Shona shaikh

Active member
بسم الله الرحمن الرحيم

TAUHEED E IBADAT.

IBADAT KI TAMAAM QISMEY (ZUBANI, MAALI AUR JISMAANI) SIRF ALLAH TA'ALA HI K LIYE MAKHSOOS HAI.

"kaho meri namaz, mere tamaam marasim abudiyat mera jeena mera marna sabkuch Allah ta'ala rabbul alameen k liye hai jiska koi shareek nahi usi baat ka mujhe hukm diya gaya hai aur sabse pehle sar ita'at jhukaane wala hu."
(Surah Anaam Surah no. 6 Ayat no. 162-163)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamey quran majeed ki kisi surah ki tarah tashahud bhi sikhaya karte they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate hai "tamaam zubani ba'barkat ibadatey aur tamaam badni wa maali ibadatey Allah ta'ala hi k liye (makhsoos) hai ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap par salamati aur Allah ta'ala ki rahmatey aur barkatey nazil ho, salam ho hum par aur Allah ta'ala ki naik bando par mein gawahi deta hu k Allah ta'ala k siwa koi ila (mabood) nahi aur mein gawahi deta hu k Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Allah k Rasool hai".
(Sahih Muslim, Mishkaat tash'had fasal awwal)

NAMAZ KI TARAH KA QAYAAM YA BE HAS WA HARKAT BA'ADAB HAATH BAAND KAR KHADE HONA ALLAH TA'ALA HI K LIYE MAKHSOOS HAI.

"Apni namazo ki hifazat karo aur (khaas taur par) namaz e Asr ki aur Allah ta'ala k saamne is tarah adab se khade ho jese farmabardaar gulaam khade hote hai".
(Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 238)

Hazrat Muaviyah Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Jo shaks ye pasand kare k loog uske saamne tasweer ki tarah (be has wa harkat aur ba'adab) khade rahey wo apni jagah jahannam mein bana le".
(Sahih Sunan Tirmizi. Li'albani vol:3, Hadees no. 2212)

RUKU AUR SAJDAH ALLAH TA'ALA HI K LIYE MAKHSOOS HAI.

"Ae loogo jo emaan laye ho! ruku karo, sajdah karo aur ibdat karo apne rabb ki aur naik kaam karo takey falah paa sako".
(Surah Hajj Surah no. 22 Ayat no. 77)

Hazrat Qais bin Saad Razi Allahu Anhu kehte hai mein hirah (yaman ka shehar) aya to waha k loogo ko apne hakim k aage sajdah karte dekha mene khayal kiya k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam (un haakimo k muqabiley mein) sajdah k zayada haqdaar hai chunanchey jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidamt e aqdas mein hazir hua to arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mene hirah k loogo ko apne haakim k saamne sajdah karte dekha hai halankey Aap sajdah k zayada haqdaar hai" Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Accha batao agar tumhara guzar meri qabar par ho to kya tum meri qabar par sajdah karoge?" mene arz kiya "nahi" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "phir ab bhi mujhe sajdah na karo agar mein kisi ko sajdah karne ka hukm deta to aurato ko hukm deta k wo apne shoharo ko sajdah kare is haqq k badley mein jo Allah ta'ala ne mardo k liye muqarrar kiya hai".
(Sahih Sunan Abu Dawood, li'albani vol.2, Hadees no. 1873)

TAWAAF (SAWAB KI NIYAT SE KISI JAGAH K GIRD CHAKKAR LAGANA) AUR AETAKAAF (KISI JAGAH SAWAB KI NIYAT SE BAITHNA) SIRF ALLAH TA'ALA HI K LIYE MAKHSOOS HAI.

"Aur humne Ibraheem aur Ismaeel (Alaihis Salaam) ko taakeed ki thi k mere is ghar ko tawaaf, aetakaaf, ruku aur sajdah karne walo k liye paak saaf rakkho".
(Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 125)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Kisi qabr par baithne se ye behtar hai k aadmi aag k ingaarey par baith jaye jo uske kapde aur khaal tak ko jala de".
(Sahih Muslim Kitabul Janaiz)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Qayamat us waqt tak qayam nahi hogi jab tak qabeela e doos ki aurato ki peethey zill khalsah k gird tawaaf na karne lage".
(Muttafiqun Alih, Sahih Muslim Kitabul Faan)

WAZAHAT: Zill Khalsah zamana e jahiliyat mein qabeela e doos ka butt tha jiske gird mushrik tawaaf kiya karte they.

NAZR, NIYAAZ, MANNAT AUR CHADHAAWA SIRF ALLAH TA'ALA HI K NAAM KA HONA CHAHIYE.

"Beshak Allah ta'ala ne tum par murdaar, khoon, khinzeer ka goosht aur wo har cheez jo Allah ta'ala k alawa kisi doosre k naam kardi jaye, haraam kar diya hai".
(Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 173)

Hazrat Tariq bin Shihaad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ek aadmi sirf makkhi ki wajah se jannat mein chala gaya aur doosra jahannam mein" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kya"Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! wo kese?" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Do aadmi ek qabiley k paas se guzrey, us qabiley ka ek butt tha jis par chadhawa chadhaye bagair koi aadmi waha se nahi guzar sakta tha, chunanchey unme se ek shaks se kaha gaya k is butt par chadhawa chadhao, usne kaha k mere paas aesi koi cheez nahi, qabiley k loogo ne kaha tumhey chadhawa zaroor chadhaana hoga khawah makkhi hi pakad kar chadhao, musafir ne makkhi pakdi aur butt ki nazar kardi loogo ne use jaane diya aur wo jahannam mein dakhil ho gaya, qabiley k loogo ne doosre aadmi se kaha tum bhi koi cheez butt ki nazar karo, usne kaha mein Allah ta'ala azz wa jall k awala kisi doosre k naam ka chadhawa nahi chadhunga, loogo ne use qatal kar diya aur wo jannat mein chala gaya".
(Musnad Ahmad Kitabut Tauheed)

QURBANI SIRF ALLAH TA'ALA HI K NAAM KI DENI CHAHIYE.

"Aur jis jaanwar ko Allah ta'ala k naam par zibah na kiya gaya ho uska goosht na khao aesa karna fisk hai, shayateen apne sathiyo k dilo mein shukook wa shubhaat daalte hai takey (shayateen k saathi shirk k liye) tumse jhagda kare lekin agar tumne unki ita'at qubool karli to tum mushrik ho".
(Surah Anaam Surah no. 6 Ayat no. 121)

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala ne laanat farmayi hai us shaks par jo gairullah k naam par janwar zibah kare jo zameen ki hadey tabdeel kare jo apne walidayen par lanat kare aur jo bida'ati ko panah de".
(Sahih Muslim Kitabul Azha)

DUA SIRF ALLAH TA'ALA HI SE BARAH E RAAST MAANGNI CHAHIYE
.
"Ae Nabi! mere bande jab tumse mere mutalliq puchey (to unhe bata do) k mein unke qareeb hi hu jab koi dua karne wala mujhse dua karta hai to mein qubool karta hu pas unhe chahiye k wo mera hukm maaney mujh par emaan laye takey raah e raast pa ley".
(Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 186)

Hazrat Nomaan bin Basheer Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dua ibadat hai" phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat tilawat farmayi "Tumhara rabb kehta hai mujhse dua karo mein tumhari dua qubool karunga jo loog meri ibadat se muh moodte hai mein unhe jald hi ruswa karke jahannam mein dakhil karunga".
(Sahih Sunan Tirmizi, li'albani vol:3, Hadees no. 2685)

PANAH SIRF ALLAH TA'ALA HI SE MAANGNI CHAHIYE.

"Kaho mein panah maangta hu insaano k rabb, insano k baadshah, insaano k haqeeqi mabood ki, us waswasa daalne wale k shar se jo baar baar palat kar aata hai, jo loogo k dilo mein waswasa daalta hai, khawah wo jinno mein se ho ya insaano mein se".
(Surah Naas Surah no. 114 Ayat no. 1-6)

Hazrat Khaula binte Hakeem Razi Allahu Anha kehti hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmate hue suna hai jo shaks kisi jagah thehrey aur ye dua padhey "Mein Allah ta'ala k mukammal kalmaat k zariye saari makhloqaat k shar se Allah ta'ala ki panah maangta hu" tu use us jagah se rawana hone tak koi cheez nuksaan nahi pahuchayegi.
(Sahih Muslim Baab raqi babul raqeeyata bi tarbatul arz)

TAWAKKAL AUR BHAROOSA SIRF ALLAH TA'ALA HI PAR KARNA CHAHIYE.

"Agar Allah ta'ala tumhari madad par ho to koi taakat tum par galib aane wali nahi aur agar wo tumhey chood de to uske baad kaun hai jo tumhari madad kar sakta hai bas sacchey momino ko Allah ta'ala hi par tawakkal karna chahiye".
(Surah Ale Imran Surah no. 3 Ayat no. 160)

Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Agar tum loog Allah ta'ala par tawakkal karo jesa tawakkal karne ka haqq hai to wo tumhey usi tarah rizk de jis tarah parindo ko deta hai, parindey subah khaali pait nikalte hai aur shaam ko pait phar kar wapas aatey hai".
(Sahih Sunan Ibne Maja, li'albani vol.2 Hadees no. 3359)

RAZA AUR KHUDNUDI SIRF ALLAH TA'ALA HI KI TALAB KARNI CHAHIYE.

"Rishtedaar, miskeen aur musafir ko uska haqq ada karo yahi tarz e amal behtar hai un loogo k liye jo Allah ta'ala ki khushnudi chahte hai aur wahi loog falah paane wale hai".
(Surah Room Surah no. 30 Ayat no. 38)

Hazrat Muaviya Razi Allahu Anhu ne ummul momineen Hazrat e Ayesha Razi Allahu Anha ko khat likha k mujhe koi naseehat farmaiye lekin taweel (lambi) na ho, chunanchey Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne likha Assalamu Alaikum, Allah ki hamd o sana k baad, mene Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmate hue suna hai "Jo shaks loogo ki naraazgi mool le kar Allah ta'ala ki raza dhoondta hai Allah ta'ala use loogo se mustagna kar deta hai, aur jo shaks loogo ki raza hasil karne k liye Allah ta'ala ki naraazgi mool leta hai Allah ta'ala use loogo k supurd kar deta hai" Wassalamu Alaik.
(Sahih Sunan Tirmizi. vol:3, Hadees no. 1967)


TAMAAM MUHABBATO PAR GALIB ALLAH TA'ALA HI KI MUHABBAT HONI CHAHIYE.

"Loogo mein se kuch loog aese hai jo Allah ta'ala k siwa doosro ko uska hamsar aur maddey muqabil banate hai, aur unse aesi muhabbat karte hai jesi muhabbat Allah ta'ala se karni chahiye halankey emaan wale to Allah ta'ala se toot kar muhabbat karte hai".
(Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 165)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jis shaks mein ye teen khaslatey hongi wo unki wajah se emaan ki (haqeeqi) halawat aur mithaas mehsoos karega pehli ye k Allah aur Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam se baaqi tamaam loogo k muqabiley mein zayada muhabbat rakhta ho, doosri ye k kisi aadmi se Allah ta'ala k liye muhabbat karta ho, teesri ye k kufr jis se Allah ta'ala ne use bacha liya hai uski taraf palatna use itna napasand ho jitna aag mein dakhil hona".
(Sahih Muslim Kitabul Emaan)

HAR QISM K DARR AUR KHAUF PAR ALLAH TA'ALA HI KA KHAUF AUR DARR GALIB HONA CHAHIYE.
"Kya tum kafiro se darte ho halankey Allah ta'ala uska zayada haqdaar hai k tum us'se daro agar tum waqayi momin ho".
(Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 13)

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k gazwa zaatir riqa'a mein hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they (dooran e safar) ek ghaney saaye wala darakht aya jise humne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k (aaraam k liye) chood diya itne mein ek mushrik aadmi aya aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki talwar jo, darakht k saath latak rahi thi, soont kar boola "Kya tum mujh se darte ho (ya nahi)?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Nahi" mushrik kehne laga tumhey mujhse kaun bachayega? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah" ise Bukhari ne riwayat kiya hai, Abu Bakr Ismaeel ne apni Sahih mein ye baat bhi riwayat ki hai (k jab) mushrik ne kaha "tumhey mujhse kaun bachayega to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah" is par talwar mushrik k haath se choot kar nichey gir padhi aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne utha li phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha "Tujhey mujh se kaun bachayega?" mushrik ne kaha "Tum behtar pakadne wale bano" (yaani mujh par raham karo aur chood do)
(Riyazus Saliheen Baab fi yaqeen wa tawakkal hadees no. 267)

DEEN AUR DUNYA K TAMAAM MAAMLAAT MEIN ITA'AT SIRF ALLAH TA'ALA HI KI KARNI CHAHIYE.

"Humne har ummat mein ek Rasool bheja aur uske zariye sabko khabardaar kar diya k "Allah ta'ala ki ita'at karo aur tagooto ki ita'at se bacho uske baad unmein se kisi ko Allah ta'ala ne hidayat bakhshi aur kisi par gumrahi musallat ho gayi".
(Surah Nahal Surah no. 16 Ayat no. 36)

Hazrat Adi bin Hatim Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mein Nabi E Arkam Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur meri gardan mein sooney (gold) ki saleeb thi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ae Adi! is butt (saleeb) ko utaar phenko" mene (us waqt) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko Surah Baqarah ki ye Ayat padhte hue suna "unhone (yaani ahle kitab ne) apne ulama aur darwaisho ko ila (mabood) k siwa apna rabb bana liya" tab (Hazrat Adi k sawal k jawab mein) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat irshad farmayi k wo (Ahle kitab) apne ulama aur darwaisho ki (zahiri) ibadat na karte they, lekin jab ulama kisi cheez ko halaal kehte to wo use halaal jaan lete aur jab ulama kisi cheez ko haraam tehraatey to wo use haraam jaan lete (aur wahi matlab hai ulama ko Allah ta'ala k siwa rabb banane ka).
(Sahih Sunan Tirmizi, li'albani vol:3, Hadees no. 2471)

TAUHEED E IBADAT K BAARE MEIN SHIRKIYA UMOOR


1. Allah ta'ala k alawa kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal k saamne be has wa harkat, ya adab haath baandh kar khade hona shirk hai.
2. Allah ta'ala k alawa kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal k saamne ruku ki tarah jhukna ya sajdah karna shirk hai.
3. Kisi mazaar par sawaab ki niyat se kam ya zayada waqt k liye qayam karna ya mujawar ban kar baithna ya tawaaf karna shirk hai.
4. Allah ta'ala k alawa kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah se dua maangna ya unhe dua mein waseela banana shirk hai.
5. Musibat ya takleef mein Allah ta'ala k siwa kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagirah ko pukaarna unse faryaad karna unse panah talab karna shirk hai.
6. Allah ta'ala k alawa kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub aya badaal wagairah k naam ka janwar zibah karna ya unke naam ki nazar, niyaaz dena ya unki mannat maan'na ya chadhawa chadhana shirk hai.
7. Dunya ya aakhirat mein nuqsaan k dar se Allah ta'ala k muqabiley mein kisi faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah se darna shirk hai.
8. Dunya ya aakhirat mein kaamyabi k husool k liye Allah ta'ala k muqabiley mein kisi faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah ki raza hasil karna shirk hai.
9. Allah ta'ala k muqabiley mein kisi zinda ya faut shuda nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah se badhkar muhabbat karna shirk hai.
10. Allah ta'ala k bajaye kisi faut shuda nabi, wali, guas, qutub ya abdaal wagairah par tawakkal karna shirk hai.
11. Allah ta'ala k muqarrar qardah halaal wa haraam k muqabiley mein kisi wali, gaus, qutub, abdaal ya murshid kisi mazhabi rehnuma ya kisi siyaasi leader ya kisi Parliament ya kisi assembly wagairah k mutayyin karda halaal wa haraam par amal karna shirk hai.
 

Similar threads


Top