TEACHER KE EHTERAAM ME BACCHON KA KHADE HONA


Ibnatu Ali

Member
TEACHER KE EHTERAAM ME BACCHON KA KHADE HONA

SAWAL: Kya jab Teacher class me aye to hame Ehteraam me khade hona chahiye ya nahi?

JAWAB:
Hamare Schools me aksar ye rewaj paya jata hai, Jab koi teacher class me dakhil hota hai to bacche Adab o Ehteraam me khadhe hokar uska istaqbal krte hn, Teacher apni Jagah baith jata hai aur jab tak bacchon ko baithne k liye nhi bola jata tab tk vo khade rahte hn, Goya ki Teacher ki Aamad pr puri Class Qiyam E Tazeem karti hai, Aur jo Bacche uski pabandi na karen Yani Teacher ke aane pr Tazeemi Khada na hon Ya apni Marzi se jaldi baith jaye to vo Teacher
ka Nafarman, Be-Adab, Saza ka mustahiq samjha jata hai.

Aur isi trah Jab Assembly hoti hai to Qaomi Tarana padha jata hai to School ke Sare log Teachers ho ya Students sabki sab usme shamil hote hain aur Attention khade ho kr.
ﻗُﻮﻣُﻮﺍ ﻟِﻠَّﻪِ ﻗﺎﻧِﺘِﻴﻦَ​
(Surah Al Baqrah Ayat:238) ka manzar pesh karte hn aur ye sab Baqayedah Ordinance ke zariye karaya jata hai.

Ye baat wazeh rahe upr zikr ki gai dono Qiyaam bilkul Gair Islami hai aur Qat’an biddat pr mabni hai lehaza isse bachna zaruri hai.

Musalmano ne jo school khola hai usme bhi Gair Muslimon ki is rawish ko baqi rakha aur ispr tawajjo na di, Aur is masale pr zyada koi Gaor o Fikr nhi karta Ya ye ki isko Nazar andaaz kiya jata hai jabki kisi ke liye ehteraaman khada hona Nabi Sallallahu Alaihi Wassllam isko NAPASAND karte the aur Yahan tak Aap Sallallahu Alaihi Wassllam ne farmaya: "jo ye pasand kare ki mere liye log khade hon vo apna thikana jahannnam bna le."

Aur kyu kisi ke liye khade hoya jaye?

Kya Nabi Sallallahu Alaihi Wassllam se behtar is duniya me koi tha?

Sahaba Ikraam RaziAllahu Anhum Ajmaeen Aap Sallallahu Alaihi Wassllam ki Tazeem me kabhi khade nhi hue.

Zra is hadees pr Gaor karen Nabi Sallallahu Alaihi Wassllam ke liye Shahaba RaziAllahu Anhum Ajmaeen Kyu nahi khade hote the……
ﻋﻦ ﺃﻧﺲ ﺑﻦ ﻣﺎﻟﻚ ﻗﺎﻝ: ‏«ﻟﻢ ﻳﻜﻦ ﺷﺨﺺ ﺃﺣﺐ ﺇﻟﻴﻬﻢ ﻣﻦ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ‏» ﻗﺎﻝ: ‏ﻭﻛﺎﻧﻮﺍ ﺇﺫﺍ ﺭﺃﻭﻩ ﻟﻢ ﻳﻘﻮﻣﻮﺍ، ﻟﻤﺎ ﻳﻌﻠﻤﻮﻥ ﻣﻦ ﻛﺮﺍﻫﺘﻪ ﻟﺬﻟﻚ​
Hazrat Anas RaziAllahu Anhu ne Farmaya: “Sahaba Ekraam ko Nabi Sallallahu Alaihi Wassllam se badh kr koi shakhs mahboob na tha, lekin iske bawajood vo loog Nabi Sallallahu Alaihi Wassllam ke aane par khade na hote the kyun ki vo jaante the ki Nabi Sallallahu Alaihi Wassllam isko Napasand karte hn.”
[SUNAN TIRMIZI JILD 4, PAGE 387, HADEES 2754. (SAHIH) ]

Aur ab zra Nabi Sallallahu Alaihi Wassllam ke is farmaan pr bhi Gaor karen.
ﻋَﻦْ ﻣُﻌَﺎﻭِﻳَﺔَ، ﻋَﻦِ ﺍﻟﻨَّﺒِﻲِّ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻗﺎﻝ : ﻣﻦ ﺃﺣﺐ ﺃَﻥ ﻳﺘَﻤَﺜَّﻞ ﻟَﻪُ ﺍﻟﺮِّﺟَﺎﻝ ﻗﻴَﺎﻣﺎ ﻓَﻠﻴَﺘَﺒَﻮَّﺃ ﻣَﻘْﻌَﺪﻩ ﻣﻦ ﺍﻟﻨَّﺎﺭ​
Hazrat Mavia RaziAllahu Anhu se Rewayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wassllam ne farmaya: “Jo Shakhs apne liye logon ka khada rahna pasand kare use apna thikana Jahannam me bna lena chahiye.”
[SUNAN TIRMIZI JILD 4, PAGE 388 (SAHIH) ]

✍Written by Abu Abdullah (Student: Al Jamia Tus Salafia, Banaras)
 
Top