Rafadain Karne Ki Sabse Solid Daleel


Abdul Adil

Member
Rafadain Karne Ki Sabse Solid Daleel

Hamare Dewbandi⁩ Aur Barelvi Bhai Kahate hai ki Wo Hadees pesh karo jisme ye Aaya ho ki Allah Ke Rasool ﷺ ne akhiri waqt tak rafadain kiya hai .

Chunacha Imam Bukhari Rahimahullah Farmate Hai :

Hafta ya Itwaar ko Nabi ﷺ ne apni tabee'at mein qadre takhfeef mahsoos ki. Chunaanche do aadmiyon ke darmiyaan chal kar Zuhar ki Namaz ke liye tashreef laaye. Us waqt Abu Bakr Razi Allahu Anhu Sahaaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko Namaz padha rahe the. Woh Aap ﷺ ko dekh kar peechhe hantne lage. Aap ﷺ ne irshara farmaayaa ke peechhe na hatein aur laane waalon se farmaayaa ki mujhe un ke baazo mein bitha do. Chunaanche Aapko Abu Bakr Razi Allahu Anhu ke baaein bitha diya gayaa. Us ke b'ad Abu Bakr Razi Allahu Anhu Rasoolullah ﷺ ki Namaz ki iqtidaa kar rahe the aur Sahaaba E Kiraam Razi Allahu Anhu ko takbeer sunaa rahe the.

[Sahih Bukhari]

Is Hadees se pata chala ki Hazrat Abu Bakar Razi Allahu Anhu ne Rasoolullah ﷺ ke akhiri waqt ki namaz sabse acchi tarah se dekhi hai Chunacha

Imam Baihaqi Rahimahullah Kahte Hai :

أَخْبَرَنَا أَبُو عَبْدِ اللَّہِ الْحَافِظُ حَدَّثَنَا أَبُو عَبْدِ اللَّہِ: مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ اللَّہِ الصَّفَّارُ الزَّاہِدُ إِمْلاَئً مِنْ أَصْلِ کِتَابِہِ قَالَ قَالَ أَبُو إِسْمَاعِیلَ: مُحَمَّدُ بْنُ إِسْمَاعِیلَ السُّلَمِیُّ: صَلَّیْتُ خَلْفَ أَبِی النُّعْمَانِ مُحَمَّدِ بْنِ الْفَضْلِ فَرَفَعَ یَدَیْہِ حِینَ افْتَتَحَ الصَّلاَۃَ ، وَحِینَ رَکَعَ ، وَحِینَ رَفَعَ رَأْسَہُ مِنَ الرُّکُوعِ ، فَسَأَلْتُہُ عَنْ ذَلِکَ ، فَقَالَ: صَلَّیْتُ خَلْفَ حَمَّادِ بْنِ زَیْدٍ فَرَفَعَ یَدَیْہِ حِینَ افْتَتَحَ الصَّلاَۃَ ، وَحِینَ رَکَعَ ، وَحِینَ رَفَعَ رَأْسَہُ مِنَ الرُّکُوعِ ، فَسَأَلْتُہُ عَنْ ذَلِکَ فَقَالَ: صَلَّیْتُ خَلْفَ أَیُّوبَ السَّخْتِیَانِیِّ فَکَانَ یَرْفَعُ یَدَیْہِ إِذَا افْتَتَحَ الصَّلاَۃَ ، وَإِذَا رَکَعَ ، وَإِذَا رَفَعَ رَأْسَہُ مِنَ الرُّکُوعِ ، فَسَأَلْتُہُ فَقَالَ: رَأَیْتُ عَطَائَ بْنَ أَبِی رَبَاحٍ یَرْفَعُ یَدَیْہِ إِذَا افْتَتَحَ الصَّلاَۃَ ، وَإِذَا رَکَعَ ، وَإِذَا رَفَعَ رَأْسَہُ مِنَ الرُّکُوعِ ، فَسَأَلْتُہُ فَقَالَ: صَلَّیْتُ خَلْفَ عَبْدِ اللَّہِ بْنِ الزُّبَیْرِ ، فَکَانَ یَرْفَعُ یَدَیْہِ إِذَا افْتَتَحَ الصَّلاَۃَ ، وَإِذَا رَکَعَ ، وَإِذَا رَفَعَ رَأْسَہُ مِنَ الرُّکُوعِ ، فَسَأَلْتُہُ فَقَالَ عَبْدُ اللَّہِ بْنُ الزُّبَیْرِ: صَلَّیْتُ خَلْفَ أَبِی بَکْرٍ الصِّدِّیقِ رَضِیَ اللَّہُ عَنْہُ فَکَانَ یَرْفَعُ یَدَیْہِ إِذَا افْتَتَحَ الصَّلاَۃَ ، وَإِذَا رَکَعَ ، وَإِذَا رَفَعَ رَأْسَہُ مِنَ الرُّکُوعِ ، وَقَالَ أَبُو بَکْرٍ: صَلَّیْتُ خَلْفَ رَسُولِ اللَّہِ -ﷺ- فَکَانَ یَرْفَعُ یَدَیْہِ إِذَا افْتَتَحَ الصَّلاَۃَ ، وَإِذَا رَکَعَ، وَإِذَا رَفَعَ رَأْسَہُ مِنَ الرُّکُوعِ۔

{رُوَاتُہُ ثِقَاتٌ۔ {صحیح


Abu Ismail Muhammad Bin Ismail sulmi farmate hai ki maine Abu Noman Muhammad Bin Fazal ke piche namaz padhi to unhone namaz shuru karte waqt Rafadain kiya aur ruku ke waqt aur ruku se sar uthate waqt bhi rafadain kiya. maine unse is bare me daryaaft kiya to unhone farmaya maine Hammaad Bin Zaid ki ikteda mein namaz ada ki unhone namaz shuru karte waqt aur ruku mein jate waqt aur ruku se uthte waqt rafadain kiya to maine unse is ki babat poocha to unhone bataya ki maine Ayyub Sakhtyani ke piche namaz padhi wo bhi namaz shuru karte waqt aur ruku mein jate waqt aur ruku se uthte waqt rafdain karte the. maine unse daryaft kiya to unhone bataya maine Ata Bin Abi Rubaha ko dekha wo namaz shuru karte waqt aur ruku mein jate waqt aur ruku se uthte waqt rafadain karte the maine unse poocha to unhone Farmaya ki maine Abdullah Bin Zubair Razi Allahu Anhu ke piche Namaz Padhi to wo bhi jab namaz shuru karte aur jab ruku karte aur jab ruku se sar uthate to rafadain karte the maine un se is bare me sawal kiya to Abdullah Bin Zubair Razi Allahu Anhh ne Farmaya Maine Sayyadana Abu Bakar Siddique Razi Allahu Anhu ke piche namaz padhi wo bhi Namaz ke shuru mein aur ruku mein jate waqt aur ruku se uthte waqt rafadain karte the aur Abu Bakar Razi Allahu Anhu Farmate hai ki maine Allah Ke Akhiri Nabi ﷺ ke piche Namaz Padhi . Aap ﷺ Jab Namaz Shuru karte to rafadain karte aur jab ruku karte to rafadain karte aur jab ruku se sar uthate to bhi rafadain karte .

Is Hadees Ke Sare Raawi Siqah hai

[Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Jild-2 Hadees Number 846 & International Number : 12520]

Mazeed Jankari Ke Liye Is Video Ko Dekhe

 

Top