Umar Asari

Administrator
Staff member
Qayamat ke qareeb konsa ilm khatm ho jaayega?

✵Sawaal:✵
qayamat ke nishani me hai ki ilm uth jayega aur jahalat aam ho jayegi.

par aaj dekhoge ki aaj ilm aur badh raha hai jo isse pehle nahi badha tha,

aaj har koi mobile se kuch bhi find kar sakta hai

to ye to ilm badh raha hai kam nahi ho raha fir qayamat ki nishani me ye kyu kaha gaya ki ilm kam ho jayega aur jahalat aam ho jayegi ???

✯Jawaab:✯
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu

Qayamat ki jin nishaaniyon ke baare mein Nabi-e-Akram ﷺ ne bataya hai un mein se yeh bhi hai ki qayamat ke qareeb ilm uth jaayega aur jihalat phail jaayegi. Chunanche Anas Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
إِنَّ مِنْ أَشْرَاطِ السَّاعَةِ أَنْ يُرْفَعَ الْعِلْمُ، وَيَثْبُتَ الْجَهْلُ، وَيُشْرَبَ الْخَمْرُ، وَيَظْهَرَ الزِّنَى​
“Qayamat ki nishaaniyon mein se yeh hai ke (deeni) ilm uth jaayega aur jihalat hi jihalat zahir ho jaayegi. Aur (elaaniya) sharaab pi jaayegi aur zina phail jaayega.”
(Sahih Bukhari: 80)

Aur Mukhazram Sahabi Shaqeeq Radhiallahu Anhu se riwayat hai, woh kehte hain ki main Abdullah bin Mas’ood aur Abu Musa Radhiallahu Anhuma ke saath tha, un dono Hazraat ne bayan kiya ke Nabi-e-Kareem ﷺ ne farmaya:
إِنَّ بَيْنَ يَدَيِ السَّاعَةِ لَأَيَّامًا، يَنْزِلُ فِيهَا الْجَهْلُ، وَيُرْفَعُ فِيهَا الْعِلْمُ، وَيَكْثُرُ فِيهَا الْهَرْجُ. وَالْهَرْجُ: الْقَتْلُ​
“Qayamat ke din se pehle aise din honge jin mein jahaalat utregi aur ilm utha liya jaayega aur «Harj» badh jaayega aur «Harj» (ka matlab) qatl hai.”
(Sahih Bukhari: 7063)

Mazeed Abu Hurairah Radhiallahu Anhu bayan karte hain ki Nabi ﷺ ka farman hai:
يَتَقَارَبُ الزَّمَانُ وَيُقْبَضُ الْعِلْمُ وَتَظْهَرُ الْفِتَنُ وَيُلْقَى الشُّحُّ وَيَكْثُرُ الْهَرْجُ قَالُوا وَمَا الْهَرْجُ قَالَ الْقَتْلُ​
“Zamaana qareeb ho jaayega, ilm utha liya jaayega. Fitne zahir honge, dilon mein hirs-o-lalach daal di jaayegi aur “Harj” ki kasrat hogi, Sahaba-e-Kiraam ne poocha “Harj” kise kehte hain? Farmaya: Qatl ko.”
(Sahih Muslim: 157)

Ibn-e-Battal Rahimahullah farmate hain:
وَجَمِيعُ مَا تَضَمَّنَهُ هَذَا الْحَدِيثُ مِنَ الْأَشْرَاطِ قَدْ رَأَيْنَاهَا عِيَانًا فَقَدْ نَقَصَ الْعِلْمُ وَظَهَرَ الْجَهْلُ وَأُلْقِيَ الشُّحُّ فِي الْقُلُوبِ وَعَمَّتِ الْفِتَنُ وَكَثُرَ الْقَتْلُ​
“Qayamat ki jitni nishaaniyan is Hadees mein bayan ki gayien hain, woh sab khaas taur par hum ne apne zamaane main dekh li hain. Chunanche hum dekh rahe hain ke ilm kam ho gaya hai aur jihalat aam ho gayi hai. Logon ke dilon mein bakheeli badh gayi hai, fitne aam ho gaye hain aur qatl kasrat se hone lage hain.”
(Fatah-ul-Bari Li-Ibn-e-Hajar: 13/16)

Ilm ke uthne se muraad Ulama ki maut hai, yani Ulama ki maut se ilm ka khaatma hoga. Chunanche Nabi-e-Akram ﷺ ka farmaan hai:
إِنَّ اللَّهَ لَا يَقْبِضُ الْعِلْمَ انْتِزَاعًا يَنْتَزِعُهُ مِنَ الْعِبَادِ، ‏‏‏‏‏‏وَلَكِنْ يَقْبِضُ الْعِلْمَ بِقَبْضِ الْعُلَمَاءِ، ‏‏‏‏‏‏حَتَّى إِذَا لَمْ يُبْقِ عَالِمًا اتَّخَذَ النَّاسُ رُءُوسًا جُهَّالًا، ‏‏‏‏‏‏فَسُئِلُوا فَأَفْتَوْا بِغَيْرِ عِلْمٍ فَضَلُّوا وَأَضَلُّوا​
“Allah ﷻ ilm ko is tarah nahi uthaayega ke us ko bandon se cheen le. Balki woh ilm ulama ko maut de kar uthaayega. Yahan tak ke jab koi alim baaqi nahi rahega to log jaahilon ko sardaar bana lenge, phir un se sawaalaat kiye jaayenge to woh baghair ilm ke fatwa denge. Lehaza woh khud bhi gumraah honge aur logon ko bhi gumraah karenge.”
(Sahih Bukhari, Hadees No: 100)

Imam Nawawi Rahimahullah is Hadees ki tashreeh mein farmate hain:
هَذَا الْحَدِيثُ يُبَيِّنُ أَنَّ الْمُرَادَ بِقَبْضِ الْعِلْمِ فِي الْأَحَادِيثِ السَّابِقَةِ الْمُطْلَقَةِ لَيْسَ هُوَ مَحْوُهُ مِنْ صُدُورِ حُفَّاظِهِ وَلَكِنْ مَعْنَاهُ أَنَّهُ يَمُوتُ حَمَلَتُهُ وَيَتَّخِذُ النَّاسُ جُهَّالًا يَحْكُمُونَ بِجَهَالَاتِهِمْ فَيُضِلُّونَ وَيَضِلُّونَ​
“Yeh Hadees is baat ki wazahat karti hai ki pichhli mutlaq (aam) Ahadees mein (ilm ke khatm hone se) muraad yeh nahi ki huffaz ke seene se mit jaayega balki us se muraad yeh hai ki ilm ke haamil (yani ulama) ki maut ho jaayegi. Aur log jaahilon ko leader bana lenge jo jihalat ke saath faisle karenge chunanche woh khud bhi gumraah honge aur logon ko bhi gumraah karenge.”
(Sharah Sahih Muslim Lin-Nawawi: 16/224)

In Ahadees mein jis ilm ke uthne ya khatm hone ki baat kahi gayi hai us se muraad Deen aur Shari’at ka ilm hai, jis ke waaris Ambiya hain. Is ilm se muraad dunyawi ilm nahi hai.

Wallahu A’lam Bis-Sawaab!
 
Top