Umar Asari

Administrator
Staff member
Qabron se guzarte huwe Salaam kehna?

❀Sawaal:❀
Aslam-u-Alaikum ... Mera sawal ye hai k agar murde qabron mei sunte nahi to phir hum unhe qabarstaan se guzarte hoaye salaam q karte hain.?

✿Jawaab:✿
Walaikum Assalam Warehmatullahi Wabarakatuhu

Qabr waale na to salaam sunte hain aur na hi salaam ka jawaab dete hain. Allah Taala ka farmaan hai:
وَمِنْ وَرَائِهِمْ بَرْزَخٌ إِلَىٰ يَوْمِ يُبْعَثُونَ​
Tarjumah: Aur unke peeche unke uthne ke din (Qayamat) tak ke liye ek aad (hijaab) hai.
[Surah Al-Mu’minoon, Surah No: 23 Ayat No: 100]

Yeh aisi aad hai ke jis se aalam e barzakh se kuch bhi aalam e duniya tak aur aalam e duniya ka kuch bhi aalam e barzakh tak nahi pahunch sakta.

Allah Taala ka irshaad hai:
وَمَا أَنْتَ بِمُسْمِعٍ مَنْ فِي الْقُبُورِ​
Tarjumah: Aap qabr waalon ko nahi suna sakte.
[Surah Faatir, Surah No: 35 Ayat No: 22]

Yani duniya waalon ki koi baat bhi ahle quboor (qabr waale) nahi sunte. Yeh ek qaaidah aur usool hai. Lehaza agar koi yeh daawa kare ke qabr waale ahle duniya (duniya waalon) ki koi aawaz sunte hain to use apne daawa pe Quran o Hadees se daleel pesh karna hogi. Jaisa ke dafan kar ke jaane waalon ke jooton ki aawaz mayyat sunti hai. To uske liye (Sahih Bukhari: 1338 mein) daleel maujood hai. Aur isi tarah Badr ke mushrik maqtooleen ko RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ki baat sunaayi di to us par bhi (Sahih Bukhari: 3976 mein) daleel maujood hai. Jabki salaam sunne ya uska jawaab dene se mutalliq koi aisi daleel nahi hai ke jis se yeh ma’loom ho ke murdah salaam sunta ya uska jawaab deta hai.

Yahan ek sawaal paida hota hai ke agar murdah hamaare salaam ko sunta nahi aur na hi uska jawaab deta hai to phir Qabrastaan ki ziyaarat ke waqt yeh dua kiun sikhaayi gayi:
السَّلَامُ عَلَى أَهْلِ الدِّيَارِ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُسْلِمِينَ، وَيَرْحَمُ اللَّهُ الْمُسْتَقْدِمِينَ مِنَّا وَالْمُسْتَأْخِرِينَ، وَإِنَّا إِنْ شَاءَ اللَّهُ بِكُمْ لَلَاحِقُونَ​
[Sahih Muslim: 974]

To iska jawaab yeh hai ke yeh salaamti ki ek dua hai. Jo qabr waalon ke liye ki jaati hai. Aur dua ke liye yeh zaroori nahi hota ke jis ke liye dua ki jaaye woh sun bhi raha ho. Jaisa ke aap namaz mein bhi tamaam nek bandon ko salaam bhejte ya unke ke liye salaamti ki dua karte huwe kehte hain:
السَّلَامُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ​
Tarjumah: Hum par bhi salaamti ho aur Allah ke nek bandon par bhi.
[Sahih Bukhari: 831]

To us waqt bhi Allah ke tamaam nek bande chaahe woh faut shudah hon ya zindah salaamat, sun nahi rahe hote! Aur na hi koi yeh aiteqaad rakhta hai ke hamaara yeh salaam tamaam nek bandon ne sun liya hai. Yahan tak ke ek saath ba-jama’at namaz ada karne waale bhi ek doosre ka yeh salaam nahi sunte.
Shaikh Rafeeq Tahir Hafizahullah
واللہ اعلم بالصواب​
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Abul Husayn Masail 0

Similar threads


Top