Allah Kahaan hai ? Jaane Allah Ta’ala Ke Faraameen Ki Raushni Mein


Allah Kahaan hai ? Jaane Allah Ta’ala Ke Faraameen Ki Raushni Mein

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيمِ

Qur'an Se Yeh Baat Jaane Ke Kya Allaah Har Jagah Hai Ya Sirf Arsh Par Hai ?

Allah Ta'ala Ne Farmaaya :

اَللّٰہُ الَّذِیۡ خَلَقَ السَّمٰوٰتِ وَ الۡاَرۡضَ وَ مَا بَیۡنَہُمَا فِیۡ سِتَّۃِ اَیَّامٍ ثُمَّ اسۡتَوٰی عَلَی الۡعَرۡشِ ؕ مَا لَکُمۡ مِّنۡ دُوۡنِہٖ مِنۡ وَّلِیٍّ وَّ لَا شَفِیۡعٍ ؕ اَفَلَا تَتَذَکَّرُوۡن

"Allaah Woh Hai Jis Ne Zameen Aur Aasmaan Aur Jo Kuch Us Ke Darmiyaan Hai Un Sab Ko Chhey (6) Din Mein Paida Kiya Phir Arsh Par Qaayam Hogaya.
Allaah Ke Siwa Tumhaara Koi Madadgaar Nahi Aur Na Hi Koi Sifaarish Karne Waala Hai, Tou Kya Tum Ghaur-O-Fikr Nahi Karte ?"

[Soorah As-Sajdah, Aayat : 4]

اِنَّ رَبَّکُمُ اللّٰہُ الَّذِیۡ خَلَقَ السَّمٰوٰتِ وَ الۡاَرۡضَ فِیۡ سِتَّۃِ اَیَّامٍ ثُمَّ اسۡتَوٰی عَلَی الۡعَرۡشِ یُدَبِّرُ الۡاَمۡرَ ؕ مَا مِنۡ شَفِیۡعٍ


“Beshak Tumhaara Rabb Woh Hai Jis Ne Zameen Aur Aasmaan Ko Chhey (6) Din Mein Paida Kiya Phir Arsh Par Qaayam Hua (Wahaan Se Tamaam Kaam) Ki Tadbeer Karta Hai, Koi Us Ki Ijaazat Ke Baghair Us Ke Saamney Sifaarish Karne Waala Nahi...”

[Soorah Yoonus, Aayat : 3]

اَللّٰہُ الَّذِیۡ رَفَعَ السَّمٰوٰتِ بِغَیۡرِ عَمَدٍ تَرَوۡنَہَا ثُمَّ اسۡتَوٰی عَلَی الۡعَرۡش


“Allaah Woh Hai Jis Ne Aasmaanon Ko Baghair Sutoonon (Pillars) Ke Buland Kiya Jaisa Ke Tum Us Ko Dekh Rahey Ho Phir Allaah Arsh Par Qaayam Hua...”

[Soorah Raad, Aayat : 2]

اَلرَّحۡمٰنُ عَلَی الۡعَرۡشِ اسۡتَوٰی

“Rahmaan Woh Hai Jo Arsh Par Qaayam Hua.”

[Surah Taahaa, Aayat : 5]

ہُوَ الَّذِیۡ خَلَقَ السَّمٰوٰتِ وَ الۡاَرۡضَ فِیۡ سِتَّۃِ اَیَّامٍ ثُمَّ اسۡتَوٰی عَلَی الۡعَرۡشِ ؕ یَعۡلَمُ مَا یَلِجُ فِی الۡاَرۡضِ وَ مَا یَخۡرُجُ مِنۡہَا

“Allaah Woh Hai Jis Ne Zameen Aur Aasmaan Aur Jo Kuch Us Ke Darmiyaan Hai Un Sab Ko Chhey (6) Din Mein Paida Kiya Phir Arsh Par Qaayam Hogaya Woh Jaanta Hai Jo Kuch Zameen Mein Daakhil Hota Hai Aur Jo Kuch Zameen Se Nikalta Hai....”

[Soorah Hadeed, Aayat : 4]

Alhumdulillaah Qur'an Se Tou Saabit Hogaya Hai Ki Allaah Arsh Par Hai.
In Aayaat Ko Chhord Kar Aur Bhi Bohat Si Aayaat Hai Choonkey Mukhtasar Andaaz Mein Bataana Tha Is Liye Itne Hi Bataaya Gaya.

Ab Agar Phir Bhi Koi Shakhs Kehta Hai Ke Allaah Har Jagah Hai (Naoozubillaah) Tou Woh Allaah Ki Aayaton Ko Jhutla Raha Hai. Aur Is Amal Se Woh Kaafir Ho Jaata Hai.


《Muharrir: Abu Al-Hasan Al-Hindi Hafizahullah》
 

Top