QABRON KI MOJAWERI AUR ISLAM


QABRON KI MOJAWERI AUR ISLAM
Taaleef: GHULAM MUSTAFA ZAHEER AMANPORI hafizahullah
Romanised: Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Qabron ki tazeem mein ghulo ne bohat se aitqaadi aur akhlaqi fitnon ko janam diya hai. Qabron aur mzarat par mushrikana aqaed o aamaal aur kafirana rasoom o rivaaj is qadr rivaaj pa rahi hain ke baaz logon ne yahood o nasari ki pairwi mein aulia o saaliheen ki qubor ko sajda gaah bana liya hai. Talab-e-hajat ke liye un par muraqba aur Mujahida karte nazar aate hain, har mushkil mein un ki pukaar karte hain aur un se faryadain karte hain, un se darte hain aur unhi se umeeden wabasta karte hain. Un par chadhawe chadhate hain, minnat manoti aur nazrane pesh karte hain. Logon ka qeemti maal hadap karne ke liye wahan thag baithe hote hain jinhein Mujawer kehte hain. Woh zayereen ko sahib-e-qabar ke mutaliq jhoote qisse aur karamaat sunaate hain. Jahalat aur zuaf aitqaadi ke baayis log un ki baton mein aa jatay hain. Is tarha yeh jaahil log awaam ka imaan barbaad karte hain. Qabar-parastion ki yeh intehayi koshish hoti hai ke woh awaam-un-naas ko qabar-parasti aur aulia parasti ke hawale se woh saaray ke saare wasayel o zaraye muhayya karen jin ki bunyaad par woh shirk o bidat ki taraf chal den.

Inhi wasail mein se ek qabron par Mujawer ban kar baithna hai. Qabron par Mujawer aur khadim ban kar baithna munkar aur bidat hai. Yeh boton ke pojarion ke sath mushabihat aur Yahodiyanah rawish hai. Mushrikeen apne boton ki dekh bhaal aur nigrani isi terhan karte thay:

Jaisa ke ALLAH TA'ALA ka farmaan-e-aalishaan hai:

إِذْ قَالَ لِأَبِيهِ وَقَوْمِهِ مَا تَعْبُدُونَ ٭ قَالُوا نَعْبُدُ أَصْنَامًا فَنَظَلُّ لَهَا عَاكِفِينَ
"Jab (ibrahim alaihissalam ne) apne baap aur apni qoum se kaha ke yeh kya cheezen hain jin ki tum ibadat karte ho? woh kehne lage: hum boton ki pooja karte hain aur inhen ke Mujawer bane rehte hain."(Surah al-Shu'ara:70-71)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Muhammed Ali Owais Shirk 0

Similar threads


Top