بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

Maghrib Ki Namaz Teen Rakat Kiun???

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Logon ke zehan mein yeh sawal paida hota hai ke gintiyan do (2) aur chaar (4) wali to samajh mein aati hain magar teen wali kuch maslehat wali zaroor hongi.
Is wajah se Maghrib ki teen (3) rakat Namaz ki hikmat kya ho sakti hai?
Allah taala ne bagair hikmat kisi cheez ko nahi banaya, sab mein kuch na kuch us ki maslehat aur koi na koi hikmat hai. Haan yeh aur baat hai ke hamein unhin cheezon ki maslehat aur hikmat maloom hai jisey Allah aur us ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne bataai hai aur utni hi miqdaar mein maloom hai jis ka suboot milta hai. Halaanki cheezon mein kai hikmatein hoti hain.
Jaisey Maghrib ki namaz teen (3) rakat hain waisey witr ki bhi teen (3) rakat hain. Is mein hairani nahi honi chahiye. Jo cheez Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se mil jaye usay bekaar ki arguments kiye bagair maan leni chahiye us mein qeel o qaal (yani yeh kehna ki aisa ho to waisa aur waisa ho to aisa) ki naubat hi nahi aani chahiye. Allah Taala ka farmaan hai:
وَمَا آتَاكُمُ الرَّسُولُ فَخُذُوهُ وَمَا نَهَاكُمْ عَنْهُ فَانْتَهُوا
Tarjumah: Aur tumhein jo kuch Rasool den ley lo aur jis se roken ruk jao.
(Surah al-Hashr, Surah No: 59 Ayat No: 7)

Shuru mein tamam namazein do do rakat thien siwaye maghrib ke:

كَانَ أَوَّلَ مَا افْتُرِضَ عَلَى رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الصَّلَاةُ : رَكْعَتَانِ رَكْعَتَانِ ، إِلَّا الْمَغْرِبَ، فَإِنَّهَا كَانَتْ ثَلَاثًا، ثُمَّ أَتَمَّ اللهُ الظُّهْرَ وَالْعَصْرَ وَالْعِشَاءَ الْآخِرَةَ أَرْبَعًا فِي الْحَضَرِ ، وَأَقَرَّ الصَّلَاةَ عَلَى فَرْضِهَا الْأَوَّلِ فِي السَّفَرِ
Tarjumah: Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam par pehlay namaz do do rakatein farz hue theen siwaye maghrib ke. Woh teen rak’aat farz theen. Phir Allah Taala ne hazar mein Zohr, Asr aur Isha ki namaz chaar chaar (4) kar di aur safar wali namaz apni pehli haalat par (do do rakat siwaye maghrib ke) baqi rakhi.
{Silsila as-Saheehah (Albani): 6/765}

Maghrib ki teen rakat namaz apni asal par baqi rehney ki wajah yeh hai ke woh din ki witr namaz hai:

أول ما فُرِضَتِ الصَّلاةُ ركعتيْنِ ركعتيْنِ ، فلمَّا قدمَ المدينةَ صلَّى إلى كلِّ صَلاةٍ مِثْلَها غيرَ المغربِ ، فإنَّها وترُ النهارِ ، و صلاةِ الصبحِ لطولِ قِرَاءَتِها ، و كان إذا سافَرَ عادَ إلى صلاتِهِ الأُولَى
Tarjumah: Shuru mein do do rak-at namaz farz ki gayi. Jab Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Madinah tashreef laaye to har namaz ko us ke misl ziyadah kar ke (chaar, chaar) padha siwaye Maghrib ke kiyunki woh din ki witr hai. Aur subah ki namaz lambi qirat ki wajah se (utni hi padhi). Aur jab aap safar kartey to pehlay ki tarah (do do siwaaye maghrib ke) padhtey.
{Silsila as-Saheehah (Albani): 2814}
 

Similar threads


Top