Umar Asari

Administrator
Staff member
Quran e Kareem Ka Challenge

Prepared by: Umar Asari

Allah Ta’ala Quran Mein Farmata Hai:
قُل لَّئِنِ ٱجْتَمَعَتِ ٱلْإِنسُ وَٱلْجِنُّ عَلَىٰٓ أَن يَأْتُوا۟ بِمِثْلِ هَٰذَا ٱلْقُرْءَانِ لَا يَأْتُونَ بِمِثْلِهِۦ وَلَوْ كَانَ بَعْضُهُمْ لِبَعْضٍ ظَهِيرًا​
Tarjuma: Keh Dijiye Kay Agar Tamam Insaan Aur Kul Jinnat Mil Kar Is Quran Kay Misl Lana Chahen To Un Sab Say Is Kay Misl Lana Namumkin Hai Go Woh (Aapas Mein) Aik Doosray Kay Madadgar Bhi Ban Jayen.
(Surah Bani Israil: Surah No: 17, Ayat No: 88)

Aik Doosrey Maqaam Par Farmaya:
وَإِن كُنتُمْ فِى رَيْبٍ مِّمَّا نَزَّلْنَا عَلَىٰ عَبْدِنَا فَأْتُوا۟ بِسُورَةٍ مِّن مِّثْلِهِۦ وَٱدْعُوا۟ شُهَدَآءَكُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ إِن كُنتُمْ صَٰدِقِينَ​
Tarjuma: Hum Ney Jo Kuch Apney Banday Par Utara Hai Us Mein Agar Tumhein Shak Ho Aur Tum Sachchay Ho To Is Jaisi Aik Surat To Bana Lao Tumhein Ikhtiyar Hai Kay allah Taalaa Kay Siwa Apney Madadgaron Ko Bhi Bula Lo.
(Surah Al-Baqarah: Surah No: 2, Ayat No: 23)

Mazeed Farmaya:
أَمْ يَقُولُونَ ٱفْتَرَىٰهُ ۖ قُلْ فَأْتُوا۟ بِعَشْرِ سُوَرٍ مِّثْلِهِۦ مُفْتَرَيَٰتٍ وَٱدْعُوا۟ مَنِ ٱسْتَطَعْتُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ إِن كُنتُمْ صَٰدِقِينَ​
Tarjuma: Kiya Yeh Kehtay Hain Kay Is Quran Ko Isi Ney Gharha Hai. Jawab Dijiye Kay Phir Tum Bhi Isi Ki Misl Dus (10) Surtein Ghari Hue Ley Aao Aur Allah Kay Siwa Jisay Chahao Apney Saath Bula Bhi Lo Agar Tum Sachay Ho.
(Surah Hood: Surah No: 11, Ayat No: 13)

In Teenon Aayaton Mein Allah Rabb ul Aalameen Ney Poori Dunya e Kayenaat Ko Challenge Kiya Ke Agar Tumhein Quran Ki Sadaqat Mein Zara Sa Bhi Shak Hai Aur Tumhein Yeh Lagta Hai Ke Yeh Quran Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Khud Hi Garh Liya Hai To Is Quran Ke Misl Tum Bhi Kuch Paish Kar Do. Poora Quran Na Sahi Dus (10) Surtein Hi Paish Kar Do. Chalo Tum Se Yeh Bhi Na Ho Paaye To Kam Se Kam Aik Surat Hi Paish Kar Do. Sirf Itna Hi Nahi Balkay Tum Apney Madadgaar Bhi Bulaa Lo. Aur Chaaho To Tamam Insaanon or Jinnat Ko Is Kaam Mein Apney Saath Shareek Kar Lo.
Allah Ke Is Qadr Aasani Deney Ke Bawajood Bhi Log Allah Ke Challenge Ko Aaj Tak Poora Na Kar Sakay. Aur Yaqeenan Qayamat Tak Poora Nahi Kar Sakengey Kiyunkay Quran Ne Yeh Bhi Challenge Kar Diya Key Tum Quran Key Misl Kuch Bhi Paish Karney Se Aajiz Aur Qasir Ho. Farmaya:
فَإِن لَّمْ تَفْعَلُوا۟ وَلَن تَفْعَلُوا۟ فَٱتَّقُوا۟ ٱلنَّارَ ٱلَّتِى وَقُودُهَا ٱلنَّاسُ وَٱلْحِجَارَةُ ۖ أُعِدَّتْ لِلْكَٰفِرِينَ​
Tarjuma: Pas Agar Tum Ney Na Kiya Aur Tum Hargiz Nahi Kar Saktay To (Isay Sachcha Maan Kar) Us Aag Say Bacho Jis Ka Endhan Insan Aur Pathar Hain, Jo Kafiron Kay Liye Tayyar Ki Gai Hai.
(Surah Al-Baqarah: Surah No: 2, Ayat No: 24)

Kuch Mulhid Qism Key Log Daawa Kartey Hain Key Quran Key Challenge Ka Jawab Arab Ke Shouraa (Poets) Ne Diya Hai. Lekin Un Key Paas Apney Is Daawey Ki Koy Daleel Nahi Hai Aur Daleel Ho Bhi Kaisay Jab Kisi Ney Challenge Qubool Hi Nahi Kiya.
Hum Quran Key Andaaz Mein Un Mulhidon Sey Kehtey Hain:
هَاتُوا۟ بُرْهَٰنَكُمْ إِن كُنتُمْ صَٰدِقِينَ​
Tarjuma: Agar Tum Sachchey Ho To Koi Daleel To Paish Karo.
(Surah Al-Baqarah: Surah No: 2, Ayat No: 111)
 

Similar threads


Top