RAMAZAAN KE BA'D GUNAAHON KA IRTEKAAB


RAMAZAAN KE BA'D GUNAAHON KA IRTEKAAB

بسم الله الرحمن الرحيم

• Ibn Rajab (Rahimahullaah) ne kaha:

فأمّا مقابلةُ نعمةِ التوفيقِ لصيام رمضان بارتكابِ المعاصي بعده ؛ فهو مِن فِعل مَن بدَّلَ نِعمةَ اللهِ كُفرًا، فإنْ كان قد عَزَم في صيامه على معاودة المعاصي بعد انقضاءِ الصّيام ؛ فصيامُه عليه مردود ، وبابُ الرّحمة في وجهه مسدود

"Ramazaan ke Rozey rakhne ki tawfeeq jaisi ni'mat ka muqaablah Ramazaan ke ba'd gunaah ka irtekaab karke karna us Shakhs ka kaam hai jisne Allaah ki Ni'mat ko Kufr (Ya'ni Naa Shukri) se badal daala, agar kisi ne Rozey mein Rozah guzar jaane ke ba'd gunaah karne ka 'azm (Ya'ni iraadah) kar rakha hai toh uska Rozah mardood hai aur Rehmat ka darwaazah uske liye band hai."

[Lataaif Al-Ma'aarif: 389]

WAZAAHAT: Rozah mardood (reject) hone se muraad Ajar ke e'tebaar se hoga jaisa ke Rasool Allaah (ﷺ) ka farmaan hai:

رُبَّ صَائِمٍ لَيْسَ لَهُ مِنْ صِيَامِهِ إِلَّا الْجُوعُ....

"Bohat se Rozah rakhne waale aise hain ke unko apne Rozey se bhook ke siwa kuch haasil nahin hota....."
[Sunan Ibn Maajah, Hadees (Hasan): 1690]

• Ya'ni Niyyat saheeh nahin hone ki wajah se aise shakhs ko Rozey ka noor haasil nahin hota aur na us mein Lazzat wa Barkat haasil hoti hai balke Rozah uspar ek bojh aur takleef banjaati hai, din mein bhooka rehna usi ko woh kaafi samajhta hai haalaanke ye uski ghalati hai, agar Aadaab wa Shuroot ke mutaabiq ibaadat karein toh woh qubool hogi aur us se Noor wa Lazzat ki ni'mat bhi haasil hogi, aur us waqt usko maloom hojaayega ke Rozey ka maqsad sirf bhooka rehna nahin hai, Afsos hai ke hamaare zamaane mein bohat se aise log hogaye hain jo Rozey ko zaahiri taur se adaa karlete hain, aur Khuzoo' wa Khushoo' mutlaq haasil nahin karte, agarche awaam ke liye ye bhi kaafi hai aur ummeed hai ke Allaah apni meherbaani se qubool karle.

ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- 'Abdul-Mudhill Hafizahullah
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top