QABRON PAR AMAAL PESH HONA


QABRON PAR AMAAL PESH HONA
Tahreer : FAZILAT-USH-SHAIKH ABUL HASAN MUBASSHIR AHMED RABBANI hafizahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAAL:
Musnad Abi Dawod Tayalisi mein Jabir Bin Abdullah raziallahi-anhu se riwayat hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:

"Tumahre aamaal tumahre rishta daaron aur qaraabat daaron par un ki qabron mein pesh kiye jatay hain, pas agar nekian hon to woh khush hotay hain aur agar kuch ghair Saleh aamaal hon to woh kehte hain :aye ALLAH! to inhen tofeeq de ke woh teri ita'at waale kaam karen."( Musnad Abi Dawod Tayalisi:1903. /wa Musnad Ahmed:3/165)

Kya yeh riwayat sahih hai aur hamare aamaal waaqiatan hamare rishta daaron par un ki qabron mein pesh kiye jaate hain?

JAWAAB:
Mazkoorah baala riwayat sahih nahi hai, intehayi kamzor hai, is ki sanad mein 'Sallat Bin Dinar' Ravi ko Imam Ahmed, Imam Yahya Bin Mayeen, Imam Abdul Rahman Bin Mehdi, Imam Bukhari, Imam Jauzjaani, imam Darqutanni aur Imam Nasaayi waghairohum ne ZAYEEF o matrooK qarar diya hai, kisi bhi MuhaddIs ne is ki toseeq nahi ki.(Meezaan-ul-Itidaal:1/318)

Isi tarha is ki sanad mein HASAN RaAvi ki TADLEES bhi hai lehaza yeh riwayat kisi terhan bhi durust nahi ke hamare tamaam aamaal pesh kiye jatay hain.
 

Similar threads


Top