RASOOLON PAR EMAAN LANA


RASOOLON PAR EMAAN LANA
Tahreer : FAZILAT-USH-SHAIKH ABD-US-SATTAR AL-HAMMAD hafizahullah

Romanised: Abu Umaimah Owais
Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

آمَنْتُ بِاللَّهِ وَبِرُسُلِهِ
"Main ALLAH TA'ALA aur uske tamaam Rasoolon par emaan lata hon."(Sahih Bukhari:3100)

FAWAAYED:
Is hadees ka bayaan karne ka maqsad yeh hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne jab madinah tayyiba ke ek yahodi ladke Ibn sayyad ki pusht par apna dast mubarak maar kar farmaya :"to gawahi deta hai ke mein ALLAH ka RASOOL hon," is ne AAP sallallahu alaihi wasallam ki taraf dekh kar kaha :mein gawahi deta hon ke AAP sallallahu alaihi wasallam ummi logon yani arbo ke RASOOL hain. phir Ibn sayyad ne kaha : AAP (sallallahu alaihi wasallam) gawahi dete hain ke mein ALLAH ka RASOOL hon, to AAP sallallahu alaihi wasallam ne usay dhaka de kar farmaya : main Allah aur is ke Rasoolon ko maanta hon(un par emaan lata hon)."(Sahih Bukhari:6173)

Rasool par emaan laane ka matlab yeh hai ke Sedq dil se is baat ka iqraar kya jaye ke ALLAH TA'ALA ne har ummat mein unhi se ek Rasool maboos kya hai. Taakay woh logon ek ALLAH ki ibadat karne ki dawat dE aur mabodaan-e-batilah ka inkaar kere. Neez yeh ke hazraat-e-Nabia aur Rasool tamaam ke tamaam sachey, nekokaar, Rashd o hedaayat ke haamil, karam pesha, naik, muttaqi, ameen aur rahnuma the. Zahiri dalail aur roshan nishanion ke zariye apne RABB ki taraf se tasdeeq shuda the aur unhon ne har us cheez ko apni qoum tak pohanchaya jo ALLAH TA'ALA ne inhen ataa farmayi thi. Usay nah to chupaya aur nah koi tabdeeli ki aur nah hi apni taraf se koi izafah kya. Irshad BAARI TA'ALA hai:

"Rasoolon ke zimme ALLAH ke ehkaam ko khol kar pouncha dene ke ilawa kuch bhi nahi."(Surah al-Naha:35)

Kisi Qurani aayat ya sahih hadees se un Anbiya alaihimussalm ki tadaad ka pata nahi chalta, Albata ek riwayat se maloom hota hai ke un ki tadaad ek laakh chobees hazaar hai.(Musnad Ahmed:5/178)

Bahar haal ALLAH TA'ALA ne hidaayat mein rahnumaiye ke liye Rasool zaroor bheja hai jaisa ke Quran mein hai. Koi ummat aisi nahi jis mein koi khabardaar karne wala nah guzra ho.(Surah al-Fatir:24)
 

Similar threads


Top