RASOOLON KI BI'SAT (BHEJE JAANE) KA MAQSAD


RASOOLON KI BI'SAT (BHEJE JAANE) KA MAQSAD

بسم الله الرحمن الرحيم
• Rasoolon ke lagaataar qaafiley yahi Shahaadat dilwaane ke liye mab'oos hote rahey hain.

وَمَاۤ أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ مِن رَّسُولٍ إِلَّا نُوحِیۤ إِلَیۡهِ أَنَّهُۥ لَاۤ إِلَـٰهَ إِلَّاۤ أَنَا۠ فَٱعۡبُدُونِ

"Humne tumse pehle jo Rasool bheja hai usko yahi Wahee kee hai ke Mere siwa koi ILaah nahin, Pas tum Meri hi ibaadat karo." [21:25]

• Aasmaan wa Zameen isi Shahaadat ke dum se qaayem hain. Chaand, Sooraj aur Sitaare, Darakht, Pahaard aur sab makhlooqaat tanha Uske saamne Sajdah reyz aur Usi ki Wahdaaniyat ka e'laan karte hain. Aasmaani kitaabein yahi Shahaadat dene aati hain. Qur'aan ki baraabar takraar ka mawzoo' yahi ek hai. Qawmon par tabaahi wa barbaadi isi ke inkaar se aati rahi.

• Haqq aur Baatil ke ma'rikon (jungon) ka hameshah yahi ek 'unwaan raha. Anbiyaa' ki ma'soom aur pur'aman Talwaarein har baar isi mas'aley par bey niyaam huin. Jannat aur Jahannam isi tanaaza'ah (ikhtilaaf) ka faislah karne ko wujood mein aayi. Qabar aur Mehshar ke haulnaak andheron mein raushni isi Shahaadat (gawaahi) ke baqadar naseeb hogi. Qiyaamat ko lagne waale taraazu isi ke baare mein jhukenge. Sabse wazni baat yahi hai.

• Behtareen da'wat yahi LAA ILAAHA ILLAA ALLAAH hai. Afzal tareen zikr yahi hai. 'Arsh waale tak waseelah aur sifaarish ka zariya yahi hai. 'URWATUL-WUTHQAA aur Dunya wa Aakhirat ka mazboot tareen sahaara iske siwa kuch nahin. Kufr aur Islaam mein farq yahi ek mas'alah hai. Khushnaseeb hai jo is haqeeqat ko paale aur Bad'naseeb hai jo isey apne wujood ki shanaakht (pehchaan) na bana sakey.

ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Tawheed 0

Similar threads


Top