Allah Hafiz Kehna Kaisa Hai?


Ibnatu Ali

Member
Allah Hafiz Kehna Kaisa Hai?

Allah Hafiz Ka Matlab?
Allah Hafiz Ka Matlab Hota Hai Ki Allah Aapki Hifazat Kare.

Kuch Log Aksar Shak Mein Aa Jate Hain Ki Kya Ye Kahna chaiye ya Nahi.

Is Silsile Me Do (2) Raae (Opinion) Payi Jati Hain.
1. Kuch Log Kahte Hain Ki ye Kahna Bid'at Hai Kiunki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam se Ye Kahna Sabit Nahi Hai.

2. Kuch Log Kahte Hain Ki Allah Hafiz Kah Sakte Hain.

Sahih Baat:
Jaha Tak Sahih Raae (opinion) Ki Baat Hai To Sahih Raae (opinion) Ye Hai Ki Jab Tak Aap Isey Salam Ke Sath Nahi Badaltey Hain (Means Salam Ke Kalimaat Ki Jagah Jab Tak Allah Hafiz Nahi Kahte) Toh Allah Hafiz Kahne Mein Koi Harj Nahi Hai. Kahne Ka Matlab Ye Hai Ki Salam Ka Jo Maqaam Hai Us Maqaam Ke Sath Ched-Khani Na Ki Jaye Aur Na Hi Uske Sath Allah Hafiz Ko Badla Jaye Aur Na Hi Assalaamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu Ki Jagah Allah Hafiz Kaha Jaye.

! Islam Mein Jab Do Shakhs Milte Hain Ya Bicharte Hain To Shariyat ne Assalaamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu Kahne Ka Hukm Diya Hai. Aur Aam Taur Par Allah Hafiz Bicharte Waqt Bola Jata Hai. Toh Sahih Hukm Yahi Hoga Ki Hum Assalaamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu Kahen Aur Uske Baad Ya Usse Pahle Allah Hafiz ya Doosri Koi dua Jaise Fee-Amaanillah Kah Sakte Hain.
Aur Ek Ahem Baat Ki Bicharte Waqt Dua Dena Shariyat Se Sabit Hai So Hum Koi Nayi Cheez Deen Mein Nahi Ejaad Kar Rahe Hain. Aur Allah Hafiz Bhi Ek Dua Hi Hai Aur Dua Dena Bicharte Waqt Shariyat se Sabit Hai.

Daleel:
Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Riwayat Karte Hain Ki Ek Shakhs ne Kaha Aye Allah Ke Rasool! Main Safar Karne Ka Iradah Karta Hun Isliye Mujhe Kuch Naseehat Farmaye. RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya, “Allah ka Taqwa Ikhtiyar Karna aur Har Buland Muqaam Par Takbeer Kahna”. Aur Jab Wo Shakhs Mud Gaya (Turned Away) Toh Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:
اللَّهُمَّ اطْوِ لَهُ الأَرْضَ وَهَوِّنْ عَلَيْهِ السَّفَرَ​
Tarjuma :- Aye Allah! Is Shakhs Ke Liye Faasla Kam Kar De Aur Is Ke Safar Ko Aasaan Farma.
(Tirmidhi:3445)
!Grade: Hasan

Allah Rabbul A'alameen Hamein Aamal e Saliha Ki Taufeeq Ata Farmaye.
Aameen.
 

Top