Qur'an Aur Ahadees Se Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum Ke Kuch Fazail


Ibnatu Ali

Member
بــسـم الله الــرّحــمــن الــرّحــيــم​

Qur'an Aur Ahadees Se Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum Ke Kuch Fazail

By: Abu Humzah Abdul Khaliq Siddiqi Hafizahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi.
________________

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM HAQEEQI MOMIN HAIN:

Sahaba E Kiraam ka giroh wo muqaddas giroh hai, jo apni tamaam awsaaf e hamidah mein imteyaazi haisiyat rakhta hai, yehi wajah hai ke in ko kayenaat ka sab se afzal tareen giroh qaraar diya gaya hai, Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ke jis bhi wasf ko dekhen wo apni misl aap hai, koi doosra unka muqaabil nahi hai, chunaanche in ka emaan o yaqeen, taqwa wa wara', isaar o humdardi, zohad wa qanaa'at yeh sab be-misaal thhey, yehi wajha hai ke Allah ﷻ ne inke emaan ki gawahi aur tasdeeq apne kalaam e muqaddas mein utaari hai.

Irshaad E Bari Ta'ala hai:
واعلموا أن فيكم رسول الله لو يطيعكم في كثير من الأمر لعنتم ولكن الله حبب إليكم الإيمان وزينه في قلوبكم وكره إليكم الكفر والفسوق والعصيان أولئك هم الراشدون
فضلا من الله ونعمة والله عليم حكيم​

"Aur jaan rakho ke tumharey darmiyaan Allah ke Rasool hain agar wo aksar kaamon mein tumhara kaha maanten tou tum izaa mein padh jaao, lekin Allah ne tumhen emaan ki muhabbat di hai, aur isey tumharey dilon mein aaraasta kar diya hai, tumharey saamney na-pasand kar diya hai, kufr aur gunaah ko, aur na-farmaani ko, aur yehi log raahe hidayat paaney waaley hain Allah ke fazal aur neymat sey, aur Allah ﷻ jaanney waala aur khoob hikmat waala hai."
(Surah Al-Hujuraat: 7,8)

Abdur Rahman Sa'di Rahimahullah in aayaat ki tafseer mein raqmtaraaz hain:
"Yani wo log, jin ke dilon mein Allah ﷻ ne emaan muzayyan kar diya, aur usey unka mehboob bana diya, aur unko kufr, gunaah aur ma'siyat se bezaar kar diya, wahi log raahe hidayat par hain" (yani jin ke uloom wa aamaal durust hogey aur deen e qaweem aur siraat e mustaqeem par kaar band hogey."
(Tafseer As-Sa'di)

Ghaur farmayen! Allah azeem wa bartar ne bataaya ke hum ne in ke dilon ko emaan se muzayyan kar ke in par apna fazl e azeem farmaya, yeh fazl e azeem is wajah se tha ke yeh Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ka giroh haqeeqi aur sachchay momin thhey, kyunke emaan Rab ﷻ ne in ke dilon mein rakkha tha.

Jis cheez ka iradah Allah meharbaan farma ley wo kaam hoke raha karta hai, Rab ﷻ ne in ke liye emaan ko pasand farmaya, aur is se in ke dilon ko muzayyan kiya hai, tou yaqeenan wo pakkey sachchay momin hain, chunanche

Irshaad E Bari Ta'ala hai:

للفقراء المهاجرين الذين أخرجوا من ديارهم وأموالهم يبتغون فضلا من الله ورضوانا وينصرون الله ورسوله أولئك هم الصادقون
والذين تبوءوا الدار والإيمان من قبلهم يحبون من هاجر إليهم ولا يجدون في صدورهم حاجة مما أوتوا ويؤثرون على أنفسهم ولو كان بهم خصاصة ومن يوق شح نفسه فأولئك هم المفلحون​

"Mohtaaj muhaajiron ke liye jo khaas taur par nikaaley gaye apne gharon se aur mehroom kiye gaye apne maalon sey, aur Allah ka fazl aur raza chahtey hain, aur wo madad kartey hain Allah aur uske Rasool ki, aur yehi log sachchay hain, aur jin logon ne is ghar mein (yani madina) aur emaan mein in se pehle qaraar pakda, aur in se muhabbat kartey hain jinhon ne in ki taraf hijrat ki, aur jo inhen diya gaya hai isey apne dilon mein koi haajat nahi paatey aur wo ikhtiyaar kartey hain apni jaano par khawah inhen tangi ho, jinhon ne apni zaat ko buql se bachaaya tou yehi log falah paaney waaley hain."
(Surah Al-Hashr: 8,9)

Mazkoorah balaa aayat e kareema zor zor se pukaar rahi hai ke Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum sachchay momin thhey, inke emaan ka maqsad bas Allah ﷻ ki raza tha, ab in logon ko apne nazariye aur aqeedeh par matam karna chahiye aur is nazariye se bach jaana chahiye ke jo kehtey hain ke Sahaba duniya ke momin thhey, agar in ki yeh baat maan li jaye tou yaqeenan Qur'an ko jhutlaana padega, jo ke mumkin nahi, lehaza inka jhoota hona haq hai, jabke Qur'an ka sachcha hona haq, aur Sahaba ka pakka sachcha momin hona haq hai, jaisa ke Qur'an ne waazeh kiya hai:

والذين آمنوا وهاجروا وجاهدوا في سبيل الله والذين آووا ونصروا أولئك هم المؤمنون حقا لهم مغفرة ورزق كريم​

"Aur jo log emaan ley aaye aur unhon ne hijrat ki aur Allah ki raah mein jihaad kiya aur jin logon ne inhen panah di un ki madad ki, wahi log haqeeqi momin hain, un ke liye Allah ki maghfirat aur ba-izzat rozi hai."
(Surah Al-Anfaal: 74)

Dr. Muhammad Luqmaan Salafi is aayat ki tafseer mein raqmtaraaz hain:
"Qism e awwal ke musalmano ka dubara zikr ho raha hai, taake Allah ke nazdeek inka jo maqaam o martaba hai bayaan kiya jaaye aur Allah ki taraf se unhen jo ajr e azeem mileyga is ki inhen khushkhabri di jaaye, muhaajireen o ansaar ki Allah ﷻ ne is aayat ke 'ilaawah Qur'an E Kareem ki kayi aayaton mein tareef ki hai aur yeh is baat ki daleel hai ke Allah ﷻ ke nazdeek inka bada maqaam hai."
(Tayseer Ar-Rahman: 1/544)

Maloom huwa ke yeh aayat bhi Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ke emaan par qata'yi nas hai.

ALLAH ﷻ SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM SE MUHABBAT KARTA HAI:

Qarayeen mohtaram! Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum pakke sachchay momin hain, jis ki sab se badi daleel yeh hai ke Rab ﷻ ne in ke emaan ki gawahi di aur yeh ke inhon ne badi badi qurbaani se bhi dareegh nahi kiya, deen ki aabiyaari karney ke liye har qism ki qurbaani di, yehi wajha hai ke Allah ﷻ in se khaas muhabbat karta hai.

Irshaad E Bari Ta'ala hai:
لا تقم فيه أبدا لمسجد أسس على التقوى من أول يوم أحق أن تقوم فيه فيه رجال يحبون أن يتطهروا والله يحب المطهرين​
"Aap is mein kabhi khadey na hona, beshak wo masjid jis ki buniyaad pehle din se taqwa par rakhi gayi hai ziyada layaq hai ke aap us mein khadey hon, aur is mein aise log hain jo chahatey hain ke wo paak rahein, aur Allah mehboob rakhta hai paak rehney waalon ko."
(Surah At-Tawba: 108)

Abdur Rahman Sa'di Rahimahullah is aayat ki tafseer mein raqmtaraaz hain:
"Aise log hain jo is baat ko pasand kartey hain ke wo paak rahein, yani gunhaon aur mayeel kuchyeel, najasaton aur na-paaki se paak saaf rehna pasand kartey hain, aur yeh baat maloom hai ke jo koi kisi cheez ko pasand karta hai, wo us ke husool ki sayee' aur jid o jihad karta hai, is liye ke yeh laa'bud hai ke ahle qubaa gunah, mayeel kuchyeel aur hads se paak rehney ke bahut harees thhey, is liye wo in logon mein se thhey, jinhon ne Islam qubool karney mein sabqat ki, jo namaaz qayim karney waaley, Rasoolullah ﷺ ki maeeyat(saath) mein jihaad ki hifazat karney waaley, iqaamat e deen ki koshis karney waaley aur Allah aur uske Rasool ki mukhalifat se bachney waaley thhey aur Allah paak rehney waalon ko pasand karta hai."
(Tafseer E Sa'di)

Ghaur farmayen! is aayat e mubaraka mein Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko Allah ki muhabbat ki zamaanat faraham kar di gayi hai, jo ke in ke pakkey aur sachchay momin honay ki daleel hai, kyunke Allah munafiqon aur Sahaba ko gaali deney waalon se qata'an muhabbat nahi karta, balke Allah un par ghazabnaak hota hai.

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KO BAKSH DIYA GAYA HAI:

Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ke emaan aur taqwa, isaar, humdardi ka sila unko detey huwe Malik wa Meharbaan ne in ki laghzishon ko bhi maaf farma diya hai, aur inke liye apni razamandi aur khushnodi ko wajib kar diya jo ke Allah ﷻ ki sab se badi neymat hai.

Irshaad E Bari Ta'ala hai:
والسابقون الأولون من المهاجرين والأنصار والذين اتبعوهم بإحسان رضي الله عنهم ورضوا عنه وأعد لهم جنات تجري تحتها الأنهار خالدين فيها أبدا ذلك الفوز العظيم​

"Aur sab se pehle emaan aur islam mein sabqat karney waaley muhaajireen aur ansaar mein sey, aur jinhon ne neki ke saath in ki pairwi ki, Allah in se razi huwa aur wo us se razi hoge aur is mein inke liye baghaat taiyaar kiye hain, jin ke nichey nehren behti hain aur wo in mein hamesha hamesha raheinge, yeh badi kamiyaabi hai."
(Surah At-Tawba: 100)

Neez Allah ﷻ ka irshaad hai:
لقد تاب الله على النبي والمهاجرين والأنصار الذين اتبعوه في ساعة العسرة من بعد ما كاد يزيغ قلوب فريق منهم ثم تاب عليهم إنه بهم رءوف رحيم
وعلى الثلاثة الذين خلفوا حتى إذا ضاقت عليهم الأرض بما رحبت وضاقت عليهم أنفسهم وظنوا أن لا ملجأ من الله إلا إليه ثم تاب عليهم ليتوبوا إن الله هو التواب الرحيم​

"Albatta tawajju farmayi Allah ne Nabi par aur muhaajireen aur ansaar par wo jinhon ne tangi ki ghadi mein is ki pairwi ki, is ke baad khareeb tha ke in mein se ek fareeq ke dil bhar jaatey phir us ne in par tawajju ki, beshak wo in par intehayi shafeeq nihayat maherbaan hai, aur in teeno par jin ka mu'aamlah peechey rakkha gaya tha, yahan tak ke in par tang ho gayi zameen apni kushadgi ke bawajood aur in par inki jaanen tang hogayen, apni jaano se tang aagaye aur inhon ne jaan liya ke koi jaye panah nahi, magar Allah ki taraf, phir Allah ﷻ ne inki taraf tawajju farmayi taake wo tawba karen, beshak Allah tawba qubool karney waala nihayat meharbaan hai."
(Surah At-Tawba: 117,118)

Ghaur farmayen ke ansaar wa muhaajireen ko khushkhabri suna di gayi hai, bakhshish aur razamandi ki jo ke bahut badi kamiyaabi hai, is se badh kar koi kamiyaabi nahi hai, yeh kamiyaabi ansaar wa muhaajireen ka muqaddar bana di gayi.

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KE LIYE AJR E AZEEM HAI:

Asl kamiyaabi aakhirat ki kamiyaabi hai, duniya ki zindagi tou narm wa garam halaat mein guzar hi jayegi, lekin aakhirat ki zindagi guzarney waali nahi, balke mustaqil rehney waali hai, ab jo is zindagi mein kamiyaab hogaya, yaqeenan wo kamiyaab hai, Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ka giroh wo mubarak giroh hai ke jo duniya aur aakhirat dono aitebaar se kamiyaab hain, aur jin ke liye Allah ﷻ ne badey badey inaamaat aur ajr e azeem taiyaar kar rakkha hai.

Irshaad E Bari Ta'ala hai:
إن الذين يبايعونك إنما يبايعون الله يد الله فوق أيديهم فمن نكث فإنما ينكث على نفسه ومن أوفى بما عاهد عليه الله فسيؤتيه أجرا عظيما​
"Beshak jo log aap se bait kartey hain, wo dar-haqeeqat Allah se bait kartey hain, Allah ka haath un ke haathon ke oopar hai, pas jo shakhs bad'ahdi karega, tou us bad'ahdi ka bura anjaam usi ko milega, aur jo shaksh is ahad par qayim rahega jo is ne Allah se kiya tha tou Allah isey is ka ajr azeem aata farmayega."
(Surah Al-Fath: 10)

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KAMIYAAB LOG HAIN:

Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ke liye ajr e azeem, in ko duniya aur aakhirat ki kamiyaabi, Allah ki razamandi ki zamaanat faraham ki gayi hai, yeh itna bada inaam inhon ne phoolon ki seej par baith kar haasil nahi kiya, balke is ke liye be-panah qurbaaniyan di hain, apni jaan o maal aur aulaad aur apne watan se bhi haath dhoye hain, in qurbaaniyon ke sila mein in ko kamiyaab qaraar diya gaya hai.

Irshaad E Bari Ta'ala hai:

لكن الرسول والذين آمنوا معه جاهدوا بأموالهم وأنفسهم وأولئك لهم الخيرات وأولئك هم المفلحون
أعد الله لهم جنات تجري من تحتها الأنهار خالدين فيها ذلك الفوز العظيم​

"Lekin Rasool aur wo log jo inke saath emaan laaye, inhon ne apne maalon se aur apni jaano se jihaad kiya, aur inhi logon ke liye bhalayi hai, aur yehi log falah paaney waaley hain, Allah ne inke liye baghaat taiyaar kiye hain, in ke neechey nehren jaari hain, wo is mein hamesha hamesha raheinge, yeh badi kamiyaabi hai."
(Surah At-Tawba: 88,89)

Ghaur farmayen ke Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum jihaad se ghabraney waaley na thhey, balke is ke liye dil o jaan se qurbaaniyan deney ke liye hamatan taiyaar rehtey thhey, lekin is ke baraks munafiqeen ne hamesha pas o paish se kaam liya aur jihaad aur takleef-deh kaamon se apne aap ko bachatey rahey, jabke Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum apne Rab se mulaqaat ke shauq mein jihaad ki aarzo apne seeno mein liye har waqt is ke liye taiyaar rehtey thhey, aur aise mauqon ki talaash mein rehtey thhey ke jis ki wajah se Allah ke saath mulaqaat ho jaye.

Irshaad E Rabbani hai:
ولما رأى المؤمنون الأحزاب قالوا هذا ما وعدنا الله ورسوله وصدق الله ورسوله وما زادهم إلا إيمانا وتسليما
من المؤمنين رجال صدقوا ما عاهدوا الله عليه فمنهم من قضى نحبه ومنهم من ينتظر وما بدلوا تبديلا​
"Aur jab momino ne lashkar ko dekha tou wo kehney lagey, yeh jis ka hummen Allah aur uske Rasool ne wadah diya tha, aur Allah aur uske Rasool ne sach kaha tha, aur is surate-haal ne in mein ziyada kiya hai emaan aur jazbah e farmaanbardari ko, momino mein kuch aise hain ke inhon ne Allah se jo ahad kiya usey sach kar dikhaya, aur kuch in mein se intezaar kar rahey hain aur inhon ne koi tabdeeli nahi ki."
(Surah Al-Ahzaab: 22,23)

Ghaur farmayen ke Allah se kiye huwe muhaidey ko poora kartey huwe apni jaano ke nazraaney paish kar rahey hain, aur kuch Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum is intezaar mein hain ke Allah se kiye huwe muhaidey par aamal dar-aamad ka waqt kab aaye, aur wo is par apni jaan o maal qurbaan kar ke poora utar kar dikhayen, yeh soch aur fikr in ke emaan mein mazeed izafa karti thi, aur jab emaan ziyada aur pokhta ho jaye tou kamiyaabi yaqeeni hoti hai, aise hi logon ka zikr kartey huwe Allah ﷻ ne irshaad farmaya:

الذين يتبعون الرسول النبي الأمي الذي يجدونه مكتوبا عندهم في التوراة والإنجيل يأمرهم بالمعروف وينهاهم عن المنكر ويحل لهم الطيبات ويحرم عليهم الخبائث ويضع عنهم إصرهم والأغلال التي كانت عليهم فالذين آمنوا به وعزروه ونصروه واتبعوا النور الذي أنزل معه أولئك هم المفلحون​

"Wo log jo pairwi kartey hain hummarey Rasool ki, Nabi E Ummi ki, jisey wo likha huwa paatey apne paas tawraat mein aur injeel mein, wo inhen hukm detey hain bhalayi ka aur inhen roktey hain burayi sey, in ke liye halaal kartey hai paakiza cheez aur in par haraam kartey hain na-paak cheez, aur utaartey hain in ke saaron se bojah e taooq jo in par thhey, pas jo log is par emaan laaye, aur inhon ne is ki himaayat ki, aur is noor ki pairwi ki jo is ke saath utaara gaya, wahi falah paaney waaley hain."
(Surah Al-A'raaf: 157)

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KO DEEN KI WAJAH SE TAKALEEF DIYE GAYEN:

Badbakht log kehtey hain ke Sahaba duniya ke liye musalmaan huwe thhey, takleefon ko bardasht karney ka matma'-e-nazr sirf aur sirf duniya ki chaudhraahat thi, is ke siwa kuch na tha, Qur'an E Hakeem aise logon ke gandey zehan ki nafi kar raha hai, aur yeh khabar dey raha hai ke Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum khalisatan Allah ki raza ke liye musalmaan huwe thhey aur in ko is wajah se takaleef diyen gayen warna tou unke kirdaar par koi aiteraaz karney waala na tha, aiteraaz tou bas unke deen par tha, is ki wajah se in ko takaleef diyen jaaten thhey.

Irshaad E Rabbani hai:
أذن للذين يقاتلون بأنهم ظلموا وإن الله على نصرهم لقدير​
"Jin musalmano se kafir jang kar rahey hain inhen bhi muqaabley ki ijazat di jaati hai, kunyke wo mazloom hain, beshak in ki madad par Allah ﷻ khoob qaadir hai."
(Surah Al-Hajj: 39)

Maulana Abdur Rahman Kilaani Rahimahullah is aayat ki tafseer mein raqmtaraaz hain:
"Makkah mein jab musalmano par zulm o sitam ke pahaad dhaye jaa rahey thhey tou is waqt baaz jurrat mand Sahaba ne in kafiron se jang karney ki ijazat talab ki thi, magar is waqt Allah ne inhen aisi ijazat nahi di, balke sabr o isteqaamat se zulm ko bardasht karney ki hi talqeen ki jaati rahi, aur ye wo pehli aayat hai jis mein musalmano ko mudaafi'aana jang ki ijazat di gayi aur is ijazat ki wajah saaf alfaaz mein bata di gayi ke yeh ijazat inhen is liye di jaarahi hai ke in par musassal zulm dhaye jaatey rahey hain."
(Tayseer Al-Qur'an: 3/165)

الذين أخرجوا من ديارهم بغير حق إلا أن يقولوا ربنا الله ولولا دفع الله الناس بعضهم ببعض لهدمت صوامع وبيع وصلوات ومساجد يذكر فيها اسم الله كثيرا ولينصرن الله من ينصره إن الله لقوي عزيز​

"Yeh wo hain jo bila-wajah apne gharon se nikaaley gaye sirf is qaul par ke hummara parwardigaar faqat Allah hai, agar Allah ﷻ logon ko aapas mein ek doosrey se na hatata rehta tou yeh ibadaat qaaney aur girjey aur masjiden aur yahoodiyon ke ma'bad aur wo masjiden bhi wiraan kardi jaaten, jahan Allah ka naam ba-kasrat liya jaata hai, jo Allah ki madad kareyga Allah bhi zaroor us ki madad kareyga, beshak Allah ﷻ qowaton waala bada ghalba waala hai."
(Surah Al-Hajj: 40)

Irshaad E Rabbani hai:
والذين هاجروا في الله من بعد ما ظلموا لنبوئنهم في الدنيا حسنة ولأجر الآخرة أكبر لو كانوا يعلمون​
"Jin logon ne zulm bardasht karney ke baad Allah ki rah mein tark e watan kiya hai, hum inhen behtar se behtar thikana duniya mein aata farmayegen, aur aakhirat ka sawaab tou bahut hi bada hai, kash ke log is se waaqif hotey."
(Surah An-Nahl: 41)

Allah ﷻ ka Irshaad hai:
الذين صبروا وعلى ربهم يتوكلون​
"Wo jinhon ne daman e sabr na chora, aur apne paalney waaley par hi bharosa kartey rahey."
(Surah Al-Hajj: 42)

In dono aayaat ne is baat ko wazeh kiya hai ke in Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko mehaz Allah ke deen ki wajah se takleefen di gayi hain, in ka apna koi jurm na tha, jab in ko Allah ke deen ki wajah se takleefen di gayi hain tou Allah ﷻ in ki madad kar ke in ki mushkilaat khatam kardeyga, chunaanche Allah ﷻ ne madad ki aur in ki mushkilaat ko khatam kar diya, aur in ka saath dey raha tha, duniya ka koi maqsad paish e nazr kaarfarma na tha jo koi bhi aisi baat karta hai wo ghalat soch aur nazariye ka haamil hai ke jis ko is se tawba karni chahiye.

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM AAPAS MEIN MUHABBAT KARNEY WAALEY THHEY:

Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ka wasf e jameel yeh bhi tha ke wo aapas mein intehayi muhabbat karney waaley thhey, jis ki tafseel hum ne Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ki aapas ki muhabbat ke zimn mein bayaan kardi hai (dekhiyen safa 47), yeh aayaat bhi Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ki aapas mein muhabbat par dalaalat karti hain jo ke khaas Allah ke fazl ki wajah se tha, chunanche

Irshaad E Rabbani hai:
واعتصموا بحبل الله جميعا ولا تفرقوا واذكروا نعمت الله عليكم إذ كنتم أعداء فألف بين قلوبكم فأصبحتم بنعمته إخوانا وكنتم على شفا حفرة من النار فأنقذكم منها كذلك يبين الله لكم آياته لعلكم تهتدون​
"Allah ki rassi ko sab mil kar mazbooti se thaam lo aur phoot na daalo, aur Allah ﷻ ki is waqt ki neymat ko yaad karo jab tum ek doosrey ke dushman thhey tou us ne tumharey dilon mein ulfat daal di, pas tum uski meharbaani se bhai bhai hogaye aur tum aag ke gardhey ke kinarey par pohhach chuke thhey, tou us ne tumhen bacha liya, Allah ﷻ isi tarha tumharey liye apni nishaaniyan bayaan karta hai taake tum rah paao."
(Surah Aal-Imran: 103)

Doosri jagha Allah ﷻ ka Irshaad hai:
هو الذي أيدك بنصره وبالمؤمنين
وألف بين قلوبهم لو أنفقت ما في الأرض جميعا ما ألفت بين قلوبهم ولكن الله ألف بينهم إنه عزيز حكيم​
"Allah wahi tou hai ke jis ne tujh ko apni madad aur momino ke saath mazboot kiya, aur in (Sahaba) ke darmiyaan muhabbat paida kar di, agar aap saari kayenaat ko bhi in par kharch kar detey tou in ke dilon mein muhabbat paida nahi kar saktey thhey, lekin Allah ne (apne khaas fazal o rahmat sey) in ke darmiyaan muhabbat paida kar di, bila-shuba wo ghalib wa hikmat waala hai."
(Surah An-Faal: 62,63)

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KAFIRON KE LIYE SAKHT THHEY:

Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum jaisey aapas mein muhabbat karney waaley thhey waisey hi Allah ke Deen ke dushmano se nafrat karney waaley thhey, jabke wo Deen E Islam ko nukhsaan pohchaa rahey hon phir in ke dilon mein kafiron ke liye koi narmi na thi, chahe kafir koi bhi ho.

Irshaad E Bari Ta'ala hai:

لا تجد قوما يؤمنون بالله واليوم الآخر يوادون من حاد الله ورسوله ولو كانوا آباءهم أو أبناءهم أو إخوانهم أو عشيرتهم أولئك كتب في قلوبهم الإيمان وأيدهم بروح منه ويدخلهم جنات تجري من تحتها الأنهار خالدين فيها رضي الله عنهم ورضوا عنه أولئك حزب الله ألا إن حزب الله هم المفلحون​

"Allah ﷻ par aur qayamat ke din par emaan rakhney waalon ko Allah aur uske Rasool ki mukhalifat karney waalon se muhabbat rakhtey huwe hargis na paaogey, wo unke baap ya unke bete ya unke bhai ya unke kunbey qabeeley ke azeez hi kuny ka hon, yehi log hain jin ke dilon mein Allah ﷻ ne emaan ko likh diya hai, aur jin ki tayid apni roh se ki hai aur jinhen in jannaton mein dakhil kareyga, jin ke nichey nehren beh rahi hain, jahan yeh hamesha raheingey, aur Allah in se razi hai aur yeh Allah se khush hain, yeh Allah ka shukr hai, aagha raho, beshak Allah ke giroh waaley hi kamiyaab honge."
(Surah Al-Mujaadilah: 22)

Aur Allah ﷻ ka Irshaad hai:

محمد رسول الله والذين معه أشداء على الكفار رحماء بينهم تراهم ركعا سجدا يبتغون فضلا من الله ورضوانا سيماهم في وجوههم من أثر السجود ذلك مثلهم في التوراة ومثلهم في الإنجيل كزرع أخرج شطأه فآزره فاستغلظ فاستوى على سوقه يعجب الزراع ليغيظ بهم الكفار وعد الله الذين آمنوا وعملوا الصالحات منهم مغفرة وأجرا عظيما​

"Muhammad(ﷺ) Allah ke Rasool hain, aur jo log in ke saath hain, kafiron par sakth hain aapas mein raham-dil hain tu inhen dekhega ke ruku aur sajdey kar rahey hain, Allah ﷻ ke fazl aur razamandi ki justuju mein, in ka nishaan in ke chehron par sajdon ke asar se hai, in ki yehi sifat tawraat mein hai, in ki sifat injeel mein hai, misl is khaati ke jis ne apna phataa nikaala, phir usey mazboot kiya, aur wo mota hogaya, phir apni jad par seedha khada hogaya, aur kisaano
ko khush karney laga, taake in ki wajah se kafiron ko chidaye, in emaan waalon aur shaistah aamaal waalon se Allah ne bakshis ka aur bahut badey sawaab ka wadah kiya hai."
(Surah Al-Fath: 29)

Abdur Rahman Sa'di Rahimahullah is aayat ki tafseer mein raqmtaraaz hain:
"Allah Tabarak wa Ta'ala apne Rasool(ﷺ) aur un ke Sahaba, jo muhaajireen wa ansaar mein se hain in ke baray mein aagha farmata hai ke wo kamil tareen sifaat aur jaleel tareen amwaal ke haamil hain, aur wo kuffaar ke saath bahut sakht hain, fateh wa nusrat mein jid o jihad aur is baray mein poori koshis karney waaley hain, wo kuffaar ke saath sirf durushti aur sakhti se paish aatey hain, is liye un ke dushman unke saamney zaleel hoge in ki taqat toot gayi, aur musalmaan un par ghalib aagaye."
(Tafseer As-Sa'di)

Ek doosrey maqaam par Allah ﷻ ka Irshaad hai:
لقد رضي الله عن المؤمنين إذ يبايعونك تحت الشجرة فعلم ما في قلوبهم فأنزل السكينة عليهم وأثابهم فتحا قريبا​
"Yaqeenan Allah momino se khush hogaya jab ke wo darakht ke nichey tujh se bait kar rahey thhey in ke dilon mein jo tha usey us ne maloom karliya aur un par atmenaan nazil farmaya, aur inhen khareeb ki fatah inaayat farmayi."
(Surah Al-Fath: 18)

Mazkoor aayat mein Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ke "Al-Hub Fillah Wal Bughz Fillah" waaley aqeedeh ki wajah se in ko apni razamandi ki zamaanat bhi dey di hai, yeh aayat sulah hudaibiya ke mauqe par nazil huwi thi ke jab Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne makkah waalon se ladney ka program banaya, halaanke makkah waaley in ke rishtedaar thhey, lekin deen ki rah mein kisi rishtedaar ya ghair rishtedaar ko khaatir mein na laatey thhey, balke jo deen ka dushman wo in ka dushman hai, unka yehi kirdaar Allah ﷻ ko bahut pasand aaya ke jis ki wajah se Allah ﷻ ne in ke liye apni razamandi ki zamaanat di.

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KA KIRDAAR NAJAAT KE LIYE MIA'YAAR HAI:

Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum azeem us shaan wa be-misaal giroh ka naam hai ke jin ka ek ek kirdaar be-misl wa be-misaal hai, inka emaan, Allah ka taqwa, inka isaar wa qurbaani, algharz ke in ki har cheez khabil e itteba hai, isi wajah se Allah ﷻ ne in ke kirdaar ko kamiyaabi ka mia'yaar qaraar diya hai.

Irshaad E Bari Ta'ala hai:
فإن آمنوا بمثل ما آمنتم به فقد اهتدوا وإن تولوا فإنما هم في شقاق​

"Agar yeh log tumharey (Sahaba) ki tarha emaan ley aayen tou yeh hidayat paagaye, lekin agar in ki mukhalifat karenge tou barbaad ho jayenge."
(Surah Al-Baqara: 137)

Allah ﷻ ka mazeed Irshaad hai:

ومن يشاقق الرسول من بعد ما تبين له الهدى ويتبع غير سبيل المؤمنين نوله ما تولى ونصله جهنم وساءت مصيرا​

"Jo shaksh ba-wajood raahe hidayat ke wazeh ho jaaney ke bhi Rasool ke khilaaf karey, aur tamaam momino ki rah chhod kar chaley, hum usey udhar hi mutawajja kardengey jidhar wo khudh mutawajja huwa, aur dozaq mein daal dengey, wo pohachney ki bahut hi buri jagha hai."
(Surah An-Nisaa: 115)

Hafiz Salahuddin Yusuf Hafidahullah is aayat ki tafseer mein raqmtaraaz hain:
"Momino se muraad Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum hain jo Deen E Islam ke awwaleen pairo aur is ki talimaat ka kamil namuna thhey, aur in ke nuzool ke waqt jis ke siwa koi momin giroh maujood na tha ke wo muraad ho, is liye Rasool ki mukhalifat aur "Ghaira Sabeelil Momineen" ka itteba dono haqeeqat mein ek hi cheez ka naam hai, is liye Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ke raastey aur minhaaj se infiraaf bhi kufr wa zalaal hi hai."
(Tafseer Ahsan Ul Bayaan)

Ghaur farmaye, Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko momin qaraar diya gaya hai, aur in ki itteba ko kamiyaabi jabke in ki mukhalifat ko gumraahi qaraar diya gaya hai, hum sab bhaiyon ko koshis karni chahiye ke Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum waala kirdaar apnayen, Allah hummen tawfeeq bakhsey. Aameen

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KE LIYE DUA KARNEY KA HUKM:

Qarayeen mohtaram! Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ki mehnaton aur koshishon ka natija hai ke aaj Deen E Islam apni asl shakl mein maujood hai, agar in ki qurbaaniyan na hoten tou hosakta tha ke aaj hum musalmaan hi na hotey, Islam kisi bhi musalmaan aur insaan ki kamiyaabi ke liye zaroori hai, tou goya hummen yeh

kamiyaabi mehaz Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ki mehnat, koshis wa kawish aur qurbaani se mili hai jo ke inka hum par bahut bada ahsaan hai, is ahsaan ka taqaza hai ke hum kam az kam in ke liye duayen kartey rahen.

Allah ﷻ ka Irshaad hai:

فاعلم أنه لا إله إلا الله واستغفر لذنبك وللمؤمنين والمؤمنات والله يعلم متقلبكم ومثواكم​

"Aye Nabi! aap yaqeen kar len ke Allah ke siwa koi mabood nahi, aur apne gunaahon ki bakhshish mangga karen, aur momin mardon auraton ke haq mein bhi, Allah tum logon ke aamad o raft ki aur rehney sehney ki jagha khoob jaanta hai."
(Surah Muhammad: 19)

Is aayat mein Allah ﷻ ne apne paighambar ko hukm diya ke in ke Sahaba ke liye dua e maghfirat kiya karo kunyke maghfirat hi kamiyaabi hai aur duniya aur aakhirat ki mushkilaat se najaat ka sabab hai, doosrey maqaam par momino ki bhi sifat bayaan ki ke wo apne bhaiyon ke liye dua e maghfirat kartey hain.

Irshaad E Rabbani hai:

والذين جاءوا من بعدهم يقولون ربنا اغفر لنا ولإخواننا الذين سبقونا بالإيمان ولا تجعل في قلوبنا غلا للذين آمنوا ربنا إنك رءوف رحيم​

"Ke jo inke baad aaye hain wo tou duayen kartey hain, Aye Hummarey Rab! hummarey in bhaiyon ko bhi hummarey saath bakhsh dey ke jo hum se emaan mein sabqat ley jaa chukey hain, aur hummarey dilon mein in ke liye koi keena paida na kar ke wo emaan laaye, bila-shuba tou bada hi narm aur raham karney waala hai."
(Surah Al-Hashr: 10)

In aayaat mein hummen yeh sikhaaya gaya hai ke Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ke liye aur apne guzrey huwe yane foot shuda bhaiyon ke liye dua karni chahiye na ke in ki burayiyan karni chahiye, Allah hummen samahj ki tawfeeq bakhsey, hummarey dilon ko Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ki muhabbat se labreez kardey.
Aameen Ya Rabbil Aalameen.

RASOOLULLAH ﷺ KI ZUBAAN E MUBARAK SE SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KI FAZILAT:

Qarayeen mohtaram! Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ki fazilat Qur'an E Kareem ki raoushni mein aap ne mulahazah farmaya, ab Hadees E Rasool ﷺ ki row se bhi Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ki fazilat wa maqaam mulahazah farmayen, Rasoolullah ﷺ ki hadees ki row se Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum behtareen log hain, aur in ka zamana bhi behtareen zamana hai, chunaanche, Sayyiduna Umar Bin Haseen Radhi Allahu Anhu se marwi hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:

خَيْرُ أُمَّتِي قَرْنِي ثُمَّ الَّذِينَ يَلُونَهُمْ ثُمَّ الَّذِينَ يَلُونَهُمْ،‏ ثُمَّ إِنَّ بَعْدَكُمْ قَوْمًا يَشْهَدُونَ وَلاَ يُسْتَشْهَدُونَ، وَيَخُونُونَ وَلاَ يُؤْتَمَنُونَ، وَيَنْذُرُونَ وَلاَ يَفُونَ، وَيَظْهَرُ فِيهِمُ السِّمَنُ- وَفِيْ رِوَايَةٍ وَيَحْلِفُونَ وَلاَ يُسْتَحْلَفُونَ​

"Mere daur ke log (Sahaba Razi Allahu Anhum) sab se behtar hain, is ke baad wo log jo in ke baad aayenge, phir wo log jo in ke baad honge, phir wo log honge ke jo gawaahi denge, lekin in ki gawaahi qabil e qubool na hogi, wo khayanat karenge aur wo ameen nahi honge, wo nazr maanege, lekin poora na karenge, aur in mein motapa aajayega, aur doosri riwaayat mein hai, wo khasam utthayenge, halaanke in se khasam ka mutaalba na kiya jaye."
(Saheeh Bukhaari, Kitaab Fazail E Sahaba, Raqm: 365. Saheeh Muslim, Kitaab Fazail E Sahaba, Raqm: 6475)

Ghaur farmayen! ke Rasoolullah ﷺ ne sab se behtareen log Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko qaraar diya hai, kiyunke inhon ne shab o roz Rasoolullah ﷺ ke saath guzarey hain, Nabi E Rahmat ﷺ se taleem baraahe raast li hai jo ke kamiyaabi aur Allah ke fazl ka baais hai, isi liye Rasoolullah ﷺ ne in ko ummat ke liye kamiyaabi ka zariya aur sabab qaraar diya hai, chunaanche, Sayyiduna Abu Burda Radhi Allahu Anhu apne baap se bayaan kartey hain ke:

رَفَعَ يَعْنِىْ النَّبِيُّ ﷺ رَأْسَهُ إِلَى السَّمَاءِ وَكَانَ كَثِيرًا مِمَّا يَرْفَعُ رَأْسَهُ إِلَى السَّمَاء،ِ فَقَالَ؛ النُّجُومُ أَمَنَةٌ لِلسَّمَاء،ِ فَإِذَا ذَهَبَتِ النُّجُومُ أَتَى السَّمَاءَ مَا تُوعَدُ، وَأَنَا أَمَنَةٌ لأَصْحَابِي، فَإِذَا ذَهَبْتُ أَتَى أَصْحَابِي مَا يُوعَدُونَ، وَأَصْحَابِي أَمَنَةٌ لأُمَّتِي، فَإِذَا ذَهَبَ أَصْحَابِي أَتَى أُمَّتِي مَا يُوعَدُونَ​

"Nabi ﷺ ne aasmaan ki taraf apna sar e mubarak utthaya, aur Aap ﷺ aksar apna sar e mubarak aasmaan ki taraf utthaya kartey thhey, farmaya: sitaarey aasmaan ke liye aman ki zamaanat hain, jab aasmaan ke sitaarey toot jayenge tou aasmaan ke liye (phat jaaney ke) wadey ka waqt aajayega, aur main apne ashaab ke liye baais e aman hon, jab main chala jaaonga tou mere ashaab in aazmaishon se do chaar honge jis ka in se wadah kiya gaya hai, aur mere Sahaba meri unmat ke aman ka sabab hain, aur jab mere Sahaba utth jaayenge tou meri ummat bataye gaye fitno se do chaar hogi."
(Saheeh Muslim, Kitaab Fazail E Sahaba, Raqm: 6466)

Aap ﷺ ne Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko is ummat ke liye aman wa aatashi ka sabab qaraar diya hai, jab tak Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum maujood raheinge, is ummat mein aman rahega lekin jab chaley jaayenge tou ummat fitno ka shikaar ho jayegi, jo ke in ki kamzori ki daleel hogi, lekin Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ki maujoodgi in ki quwat wa kamiyaabi ki zamaanat hai, chunaanche, Sayyiduna Abu Sayeed Khudri Radhi Allahu Anhu se marwi hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:

يَأْتِي عَلَى النَّاسِ زَمَانٌ فَيَغْزُو فِئَامٌ مِنَ النَّاسِ فَيَقُولُونَ؛ هَلْ فِيكُمْ مَنْ صَاحَبَ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فَيَقُولُونَ؛ نَعَمْ‌‏ فَيُفْتَحُ لَهُمْ‌‏ ثُمَّ يَأْتِي عَلَى النَّاسِ زَمَانٌ فَيَغْزُو فِئَامٌ مِنَ النَّاسِ فَيُقَالُ هَلْ فِيكُمْ مَنْ صَاحَبَ أَصْحَابَ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فَيَقُولُونَ نَعَمْ‏،‏ فَيُفْتَحُ لَهُمْ ثُمَّ يَأْتِي عَلَى النَّاسِ زَمَانٌ، فَيَغْزُو فِئَامٌ مِنَ النَّاسِ فَيُقَالُ؛ هَلْ فِيكُمْ مَنْ صَاحَبَ مَنْ صَاحَبَ أَصْحَابَ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فَيَقُولُونَ نَعَمْ‏ فَيُفْتَحُ لَهُمْ​

"Musalmano par aisa waqt aayega ke in ka ek giroh Allah ke raastey mein ladayi ladeyga, yeh jihaad karney waaley pocheyge kya tum mein koi aisa hai, jis ko Rasoolullah ﷺ ki sohbat naseeb huwi ho? wo jawaab dengey, haan, chunaanche is Sahabi ki barkat se in ko fateh naseeb hogi, phir musalmano par aisa waqt aapadeyga ke in ka ek giroh Allah ke raastey mein ladayi ladeyga, pochaa jayega, kya tum mein koi aisa hai, jis ko Ashaab E Rasool ﷺ ki muhabbat hasil ho (yane Tabayee hai)? wo jawaab dengey haan, tou in ko fateh naseeb ho jayegi, phir musalmano par aisa daur aayega ke in ki ek jamaat jihaad fee sabeelillah kareygi pochaa jayega kya tum mein aisa shaksh hai, jis ko Ashaab E Rasool ﷺ ki (yane Tabayee) ki sohbat misar aayi ho (yane Taba'tabayee hai)? bataya jayega, haan, tou wo bhi fatehyaab honga."
(Saheeh Bukhaari, Kitaab Fazail E Ashaab Un Nabi, Raqm: 3649, Saheeh Muslim, Kitaab Fazail E Sahaba, Raqm: 6468)

Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum kis qadar mubarak hain ke in ke wujood ki wajah se Allah ﷻ momino ko fateh naseeb farmata hai, kiyunke inhon ne Allah ﷻ aur Allah ke bando ke huqooq ko is tarha aada kiya hai ke jis tarha in ko aada karney ka haq hai, isi wajha se in Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko afzal tareen giroh qaraar diya gaya hai, in mein se bhi Ansaar Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko ek khaas maqaam hasil hai ke Aap ﷺ ne in ki teen pushton ke liye maghfirat ki dua manggi hai, aur in se muhabbat ko emaan ki alaamat qaraar diya hai, chunaanche, Sayyiduna Bara' Radhi Allahu Anhu se marwi hai ke maine Rasoolullah ﷺ ko farmatey huwe suna ke:

لِلْاَنْصَارِ لاَ يُحِبُّهُمْ إِلاَّ مُؤْمِنٌ، وَلاَ يُبْغِضُهُمْ إِلاَّ مُنَافِقٌ، فَمَنْ
أَحَبَّهُمْ أَحَبَّهُ اللَّهُ، وَمَنْ أَبْغَضَهُمْ أَبْغَضَهُ اللَّهُ​

"Sirf emaan waaley hi ansaar se muhabbat rakhtey hain, aur kisi munafiq ke siwa koi aur in se bughz nahi rakhta, jo shaksh in se muhabbat rakhega Allah ﷻ in se muhabbat karey aur jo in bughz rakhega, Allah ﷻ is se bughz rakhey."
(Saheeh Bukhaari, Kitaab Manaqib Ul Ansaar, Raqm: 3783)

Ansaar se muhabbat momin kartey hain, aur munafiq ansaar se bughz kartey hain, in ki muhabbat ki wajah se Allah ki muhabbat haasil hoti hai, aur jo in se nafrat karey Allah ﷻ un se nafrat karta hai kis qadar badbakht hain wo log ke jo Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum se nafrat kartey hain, in ke khilaaf gandi zabaan istemaal kartey hain, yaqeenan in ke liye duniya o aakhirat ki ruswayi hai, kiyunke Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ki yeh jamaat bakhshi huwi hai, chunaanche, Sayyiduna Zaid Bin Arqam
Razi Allahu Anhum se marwi hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmayi:

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِلأَنْصَارِ، وَلأَبْنَاءِ الأَنْصَارِ، وَلِاَبْنَآءِ أَبْنَاءِ الأَنْصَارِ​

"Aye Allah! ansaar ki aur in ke beton aur poton ki maghfirat farma."
(Saheeh Muslim, Kitaab Fazail E Sahaba, Raqm: 6416)

Ansaar ki teen pushton ke liye dua e maghfirat ki gayi hai, is se in ka maqaam wa martaba wazeh hai, ansaar wa muhaajireen Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum mein sab se afzal Badri Sahaba hain, badr waalon ki fazilat ko bayaan kartey huwe Rasoolullah ﷺ ne in sab ko sab se afzal tareen qaraar diya, chunaanche, Sayyiduna Rifa'ah Bin Rafi' se marwi hai ke:

جَاءَ جِبْرِيلُ إِلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ مَا تَعُدُّونَ أَهْلَ بَدْرٍ فِيكُمْ؟ قَالَ؛ مِنْ أَفْضَلِ الْمُسْلِمِينَ أَوْ كَلِمَةً نَحْوَهَا قَالَ وَكَذَلِكَ مَنْ شَهِدَ بَدْرًا مِنَ الْمَلاَئِكَةِ​

"Jibreel Aalaihis Salaam Nabi E Akram ﷺ ki khidmat mein tashreef laaye aur dariyaaft kiya, Aap ﷺ ka ahle badr ke baray mein kya gumaan hai? Aap ﷺ ne farmaya, wo tamaam musalmano se afzal hain, ya isi tarha ki baat farmayi, chunaanche Jibreel Aalaihis Salaam ne kaha isi tarha badr mein shamil honay waaley firishtey bhi afzal hain."
(Saheeh Bukhaari, Kitaab Al-Maghaazi, Raqm: 3992)

Is giroh ke baad afzal tareen giroh sulah hudaibiya waaley Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ka hai, chunaanche, Sayyiduna Jabir Radhi Allahu Anhu se marwi hai ke:

قَالَ كُنَّا يَوْمَ الْحُدَيْبِيَةِ أَلْفًا وَأَرْبَعَ مِائَةٍٍ، قَالَ لَنَا النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم‏ أَنْتُمُ الْيَوْمَ خَيْرُ أَهْلِ الأَرْضِ​

"Hudaibiya ke din hum ek hazaar char saw thhey, hummarey baray mein Nabi E Kareem ﷺ ne farmaya, aaj ke din tum saarey zameen waalon se behtar ho."
(Saheeh Bukhaari, Kitaab Al-Maghaazi, Raqm: 4154, Saheeh Muslim, Kitaab Al-Imara, Raqm: 4811)

Is hadees se hudaibiya waalon ki fazilat wazeh hai.
╼╾╼╾╼╾╼╾╼╾╼╾

Reference |Kitaab: Shaan E Sahaba Bazaban E Mustafa ﷺ Taleef: Abu Humzah Abdul Khaliq Siddiqi Hafizahullah. Safa: 19-41|
 

Top