Umar Asari

Administrator
Staff member
Quran padhne aur Wuzu karne ke dauraan salam ka jawab dena kaisa hai?

❀Sawaal:❀
AS SALAMO ALAIYKUM
Kya quran padhney or wuzu karne ke dauraan agar koi salam kare toh usko salam ka jawab dey sakte hain?

✿Jawaab:✿
Ji han. Tilaawat e Quran aur Wuzu ke dauraan salaam ka jawaab dena sahih hai. Is silsile mein koi mumani'at nahi hai.

Quran e Kareem padhne ke dauraan salaam ka jawaab dene ki daleel:
Uqbah bin Amir Al-Juhani Radhiallahu Anhu se riwayat hai, woh kehte hain:
كُنَّا جُلُوسًا فِي الْمَسْجِدِ نَقْرَأُ الْقُرْآنَ، فَدَخَلَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَسَلَّمَ عَلَيْنَا، فَرَدَدْنَا عَلَيْهِ السَّلَامَ، ثُمَّ قَالَ: تَعَلَّمُوا كِتَابَ اللَّهِ، وَاقْتَنُوهُ. قَالَ قَبَاثٌ: وَحَسِبْتُهُ قَالَ: وَتَغَنُّوا بِهِ، فَوَالَّذِي نَفْسُ مُحَمَّدٍ بِيَدِهِ، لَهُوَ أَشَدُّ تَفَلُّتًا مِنَ الْمَخَاضِ مِنَ الْعُقُلِ​
Tarjumah: Hum Masjid mein baithe quraan padh rahe they to RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam hamaare paas tashreef laaye, phir Aap ne hamein salaam kaha to hum ne salaam ka jawaab diya. Phir Aap ne farmaaya: Allah ki kitaab ka ilm haasil karo aur use (apne haafize mein) jama karo. Qabath (rawi) ne kaha: Mere khayaal mein unhon ne (Ali bin Rabah ne) yeh (jumla bhi) kaha: Aur use khush ilhaani se padho. Pas us zaat ki qasam hai ke jis ke haath mein Muhammed (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki jaan hai. Be-shak woh (Quran) rassiyon mein bandhi hue oontni se teez (dil o dimaagh) se nikal jaata hai.
[Musnad Ahmad: 17361, 17394, 17317. Sunan Darmi: 3391, 3392]
Yeh Hadees Hasan darje ki hai.

✔ Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai.
[Silsila As-Sahiha: 3285]

Yeh Hadees is baat par wazeh daleel hai ki Quran ki tilaawat ke darmiyan salam ka jawaab de sakte hain.

Wuzu ke dauraan salaam ka jawaab dena:
Shaikh Ibn e Baaz Rahimahullah se sawaal kiya gaya to unho ne kaha ki Wuzu ke dauraan salaam ka jawaab de sakte hain.
Fatwa link
 

Similar threads


Top