Umar Asari

Administrator
Staff member
Raat mein nakhun (nails) kaatna aur phenkne se pehle bismillah padhna kaisa hai

❀Sawaal:❀
Mujhe kuch logon se maloom huwa hai ki raat ke waqt nakhun kaatna haraam hai, isi tarah yeh bhi maloom huwa hai ki phenkne se pehle hum un par teen baar thu thu kar ke Bismillah parhein, taaki unhein shaitan utha kr istemaal na kare?

✿Jawaab:✿
Alhamdulillah:
Yeh kehna ki raat ke waqt nakhun kaatna makrooh (na-pasandeedah) hai is ki koyi daleel aur asal nahi milti, balki raat ya din ke waqt jab chahe nakhun kaate jaa sakte hain, is mein koyi harj waali baat nahi.

Aur isi tarah yeh kehna ki unhein (nakhun ko) phenkne se pehle teen baar Bismillah parhna chahiye warna usay shaitan istemaal kar lega, is ki bhi koyi asal aur daleel nahi milti aur isi tarah nakhun dafan karne ki bhi koyi daleel aur asal nahi hai, balki jis Hadees mein is ka zikr milta hai woh bahut hi ziyadah zaeef hai.

Chunancha unhein dustbin mein phenkna ya phir unhein is darr se dafan karna jaaiz hai ki kahin yeh nakhun kisi jaadugar ke haath na lag jayen is liye wahan phenke jayen jahan se jaadugaron ke haath na lagen.
Taken from Islamqa, Fatwa No: 11993
والله أعلم​
 
Top