Muqtadiyon Ko Farz Namaz Keliye Kab Khade Hona Chahiye?


Muqtadiyon ko farz namaz ke liye saff me kab khade hona chahiye??

Shaikh hafiz Nadeem zaheer {hafizahullah} se mahnama al hadees hazro mein is ma'sle ke muta'lliq sawal kiya gaya:

Sawal: Hamare yaha ba'az masajid mein Namaz ki jamaat ka waqt hojane per log (muqtadi) ghadi (watch) dekh ker khade hojate hai aur saff bandi karlete hai, halanke pichli safoun mein imam masjid mein pehle hi se maujood hota hai, uske baithe howe bhi log iss tarha karte hai aur kabhi kabhar imam abhi masjid ke main hall mein dakhil nahi hota ke log safein bana ker piche mudh mudh ker uska yani imam ka intezaar karte hai hatta ke ba'az awqaat mazeed intezaar kiye baghair koi bhi shakhs takbeer (iqamat) kehde ta hai aur muqtadiyon mein se kisi ko bhi imam bana diya jata hai aur namaz shuru kardi jati hai, phir thodi der ba'ad imam muqtadi ki haisiyat mein shamil hojata hai- kiya is tarha ke muaamilaat durust hai ke muqtadi jab chahe imamat ke liye khada hojai ya phir shar'ai hudood wo quyood hai?? {Abu anas, hyderabad}.

Jawab: Is silsile mein Rajeh yahi hai ke log safaon mein baith ker imam ka intezaar karein, izteraab-o-be chaini ka muzahera Na kare, imam masjid mein maujood ho ya phir bahar se tashreef laye jab tak wo apni jaye imamat ki taraf chal Na de muqtadiyo ko saff mein baithe rehna chahiye.

Sayedna jaber bin samurah (Razi' Allahu anhu) se riwayat hai ke



«كان مؤذن النبي صلى الله عليه وسلم يؤذن، ثم يمهل، فإذا رأى النبي صلى الله عليه وسلم قد أقبل أخذ في الإقامة»

Nabi {ﷺ} ka mo'azzin azan kehta, phir intezaar kerta, jab wo nabi{ﷺ} ko dekh leta ke aap tashreef le aayien hai to iqamat kehna shuru kardeta".
(Sahih ibne khuzaimah:1525 wa sanadahu hasan, neez dekhiye saheeh muslim:606).

Sayedna abu qatadah (razi' Allahu anhu) se riwayat hai ke nabi {ﷺ} ne farmaya:



«إذا أقيمت الصلاة، فلا تقوموا حتى تروني وعليكم بالسكينة»


"jab namaz ki iqamat kahi jaye to tum mujhe dekhe baghair khade Na hona aur sakinat ko lazim karlo."
{Saheeh bukhari:638}.

Imam tirmizi (Rahimahullah) ne is hadees ke ba'ad farmaya:



«وقد كره قوم من أهل العلم من أصحاب النبي صلى الله عليه وسلم وغيرهم أن ينتظر الناس الإمام وهم قيام»


"Nabi {ﷺ} ke sahaba wo deegar ahle ilm mein se ek jamaat ne ye makrooh jana ke log (safaon mein) khade ho ker imam ka intezaar kare."{Sunan tirmazi:592}

Imam ibne khuzaima (Rahimahullah) ne is hadees ko naqal karne ke ba'ad farmaya:



«باب النهي عن قيام الناس إلى الصلاة قبل رؤيتهم إمامهم»


"logon ka apne imam ko dekh ne se pehle namaz ke liye khada hona mamnoo' hai". (Sahih ibne khuzaima,Qabl hadees:1526)

Imam baghwi (Rahimahullah) ne is hadees ko naqal karne ke baad farmaya:



«وقد كره قوم من أهل العلم أن ينتظر الناس الإمام وهم قيام»


"Ahle ilm ki ek jamaat ne logo ke khade hokar (safao mein) imam ka intezaar karne ko Na pasand kiya hai".(sharh-us-sunnah:Jild 2 Safa:89}

Imam Ibnul Munzir (Rahimahullah) ne farmaya: "agar imam masjid mein maojood hai, phir jab wo (jaye namaz ki taraf) khada ho to log bhi (safein banane ke liye) khade hojaye, lekin agar (Surate haal ye hai ke) wo us ke baher se Aane ke muntazir hai to jab tak imam ko (jaye namaz ki taraf aate hue) dekh Na le,khade na ho". {Al-Ausat Jild:4 safa no.188}.

Abu Khaled Al waalbi Ka bayan hai: "sayedna Ali (Razi' Allahu anhu) Hamari Taraf Aaye aur iqamath Kehdi Gayi (Jab ke) Hum UnKe Intezaar Mein khadhe the, Aap (Razi' Allahu anhu) Ne Farmaya:



«ما لي أراكم سامدين؟»

"Kiya Baat Hai Ke Mai Tumhe Lahw o laib Mein Dekh Raha Hoon?."
(Sharh Mushkil Al-Asar Jild:10 Safa:395 Wallafzu Lahu,Assalah li abi Nuaim:292 Wa Sanadahu Hasan).

Mazkurah Baala Daleyel Se Wazeh Ho Jata Hai Ke Imam Ke Intezaar Mein Khade Rehna Durust Nahi Aur Neki Ke Umoor Mein Izteraab-O-Bechaini Kisi Muslaman Ko Laeq Nahi.

Sahaba kraam (Razi' Allahu anhum) Safaon Mein baith Ker Intezaar Kiya Karte the.
Sayedna Anas bin malik (razi' Allahu anhu) Ne Farmaya:



«كان أصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم ينتظرون العشاء الآخرة حتى تخفق رءوسهم،»


"Ashabe Rasool {ﷺ} Namaze Isha Ka Intezaar Karte Rehte Hatta Ke unke Sar (ounghne Ki Wajeh Se) Jhuk Jate the".(Saheeh, Sunan Abu Dawood:200).

Rasoolullah {ﷺ} ne Farmaya:



«لا يرد الدعاء بين الأذان والإقامة»

"Azan Aur iqamath Ke Darmiyan Dua Radd Nahi Hoti".(Saheeh, sunan Abu Dawood:521).

Jab Muqtadi Hazraat azan aur iqamath ka Darmiyaani Waqt Zikr-O-Adhkaar Aur Dua Mein Guzarenge to unhe Ehsaas Hi Nahi Hoga Ke Kab Imam Aaya Aur Iqamath Kehdi Gaye! Iss Per Amal Paira Hone Se Har Qisam Ki Bechaini aur Izteraab Khatam Hojayega. In sha Allah.

Mas'le Ka Dusra Pehlu:
Ba'az Ahadees Mein Imam Dekhne Se Pehle Safein BanaNe Ka Zikr Bhi Hai.
Masalan:
Sayedna Abu Hurairah (Razi' Allahu anhu) Ne Farmaya:


«أقيمت الصلاة فقمنا فعدلنا الصفوف قبل أن يخرج إلينا رسول الله صلى الله عليه وسلم»


"Iqamath kahi gayi To Hum Ne Khade hokar Safaon Ko BaraBar Kiya, isse Pehle Ke Rasoolullah {ﷺ} Hamari Taraf Tashreef Laye". (Saheeh Muslim:605, saheeh Bukhari:275, Sunan Abi Dawood:235).

Is Hadees Ki Tawzeeh wo taujeeh Mein Muhaddiseen Ke Aqwaal Darj Zail Hai:
{1} Imam Ibne Kaseer (Rahimahullah) Ne Farmaya:



«هذا محمول علي أنه كان في بعض الأوقات وكان الغالب ما جاء في حديث جابر بن سمرة»


"Yani, Ye A'mal ba'az Awqaat Per Mahmool Hai Warna Aksar A'mal Hadeese Jaber hi Par Hai. (Kitab Al-Ahkaam Al-Kabeer, Jild No.2 Safa 265)

{2} Ba'az Ulma ke Nazdeek Ye A'mal Hadees (( فلا تقوموا حتي تروني)) Se Pehle Ka Hai.

{3}Hafiz Ibne Hajr Asqalani (Rahimahullah) Ne Farmaya:



((في حديث أبي هريرة كان سبب النهي عن ذلك)


Yani: "Sahaba kram (Razi' Allahu anhum) Nabi Kareem {ﷺ} ke Tashreef Laane Se Pehle Khade ho Jate the, To Yahi Amr Us Mumani'at Ka Ba'is Huwa". (Fathul Bari Jild:2 Safa No.265).

In Tasreehaat Se khoob Wazeh Ho Jata Hai Ke Ab Hadees Abu Hurairah (Razi' Allahu anhu) ke Bajaye Hadees Abu Khatadah (Razi' Allahu anhu) Per A'mal Kiya Jaye ga.

Agar Kisi Bashari Taqaze Ki Wajeh Se Imam Ke Aane Mein Kuch Taakheer Ho to Faoran Kisi Dusre Ko Imamat Ke Liye Khada Karna Jaiz Nahi, Balke uss Ka Intezaar Karna Chahiye, Jaisa Ke Guzar Chuka Hai Ke Sahaba kram, Nabi {ﷺ} Ka Intezaar Karte the, Ager Ziyadah Der Hojaye Ya Confirm Hojaye Ke Imam Sahab Nahi Pahunch Sakte To Naeb Wagaira Namaz Pardha Sakte Hai.

Imam Ibne Khuzaima (Rahimahullah) Ne Farmaya:"Jab Imam (Zyadah) Taakheer Karde To Uska Intezaar Na Karne Ki Ijazat Aur Muqtadiyo Ka Kisi Ek Muqtadi Ko Imamat ke Liye Hukm Dena (jaiz hai)" (Saheeh ibne Khuzaima Qabl Hadees 1514}.

[Mahnama Al Hadees Hazro:Shumara No. 119, Safa 11-14]
 

Similar threads


Top