Ramazaan mein A'maal e Saalihah ka sawaab do guna hojaata hai


Ramazaan mein A'maal e Saalihah ka sawaab do guna hojaata hai

تَتَأَكَّدُ الصَّدَقَةُ فِي شَهْرِ رَمَضَانَ، لِحَدِيثِ ابْنِ عَبَّاسٍ الْمُتَقَدِّمِ؛ لأَِنَّهُ أَفْضَل الشُّهُورِ؛ وَلأَِنَّ النَّاسَ فِيهِ مَشْغُولُونَ بِالطَّاعَةِ فَلاَ يَتَفَرَّغُونَ لِمَكَاسِبِهِمْ، فَتَكُونُ الْحَاجَةُ فِيهِ أَشَدَّ، وَلِتَضَاعُفِ الْحَسَنَاتِ بِهِ.

Ramazaan ke maheeney mein Sadaqah ki taakeed hai, jaisa ke Ibn 'Abbaas (Raziyallaahu 'Anhumaa) ki saabiqah Hadees mein hai [1], is liye ke woh tamaam meheenon se afzal hai aur is liye bhi ke log us mein Taa'at (Farmaabardaari) mein mashghool rehte hain, apni kamaayi ke liye faarigh nahin hote hain, is liye us mein zaroorat zyaadah shadeed hoti hai aur is liye bhi ke neykiyaan us mein do guna hojaati hain.

قَال إِبْرَاهِيمُ: تَسْبِيحَةٌ فِي رَمَضَانَ خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ تَسْبِيحَةٍ فِيمَا سِوَاهُ

Ibraaheem farmaate hain: Ramazaan ki ek Tasbeeh ghair Ramazaan ki hazaar tasbeeh se behtar hai. [2]

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill (عَبْدُ المُذِلّ)

_____________

References:

[1] Saheeh Al-Bukhaari: 1902.

[2] Kashshaaf Al-Qinaa': 2/332; Asnaa Al-Mataalib: 1/406.
 

Similar threads


Top