Qurbani ki fazeelat aur us ka maqsad


Umar Asari

Administrator
Staff member
QURBANI KI FAZEELAT AUR USKA MAQSAD

QURBANI KI TAREEF
Qurbani ka lughwi ma’na
1.”Qurbani wo janwar hai jo Allah ki raah me Qurban kiya jaaye”
(firozul-lughat: 953)

2.”Qurbani wo amal hai jisse Allah Ta’ala ka qurb(nazdeeki) hasil kiya jata hai.”
(Al qamoosul muheet)
__________________________________

QURBANI KI FAZEELAT
Qurbani Ibraaheem Alailhissalam ki azeem tareen sunnat hai, ye amal Allah Ta’ala ko itna pasand aya ke is amal ko Qiyamat tak musalmano ke liye azeem sunnat qarar diya aur is azeem sunnat ko hamare pyare nabi Mohammad sallallaho alaihi wasallam ne apna dayemi(hamesha ka) amal banaya.

Allah Ta’ala farmata hai :
“Bas tu apne Rab ke liye namaz padh aur Qurbani kar”
Surah Al-Kausar, Ayah: 2
__________________________________

QURBANI KA MAQSAD
Qurbani ka maqsad mahez Allah ki raza hasil karna, uska qurb talash karna aur taqwa ka husool(hasil karna) hona chahiye, qurbani me kisi makhlooq ki raza talash karna ya Allah ke siwa kisi aur ki khushnudi chahna haram hai. Jaise ki Allah Ta’ala farmata hai:
“Aap kah dijiye yaqeenan meri namaz meri qurbani mera jeena aur mera marna khalis Allah ke liye hai. ”
Surah Al-An’aam, Ayah :162

Aur ek dusri jagah pe Allah Ta’ala ne farmaya
"Allah ko na to tumhari Qurbaniyo ka gosht pahuchta hai aur na unke khoon, lekin use tumhari taraf se(tumhare dilo ka) taqwa pahuchta hai.”
Surah Al-hajj, Ayah: 37

Lehaza Qurbani me Riyakari(dikhawe) ka amal dakhil na ho aur isi tarah qurbani me khilaf e shari’at umoor aur Allah ta’ala ko naraz karne wale bure amal se bacha jaye taki Allah hamari Qurbani qubool kare.
__________________________________

QURBANI KAB KARNI CHAHIYE
Qurbani namaz ke baad karni chahiye jaise ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :
“Jisne namaz se pahle zubah kar liya to uski Qurbani nahi hui. ”
Sahih Bukhari, 5545

Aur dusri jagah farmaya hai:
"Jisne namaz se pahle zubah kiya usne mahez apne khatir (janwar)zubah kiya aur jisne namaz(eid) ke bad jaanwar zubah kiya to yaqeenan uski Qurbani puri ho gayi aur usne musalmano ki sunnat pali."
Sahih Bukhari, 5546
 

Top