Ramazaan mein Qur'aan e Kareem ki tilaawat aur Zikr


Ramazaan mein Qur'aan e Kareem ki tilaawat aur Zikr

يُسْتَحَبُّ فِي رَمَضَانَ اسْتِحْبَابًا مُؤَكَّدًا مُدَارَسَةُ الْقُرْآنِ وَكَثْرَةُ تِلاَوَتِهِ، وَتَكُونُ مُدَارَسَةُ الْقُرْآنِ بِأَنْ يَقْرَأَ عَلَى غَيْرِهِ وَيَقْرَأَ غَيْرُهُ عَلَيْهِ، وَدَلِيل الاِسْتِحْبَابِ أَنَّ جِبْرِيل كَانَ يَلْقَى النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي كُل لَيْلَةٍ مِنْ رَمَضَانَ فَيُدَارِسُهُ الْقُرْآنَ
Ramazaan mein Qur'aan ka daur karna aur kasrat se uski tilaawat karna taakeed ke saath mustahabb hai, aur Qur'aan ka daur is tarah hoga ke woh doosre ko pardh kar sunaaye aur doosra usko pardh kar sunaaye aur istehbaab ki daleel ye Hadees hai: "Jibreel (عليه السلام) Ramazaan ki har raat mein Nabi Al-Malhamah (ﷺ) se mulaaqaat karte the aur Aap unke saath Qur'aan ka daur farmaate the." [1]

وَقِرَاءَةُ الْقُرْآنِ مُسْتَحَبَّةٌ مُطْلَقًا، وَلَكِنَّهَا فِي رَمَضَانَ آكَدُ
Qur'aan ka pardhna mutlaqan Mustahabb hai, lekin Ramazaan mein uski taakeed zyaadah hai. [2]

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill (عَبْدُ المُذِلّ)

_____________

References:

[1] Saheeh Al-Bukhaari: 3554.

[2] Rawdah Al-Taalibeen: 2/368; Kashshaaf Al-Qinaa': 2/332; Asnaa Al-Mataalib: 1/420.
 

Similar threads


Top