nusoos ke mukhaalif hone ki wajah se baatil wa mardood hai.

Kyunke unka Aqeedah ye hai ke Aap (ﷺ) ki Barzakhi Zindagi Dunyaawi Zindagi ki tarah hai jo ke saraasar jhoot aur Manghadhat baat hai jaisa ke oopar diye gaye nusoos se saabit hochuka hai.

Ibn Qayyim (Rahimahullaah) ne bhi aise logon ki tardeed kee hai (radd kiya hai) jo Barzakhi Hayaat ke bajaaye Dunyaawi Hayaat ka Aqeedah rakhte hain. (17)

Imaam Bayhaqi (Rahimahullaah) (Barzakhi) Radd e Arwaah ke zikr ke ba'd likhte hain:

فهم أحياءُ عند ربهم كالشهداء

"Pas woh (Anbiyaa) apne Rabb ke paas Shuhadaa ki tarah zindah hain.
(18)

Ye 'aam Saheeh Al-Aqeedah aadmi ko bhi ma'loom hai ke Shuhadaa ki zindagi Ukhrawi wa Barzakhi hai, Dunyaawi nahin hai.

☆ Khulaasah Al-Tehqeeq:

Is saari tehqeeq ka khulaasah ye hai ke Nabi Kareem (ﷺ) faut hogaye hain, wafaat ke ba'd Aap (ﷺ) jannat mein Zindah hain. Aap (ﷺ) ki ye Zindagi Ukhrawi hai jisey Barzakhi Zindagi bhi kaha jaata hai. Ye Zindagi Dunyaawi Zindagi nahin hai.

ولله الحمد والمنة و أعلم

《 Mutarjim (Roman Urdu) wa Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah》
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ )

_____________

References:


(1) Soorah No. 39, Al-Zumar, Aayah: 30.
(2) Saheeh Al-Bukhaari: 3668.
(3) Soorah No. 3, Aal 'Imraan, Aayah: 144.
(4) Saheeh Al-Bukhaari: 1241, 1242.
(5) Saheeh Al-Bukhaari: 4454.
(6) Saheeh Al-Bukhaari: 4446.
(7) Saheeh Al-Bukhaari: 4586, Saheeh Muslim: 2444.
(8) Saheeh Al-Bukhaari: 4435, Saheeh Muslim: 2444.
(9) Saheeh Al-Bukhaari: 4451.
(10) Saheeh Muslim: 29/2974 wa Tarqeem Daar Al-Salaam: 7453.
(11) Saheeh Al-Bukhaari: 803
(12) Saheeh Muslim: 33/2976 wa Tarqeem Daar Al-Salaam: 7458.
(13) Saheeh Al-Bukhaari: 5414.
(14) Saheeh Al-Bukhaari: 1/185, Hadees: 1386.
(15) Saheeh Muslim: 122/887 wa Tarqeem Daar Al-Salaam: 4885.
(16) Fat'hul-Baari, J: 7, Pg: 349, Hadees: 4042 ke neeche.
(17) Al-Nawniyah, Fasl Fee Al-Kalaam Fee Hayaatul-Anbiyaa Fee Quboorihim, 2/154, 155.

(18) Risaalah: Hayaatul-Anbiyaa Lil-Bayhaqi, pg: 20.

[ Maakhooz: Kitaab Tauzeeh Al-Ahkaam, Musannif: Haafiz Zubayr Ali Zai ]
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Maqubool Ahmad Salafi Nabi ﷺ Ki Seerat 0

Similar threads


Top