Umar Asari

Administrator
Staff member
Ramazan ki aamad ki khushkhabri dena

Written By: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi
Islamic Dawah Center - Taif

Roman Typing by: Abu Mohammad Shakoor-Taif

Social media par bade paimane par ek khabar share ki ja rahi hai aur log bhi use Ramazan ul Mubarak ka mubarak message samajh ke bade paimane par share kar rahe hain.
✵Message is tarah se hai✵
((Mubarak ho! Falan Tarikh ko Ramazan ul Mubarak ka mahina shuru hone wala hai.
Hazrat Muhammad ﷺ ne farmaya jisne pehle kisi ko Ramazan ki mubarakbaad di us par jannat wajib ho gai. Ek baar durud padh kar share karen))
Ye Message logo me is qadar share kiya gaya hai ke Arabic bolne wale bhi is se mutassir ho gaye hain aur Arabic zubaan me bhi iska mafhum bayan hone laga wo is tarah se hai:
من أخبر بخبر رمضان أولا حرام عليه نار جهنم​
Yani jis ne sab se pehle Ramazan ki khabar di us par jahannam ki aag haram ho gai.
Is Arabi ibarat ko logo ne Hadees e Rasool (ﷺ) samajh liya hai jab ki kisi ne wahi urdu ibarat ka tarjuma Arabic me kar liya hai ya ye bhi ho sakta hai ki kisi arabic zuban bolne wale ne pehle ise arabic me ghad kar phailaya ho aur phir use urdu, hindi aur doosri zubaano me tarjuma kiya gaya ho. Beharhaal jaisa bhi ho ye message aaj kal bahut aam ho gaya hai tabhi to kai zubano me iska tarjuma ho gaya hai.

✯Is message ke mutalliq mai logo ko chand baaton ki khabar dena chahta hun✯
❶ Pehli baat: Ye message jootha hai. Ise kisi ne apni taraf se ghad liya hai aur hamare iman o aqeede ko kharab karne ke liye musalmano ke darmiyan share kar raha hai. Yad rakhiye jo koi Nabi ﷺ ki taraf joothi baat ghad kar mansoob karta hai uska thikana jahannam hai. Nabi ﷺ ka farman hai:
مَنْ كَذَبَ عَلَي مُتَعَمِّدًا فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنْ النَّارِ​
Tarjuma: Jo shakhs bhi mujh par jaan boojh kar jhoot baandhe to woh apna thikana jahannam mein bana le.
(Sahih Bukhari: 1291, Sahih Muslim: 933)

Aur jo bina tahqeeq koi baat ankh band kar ke share karte chale jaate hain wo bhi is jhoote ke jhoot me shamil ho jaate hain. Nabi ﷺ ka farman hai:
كفى بالمرءِ كذبًا أن يُحَدِّثَ بكلِّ ما سمِع​
Tarjuma: Aadmi ke jhoota hone ke liye (aur ek hadees ke mutabiq gunehgar hone ke liye) itna hi kaafi hai ke wo har suni sunai baat (baghair tahqeeq ke) aage bayan kar de.
(Muqaddima Sahih Muslim)

Is liye musalmano ko social media pe aayi cheezo ki pehle tahqeeq kar leni chahiye phir uske bad faisla karna chahiye ke ye khabar sachchi hai ya jhooti? Tahqeeq se jo bat sachchi sabit ho jaye use hi share karen aur jiske bare me aapko ilm nahi ya tahqeeq se jhooti sabit ho to use hargiz hargiz share na karen.

❷ Doosri baat: Deen ke mutalliq khushkhabri sunane wale sirf Allah ke paigambar hain aur paigambar hi kisi ko dara sakte hain jaisa ki Allah ka irshad hai:
يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ إِنَّا أَرْسَلْنَاكَ شَاهِدًا وَمُبَشِّرًا وَنَذِيرًا​
Tarjuma: Aye Nabi! (ﷺ) Hamne aapko gawahi dene wala, basharat dene wala aur darane wala bana kar bheja hai.
(Surah Al-Ahzab: 45)

Is liye kisi ko ye haq nahi ke wo koi baat ghad kar khushkhabriyan sunaye. Bahut saare messages me is tarah bhi likha hota hai ki 20 logo ko bhejoge to maalamal ho jaaoge aur nahi bhejoge to faqeer ban jaaoge. Doosra faqeer ho na ho lekin jhoota message ghadne wala neki zaaye kar ke khud faqeer ho gaya. Aise faqeero ka message send kar ke aap bhi faqeer na bane aur aaj se ye baat tay kar len ke 20/30 aadmi ko bhejne wali har bat jhooti hai.

❸ Teesri baat: Jannat o jahannam Allah ki taraf se hai. Hamein sirf Nabi ﷺ ye khabar dene wale the jo wahi ke zariye aapke pas aati thi ke falan jannati hai, falan kaam karne par jannat hai aur falan kaam karne wala jahannam me jaayega. Jab Nabi ﷺ ko ikhtiyar nahi tha to jo log jhoote message ya jhooti baatein ghad kar jahannam ki khabar ya jannat ki khushkhabri dete hain wo kitne bade mujrim hain? Aap aise mujrimon ki baatein aur khabrein share kar ke uske badtareen jurm me shamil na hon.

❹ Chauthi baat: Aaj kal social media par ye Islam ki galat tarjumani ki ja rahi hai tarah tarah se Islam aur musalmano ke khilaf propegende kiye ja rahe hain. Quran o Hadees ka naam le kar hamein dhoka diya ja raha hai jhooti baaton ko Nabi ﷺ ki taraf mansoob kar ke phailaya ja raha hai is liye hamein bahut muhtaat rehna hai. Islam ke khilaf ho rahi galat tarjumani ka sadd e baab (rokna, mitana) karna hai. Lekin hamara haal yeh hai ki hum sadd e baab karne ke bajaye unke propegando ko mazeed hawa dene lag jate hain. Nabi ﷺ ki taraf mansoob ki hui koi khabar ya Islam aur Quran o Hadees ki taraf mansoob ki hui koi bhi baat bina tahqeeq ke aage share na karen aur na hi aisi koi baat apni taraf se likh kar phailayen jiske mutalliq aapko sahih se ilm nahi. Sirf wahi baat likhen jiske baare me aapko pukhta ilm ho aur saath me hawala bhi den taaki doosron ko bhi tahqeeq karne me asani rahe.
 
Top