Rasoolullah ﷺ Ke Name ke Sath Short me "SAW" Likhna kaisa


Abdul Adil

Member
Topic :- Rasoolullah ﷺ Ke Name ke Sath Short me "SAW" Likhna kaisa ?

Tahreer :- Shaikh Gulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah

Romanised :- Abdul Adil Ansari


Shaikh Gulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah se poocha gya ki English me ”صلی الله علیه وسلم“ ki jagah "SAW" likhna kaisa ?

Jawab :- Nazayez hai . mukhtasar darood ki koyi haisiyat nahi chahe wo english me ho ya koyi aur juban me Nabi ﷺ ke name ke sath ﷺ Muaqammal likhna chahiye

Hafiz Abu Al-Qasim Hamza Bin Muhammad kanani Rahimahullah ( Died - 357 H ) kahte hai 👇

Main Hadees Likha karta tha Jab Nabi ﷺ ka jikr aata to (صَلَّی اللّٰهُ عَلَيْهِ) likh deta (وَسَلَّمَ) na likhta hai ek din khawab me Nabi ﷺ ki jiyarat huyi Farmaya Darood Poora kyun nahi likhte ? uske baad jab bhi maine (صَلَّی اللّٰهُ عَلَيْهِ) likha to (وَسَلَّمَ) bhi likha

{Muqaddama Ibne Al-Shaleh Safa - 300 Wa Sanad Saheeh}

[Fatawa Amanpuri Jild - 11 Safa - 1]
 
Top