Qustuntuniya Par Pahla Hamla aur Magfirat E Yazeed Ki Basharat


Abdul Adil

Member
Qustuntuniya Par Pahla Hamla Aur Magfirat Ki Basharat

Romanised :- Abdul Adil Ansari

Asal Mazmoom :- Qustuntuniya Par Pahla Hamla aur Magfirat E Yazeed Ki Basharat Safa Number 11-17

Musannif :- Shaikh Abu Al Fawzaan Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Imam Bukhari Rh ( died 254 H ) ne kaha 👇

حَدَّثَنِي إِسْحَاقُ بْنُ يَزِيدَ الدِّمَشْقِيُّ ، حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ حَمْزَةَ ، قَالَ : حَدَّثَنِي ثَوْرُ بْنُ يَزِيدَ ، عَنْ خَالِدِ بْنِ مَعْدَانَ أَنَّ عُمَيْرَ بْنَ الْأَسْوَدِ الْعَنْسِيَّ ، حَدَّثَهُ أَنَّهُ أَتَى عُبَادَةَ بْنَ الصَّامِتِ وَهُوَ نَازِلٌ فِي سَاحَلِ حِمْصَ وَهُوَ فِي بِنَاءٍ لَهُ وَمَعَهُ أُمُّ حَرَامٍ ، قَالَ عُمَيْرٌ : فَحَدَّثَتْنَا أُمُّ حَرَامٍ أَنَّهَا سَمِعَتِ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ : أَوَّلُ جَيْشٍ مِنْ أُمَّتِي يَغْزُونَ الْبَحْرَ قَدْ أَوْجَبُوا ، قَالَتْ : أُمُّ حَرَامٍ ، قُلْتُ : يَا رَسُولَ اللَّهِ أَنَا فِيهِمْ ، قَالَ : أَنْتِ فِيهِمْ ثُمَّ قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : أَوَّلُ جَيْشٍ مِنْ أُمَّتِي يَغْزُونَ مَدِينَةَ قَيْصَرَ مَغْفُورٌ لَهُمْ ، فَقُلْتُ : أَنَا فِيهِمْ يَا رَسُولَ اللَّهِ ، قَالَ : لَا

Tarzuma :- Hum se Ishaq bin Yazid damashqi ne bayan kiya, kaha hum se yahya bin Hamza ne bayan kiya, kaha ki mujh se Sore bin Yazid ne bayan kiya, un se Khalid bin madaan ne aur un se umair ban Aswad ansi ne bayan kiya ki woh Hazrat Ubadah bin Samit razi Allah anhu ki khidmat mein haazir huye. Aap ka qiyam saahil hims par–apne hi aik makaan mein tha aur aap ke sath ( aap ki biwi ) umme Haraam razi Allah anha bhi theen. Umair ne bayan kiya ki hum se umme Haraam razi Allah anha ne bayan kiya ki main ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se suna hai, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tha ki meri ummat ka sab se pehla lashkar jo daryai safar kar ke jihaad ke liye jayega, isne ( apne liye Allah taala ki rehmat o maghfirat ) wajib kar li. umme haraam razi Allah anha ne bayan kya ke mein ne kaha tha Ya Rasool Allah ! kya main bhi un ke sath hongi? Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki haan, tum bhi un ke sath hogi. phir Rasoolullah ﷺ ne farmaya sab se pahla lashkar meri ummat ka jo qaisar ( romeon ke badshah ) ke shehar ( Qustuntuniya ) par chadhai kerega un ki maghfirat hogi. main ne kaha main bhi un ke sath hungi Ya Rasool Allah ! Aap ﷺ ne farmaya ki nahi .

[Saheeh Bukhari kitab ul jihaad Hadees Number 2924]

Bukhari Ki is Hadees me ye basharat hai ki Madina Kaishar ( Qustuntuniya ) par sabse pahle lashkari karne wale sab magfoor ( bakshe huye ) yaani Jannati hogen, aur is pahle hamle ke ameer Yazeed the ye bhi bukhari me hai mulahiza ho 👇


قال محمود بن الربيع: فحدثتها قوما فيهم أبو أيوب صاحب رسول الله الله في غزوته التي توفي فيها، ویزید بن معاوية عليهم بأرض الروم.

Tarzuma :- Mahmood Bin Rabiya Ne Bayan kiya ki maine ye hadees ek aisi jagah me bayan ki jis me Rasoolullah ﷺ ke mashoor Sahabi Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu bhi mauzood the , ye room ke us jihaad ka zikr hai Jis me Aap Razi Allahu Anhu ki maut waqey hoyi thi , Fauz ke sardar Yazeeb bin Muawiya The

[Saheeh Bukhari Hadees Number - 1189]

Bukhari ki is riwayat me poori sarahat hai ki lashkar ke ameer yazeed bin Muawiyah the aur bukhari ki isi riwayat me bhi sharahat hai ki agar ye lashkar arj e room ( sarjameen room ) me jihaad kar rha tha aur is se murad Qustuntuniya hi hai kyunki bukhari ki ye riwayat batlati hai ki Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu is gazwe me faut ho gye the aur Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu Ki wafaat Gazwa Qustuntuniya hi ke dauraan huyi hai jaisa ki bahut saari riwayat me is ki sharahat aati hai maslan

Abu Dawd ki ek riwayat me hai

فلم يزل أبو أيوب يجاهد في سبيل الله - دفن بالقسطنطينية.

Tarzuma :- Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu , Allah ki rah me jihaad karte rhe hatta ki Qustuntuniya me dafan huye

[Sunan Abu Dawd 3/13 Wa Sanad Saheeh]

Ye Riwayat Saaf Batlati hai ki jis aakhri Gazwa me Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu Faut huye wo Qustuntuniya ka Gazwa tha aur bukhari ki darz e bala hadees me sharahat hai ki us gazwe ke ameer Yazeed Bin Muawiya the.

Nateeza ye nikala ki Yazeed bin Muawiya ne Qustuntuniya par hamla kiya jise me Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu faut huye

Ab isse pahle Qustuntuniya par hamle ka koyi saboot nahi milta hai is liye bukhari wagairah ki is riwayat se sabit hua ki yazeed bin Muawiya ki imarat me Madina Qaisar Qustuntuniya par sabse pahle hamla hua

Baaz log kuch gair mutalliq aur jhooti riwayat pesh karke kahte hai ki Qustuntuniya par yazeed ke hamle se pahle bhi hamla hua tha , ye saari RIWAYAT ek to gair mutalliq hai nez unme se bestar gair mutalliq hone ke sath sath manghadat aur jhoothi hai jin ki wazuhaat aage aa rhi hai haqiqat yahi hai ki yazeed se pahle Qustuntuniya par hamla karne ka koyi saboot nahi milta.

Bukhari ki sarah karne wale Hafiz ibne hajar rh ne is poori ummat ka ittefaq nakal kiya hai ki Yazeed Bin Muawiya hi ki imarat me sabse pahle madeena kaisar ( Qustuntuniya ) par hamla hua mulahiza ho 👇

Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah (Died 852 H) ne kaha

فإنه كان أمير ذلک الجيش بالاتفاق

Yazeed Is lashkar ka ameer tha is par sab ka ittefaq hai

[Fat-hul Baari j-6 safa-103]

Hafiz ibne hajar rh ke qaul ki roshni me is bat par ummat ka Ijma hai ki sabse pahla lashkar ne Qustuntuniya par hamla kiya uske ameer Yazeed Bin Muawiya the is Ijma ke khilaaf na to kisi ka qaul sabit hai aur na hi uske khilaaf koyi riwayat mauzood hai

Al-Garz ye ki Allah ke Rasool ﷺ ne apni hadees me jis lashkar ko magfoor wa baksha hua kaha hai yazeed bin Muawiya na to is lashkar me shamil the balki is lashkar ke ameer bhi the isse yazeed bin Muawiya ki jabardast fazilat sabit hoti hai Chunanche bahut sare ulema se Yazeed Bin Muawiyah ko is hadees ka misdaak batlate huye yazeed ki fazilat bayan ki hai chunacha

Imam Mohllib Bin Ahmad Asdi ( Died 435 H) Rh farmate hai


”من هذالحديث ثبتت خلافة يزيدو فيه أنه من أهل الجنة، وفي هذا الحديث منقبة لمعاوية لأنه أول من غزا البحر ومنقبة لولده يزيد لأنه أول من غزا مدينة قیصر“

Tarzuma :- Is hadees se yazeed ki khilafat sabit hoti hai aur ye bhi pata chalata hai ki wo Jannati hai nez is hadees me Ameer E Muawiyah Razi Allahu Anhu ki manaqibat hai kyunki sabse pahle unhone samundari ladai ladi aur unke bete Yazeed ke liye bhi manaqibat hai kyunki yazeed ne sabse pahle Madina Qaishar ( Qustuntuniya ) par hamla kiya

[[ FATAHUL BARI JILD 6 SAFA 102 ]]

[[ QAID US SHAREED SAFA 57 ]]


ek sahab farmate hai ki imam Mohllib rh ki wafat 435 H me huyi hai aur majkoorah Gazwa 52 H me hua tha darmiyan me silsila e sanad gayab hai . arz hai ki imam mohllib yahan kisi riwayat ke raawi nahi hai balki riwayat ki sharah kr rhe hai aur riwayat doosre jaraye se sabit shudha hai jaisa ki aur wazuhaat ki gyi hai aur mazeed wazuhaat aa rhi hai isliye is par sharah ki sanad talash karna hi muzahika khej hai ye bilkul aisi hi hai jaise Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah Bukhari ki sharah karte huye ek riwayat ki sharah me doosri riwayat pesh karte hai ab koyi ye aitraaz kare ki ibne hajar rh ne sanad pesh nahi kiya hai to siwaye mustahika khijri ke siwa aur kuch nahi hai

wajeh rhe ki imam mohllib ne bhi Bukhari ki sharah likhi hai aur jahir hai ki ibne hajar rh ne Bukhari ki apni sharah me imam mohllib ki sharah hi se kayi bat nakal ki ho

Shaikh Ul Islam Ibne Taimiya Rh ( Died 728 H ) ne kaha

ولهذا كان الصحابة رضي الله عنهم -يغزون مع يزيد وغيره، فإنه غزا القسطنطينية في حياة أبيه معاوية -رضي الله عنه -وكان معهم في الجيش أبو أيوب الأنصاري -رضي الله عنه - وذلک الجيش أول جيش غزا القسطنطينية. وفي صحيح البخاري عن ابن عمر -رضي الله عنهما، عن النبي - صلى الله عليه وسلم - أنه قال : أول جيش يغزو القسطنطينية مغفور لهم.‘‘

Tarzuma :- Isi liye Sahaba Razi Allahu Anhuma yazeed wagairah ke saath jihaad karte the Chunanche Yazeed Apne walid Muawiya Razi Allahu anhu ki Zindagi me Qustuntuniya par hamla kiya aur uske saath lashkar me Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu the aur ye pahla lashkar tha jis ne Qustuntuniya par hamla kiya aur Saheeh Bukhari me ibne umar ( Saheeh Umme Haram ) Razi Allahu Anha se marwi hai ki Rasoolullah ﷺ ne faramaaya meri ummat ka pahla lashkar Madeena Qaishar ( Qustuntuniya ) par hamla krega wo sabke sab magfoor (baskhe huye) hogen

[Minhaj Us Sunnah An Nubuwa Jild -4 Safa - 544]


Imam Zahbi Rh ( Died 748 H ) ne kaha

الله علي هناته حسنة، وهي غزو القسطنطينية، وكان أمير ذلک الجيش، وفيهم مثل أبي أيوب الأنصاري.

Tarzuma :- Yazeed ki kotaahi ke Bawzood is ki ek neki hai aur Qustuntuniya par hai yazeed us lashkar ka ameer tha Aur us lashkar me Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu jaise log the

[Wa Alaam An Nabulaae Lil Zahbi Jild -4 Safa-36]


Ibne Kaseer Rahimahullah ( died 774 H ) ne kaha

وقد كان يزيد أول من غزى مدينة قسطنطينية في سنة و تسع واربعين في قول يعقوب بن سفيان وقال خليفة بن خياط سنة خمسين ثم حج بالناس في تلك السنة بعد مرجعه من هذه الغزوة من أرض الروم وقد ثبت في الحديث
أن رسول الله الله قال أول جيش يغزو مدينة قيصر مغفور لهم.


Tarzuma :- Yazeed hi ne sabse Qustuntuniya ke sahar par hamla kiya ye hamla yakoob bin sufiyan ke baqaul 49 H me hua aur khalifa khyat ke baqaul 50 H me hua fir hamla se lautne ke baad isi saal logon ka ameer ban kar usne hajj kiya . aur bukhari ki hadees se sabit hai ki meri ummat ka pahla lashkar jo Madina Qaishar ( Qustuntuniya ) par hamla karega wo sabke sb magfoor ( bakshe huye ) hoge

[Al Bidaya Wan Nihaya maktaba al ma'arif Jild -8 Safa-229]

Imam Qastlani Rh ( Died 923 H ) farmate hai

وكان أول من غزا مدينة قيصر یزید بن معاوية ومعه جماعة من سادات الصحابة كابن عمرو بن عباس وابن الزبير وأبي أيوب الأنصاري وتوفي بها سنة اثنتين وخمسين من الهجرة، واستدل به المهلب على ثبوت خلافة يزيد وأنه من أهل الجنة لدخوله في عموم قوله مغفور لهم .

Tarzuma:- Madina Qaishar Par sabse pahle jis ne hamla kiya wo yazeed bin Muawiya hain us ke saath jalil ul qadr sahaba ki jamaat thi Jaise Abdullah Bin Umar , Abdullah Bin Abbas , Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhuma . aur Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu yahi par 52 H me faut huye Aur is hadees se Muhallib ne yazeed ki khilafat par istedlaal kiya hai aur is baat par ki yazeed ahle jannat me se hai

[إرشاد السارى لشرح صحيح البخاری : ۱۰4/5]



Nawab Siddique Hasan khan farmate hai

استدل به على خلافة يزيد ، وانه من اهل الجنة

Is Hadees se yazeed ki khilafat par istedlaal kiya gya hai aur is bat par ki yazeed ahle Jannat me se hai

عون الباری لحال أدلة البخاری:۳۹۱/4 ]۔]

Baaz log kahte ki yazeed ko sabse pahle Jannati kahne wale shaksh mahmood abbasi hai mazkoorah hawala jaat ki roshni me ye bat galat hai kyunki mahmood abbasi se kabl ahle ilm ne Yazeed ko jannati hone ki bat kahi hai


Wallahu Alam Bis Sawab

Note :- Agar Typing me kahi mistake ho gya ho to aap hamare gmail :- ansariabduladil@gmail.com par hamari islaah kar sakte hai

Jazak Allahu Khaira
 

Top