Kya Khana Khaate Huwe Baat Karna Jaaiz Hai?


Shona shaikh

Active member
Kya Khana Khaate Huwe Baat Karna Jaaiz Hai?

Romanised By:- Muhammad Rizwan Salafi

Sunnat e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam mein aisi koi baat nhi hai. Jisse khane ke darmiyan baat karna mana' qaraar diya jaaye.

Kyonke Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se khana khane ke doraan guftagu karna sabit hai.

Sahih Bukhari (3340) Aur Sahih Muslim (194) Mein Abu Hurerah RaziAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ke pass aik din Gosht laaya gaya aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko bakri ka shaana pesh kiya gaya. Aapko shane ka gosht pasand tha. To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam use apne Dandaan e Mubarak se kaat kar khaane lage. Aur aapne farmaya: (Main Qayamat ke din logo ka sarbaraah rahunga. Kya tumhe maloom hai ke yeh Kaise hoga). Uske baad Aap ne Shafa'at se muta'alliq lambi hadees bayan ki.

Aur isi tarah Sahih Muslim (2052) me hai ke Jabir RaziAllahu Anhuma Kehte hain ke Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne aik baar apne ahl e khana se saalan ke baare me puchha, to unhone kaha: Hamare pass to sirf sirka hi hai to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne sirka mangwaaya aur Aapke saath khaana khaane lage aur khaane ke doraan Aap Sallallahu Alaihi Wasallam farma rahe the Sirka aik achcha saalan hai, Sirka aik achcha saalan hai).

Imam Nawawi Rahmatullahi Alaihi Kehte Hain:
Is hadees main khana khane walo ko manoos karne ke liye baat karne ka zikr hai. Jo mustahab hai.
(Sharah Sahih Muslim: 14/7)


Imaam Nawawi Rehmatullahi Alaihi ne khana khane walo ko manoos karne ka jo tazkira kiya hai. Ye cheez arab ke yaha maroof hai. Aur yeh mehmaan nawaazi ka aham juzz hai.

Shaayar Kehta Hai:-
وَرُبَّ ضَيْفٍ طَرَقَ الْحَيَّ سُرًى​
Raat ke waqt bahut se mehmaan mohalle main darwaaza khat-khataate hain.
صَادَفَ زَاداً وَحَدِيْثاً مَا اشْتَهَى​
Fir marzi ka khana aur guftugu paate hain.
إِنَّ الْحَدِيْثَ طَرَفٌ مِنَ القِرَى​
Kyonki mehmaan se kalaam bhi mehmaan nawaazi ka hissa hai.

Ibne qayyim Rehmatullahi Alaihi Kehte hain:
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam khana khate huwe baat bhi kar liya karte the. Jaisa ki pehle Sirka waali hadees main is baat ka tazkirah hai. Aur isi tarah Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apni soteli beti Amr Bin Abi Salama RaziAllahu Anha ko khana khilaate huwe farmaya: Bismillah padho, Aur apne saamne se khaao.
(Zaad Al Ma'ad: 2/366)

In ahadees main khana khaate huwe baat karne ka Jawaz milta hai. Aur khane ke doraan jin ahadees main baat karne ka hukm diya gaya hai. Ya mumani'at ki gayi hai. Un main se koi bhi hadees paaya e saboot ko nahi pahuchti hai.

Hafiz Sakhawi Rehmatullahi Alaihi Kehte Hain:
Mujhe khana khane ke doraan guftugu ki nafi ya isbaat ke baare main kisi hadees ka ilm nahi hai.
(Al Maqasid Al Hasanah: Page.No. 510)

Shaikh Albaani Rehmatullahi Alaihi Kehte Hain:
Khane per guftugu karne ka wahi hukm hai jo Aam haalat main guftugu karne ka hai. Lihaaza khane ke doraan achchi baat achchi aur buri baat buri hogi.
واللہ أعلم بالصواب
Taken From Islamqa: 142516
 

Similar threads


Top