KYA ALLAH TAALA HAR JAGAH BI-ZAATIHI MOJOOD HAI?


Staff Member

Member
Staff member
KYA ALLAH TAALA HAR JAGAH BI-ZAATIHI MOJOOD HAI?

TEHREER: HAFIZ ZUBAIR ALI ZAI RAHIMAHULLAH

✵Sawaal:✵
SURAH AL-HADEED KI CHAUTHI AYAT KI ROSHNI MEIN YEH KEHNA KI ALLAH TAALA HAR JAGAH MOJOOD HAI, KYA SAHIH HAI? AGAR NAHI TOH ISS KI KYA DALEEL HAI?

✯Jawaab:✯
Irshad-e-Bari Taala hai:
هُوَ الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ فِي سِتَّةِ أَيَّامٍ ثُمَّ اسْتَوَىٰ عَلَى الْعَرْشِ يَعْلَمُ مَا يَلِجُ فِي الْأَرْضِ وَمَا يَخْرُجُ مِنْهَا وَمَا يَنزِلُ مِنَ السَّمَاءِ وَمَا يَعْرُجُ فِيهَا وَهُوَ مَعَكُمْ أَيْنَ مَا كُنتُمْ وَاللَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ بَصِيرٌ​
'Wohi hai Jis ne aasmano aur zameen ko chhe (6) dino mein paida kiya, phir Arsh par mustawi ho gaya, Woh (khoob) jaanta hai us cheez ko jo zameen mein jaaye aur jo us se nikle aur jo aasman se neeche aaye aur jo kuchh chadh kar us mein jaye, AUR JAHAN KAHIN TUM HO WOH TUMHARE SAATH HAI aur jo tum kar rahe ho Allah dekh raha hai.
[Surah al-Hadeed (57), Ayat: 4]

Is Ayat e Kareema mein 'وَهُوَ مَعَكُمْ أَيْنَ مَا كُنتُمْ' ki tashreeh mein Qadeem Mufassir e Qur'an Imaam Muhammad Bin Jarir at-Tabari Rahimahullah (310 H.) farmate hain:
"Aur ai logon! Woh (Allah) tum par gawah hai, tum jahan bhi ho Woh tumhein jaanta hai, Woh tumhare Aamal, phirna aur thikana janta hai aur Woh apne saath aasmanon se upar apne Arsh par hai. (Tafseer e Tabari, Jild 27 Safa 125)

Isi mafhoom ki ek Ayat e karima ke baare mein Mufassir Zahhak Bin Mazaham al-Hilali al-Khurasani Rahimahullah (106 Hijri) farmate hain:
Woh Arsh par hai aur Us ka Ilm un (logon) ke saath hai chahe woh jahan kahin bhi hon.
(Tafseer e Tabari, Jild 28 Safa 10 Wa Sanadahu Hasan)

Imam Muqarra Muhaqqiq Muhaddis Ashar Abu Umar Ahmad Bin Muhammad Bin Abdullah At-Talamanki Al-Andalusi Rahimahullah (429 Hijri) farmate hain:
"Ahl e Sunnat Musalmano ka is par ijma’ hai ki 'وَهُوَ مَعَكُمْ أَيْنَ مَا كُنتُمْ' (Al-Hadeed: 4) wagaira Ayaat ka matlab yeh hai ki 'Beshak is se Allah ka ilm muraad hai, Allah apni zaat ke lihaz se aasmanon par, Arsh par mustawi hai jaisa woh chahta hai."
(Sharh Hadees an-Nuzool li Ibn e Taimiyyah Safa 144, 145)

Is ijma' se maloom huwa ki baaz un-Naas ka is Ayat e karima se yeh masla tarashna ki "Allah Apni zaat ke saath har jagah maujood hai." Ghalat aur Baatil hai lihaza Kitab o Sunnat aur Ijma' ke mukhalif hone ki wajah se mardood hai.

Sawaal mein maujood Ayat e karima mein 'يَعْلَمُ' ka lafz bhi saaf taur isi par dalalat karta hai ki yahan ma'iyyat (saath) se Ilm aur Qudrat muraad hai, Tafseel ke liye dekhiye Humare Ustaaz e Muhtaram Shaykh Badeeuddin Ar-Rashidi Rahimahullah ki kitab "Tauheed e Khalis" (Safa 277).
Haris Bin Asad al-Muhasibi Rahimahullah (243 Hijri) farmate hain:
Aur isi tarah yeh kehna jayez nahi hai ki.....Allah zameen par hai.
(Fahm-ul-Qur'an wa Maa'neeh)

Hafiz Ibn-ul-Jawzi Rahimahullah farmate hain:
"(Jahmiyyah ke firqe) multazimah ne Bari Taala ko har jagah (Maujood) qarar diya hai."
(Talbees e Iblees Safa 30, Raqim-ul-Huroof ki kitab: Bidati ke pichhe Namaaz ka hukm, Safa 19)

Shaykh Abdul Qadir Jilani Rahimahullah farmate hain:
‘Aur yun kehna jayez nahi ki Woh (Allah) har makan mein hai balki yun kehna chahiye ki Woh Aasman mein Arsh par hai.”
(Guniyatut Talibeen, Jild 1 Safa 100)

{Note: Yeh Mazmoon Maahnama Isha’at ul Hadees, Shumara No: 24 (May: 2006) se liya gaya hai}
 

Similar threads


Top