YAQINAN ALLAH TA'ALA SABIREEN KE SAATH HAI


YAQINAN ALLAH TA'ALA SABIREEN KE SAATH HAI
Tahreer: AZAM MUBAREKI
(AL-HADIS shumaarah No.74, page:49)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Irshaad-e-BAARI TA'ALA hai:

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اسْتَعِينُوا بِالصَّبْرِ وَالصَّلَاةِ إِنَّ اللَّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ
"Aye eemaan walo! sabr aur namaaz ke zariye se (ALLAH ki) madad talab karo, yaqinan ALLAH TA'ALA sabr karne walon ke saath hai."(Surah al-Baqarah:153)

FIQHUL-QURAN:
📕Dunya ki zindagi ek kadi aazmaayish hai, is liye dunya mein khushi ke saath saath takaaleef o masaayeb se bhi aksar saamna rahta hai. Dauraan-e-aazmaayish takaaleef o masaayeb ko khandah peshani se bardaasht karne walon keliye ALLAH TA'ALA ki taayeed o madad shaamil-e-haal rahti hai.

📕RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya:
إِنَّمَا الصَّبْرُ عِنْدَ الصَّدْمَةِ الأُولَى
"Sabr to sirf sadme ke shoro mein hai."(Sahih Bukhari:1283. /wa Sahih Muslim:926)

📕Hafiz Ibn Kaseer rahimahullah ne sabr ki teen aqsaam bayaan ki hain:
1)Haraam aur gunaah ke kaamon ko tark karne par sabr karna.

2)Itaa'at aur neki ke umoor sar'anjaam dene par sabr karna, ye sabr pahle se bada hai.

3)Museebat, dard aur dukh par sabr karna, ye bhi waajib hai jaise oyoub se istighfaar karna waajib hai.(Dekhiye: Tafseer Ibn Kaseer:1/127, Nuskhaye Muhaqqaqah)

📕RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya:

عَجَبًا لأَمْرِ الْمُؤْمِنِ إِنَّ أَمْرَهُ كُلَّهُ خَيْرٌ وَلَيْسَ ذَاكَ لأَحَدٍ إِلاَّ لِلْمُؤْمِنِ إِنْ أَصَابَتْهُ سَرَّاءُ شَكَرَ فَكَانَ خَيْرًا لَهُ وَإِنْ أَصَابَتْهُ ضَرَّاءُ صَبَرَ فَكَانَ خَيْرًا لَهُ
"Momin ka ajab haal hai uske tamaam umor mein bhalayi hi bhalayi hai aur ye baat momin ke ilaawah kisi dosre ko haasil nahi, agar usey khushi milti hai to woh (ALLAH ka) shukr ada karta hai, pass ye us keliye bhalaayi hai aur agar use takleef pahunchti hai to woh sabr karta hai, ye uskeliye khair hi khair hai."(Sahih Muslim:2999)

📕Namaaz padhne se insaan ko buraayion ke khilaaf mudafiat karne mein taqwiyat haasil hoti hai jaisa ke irshaad-e-BAARI TA'ALA hai:

إِنَّ الصَّلَاةَ تَنْهَى عَنِ الْفَحْشَاءِ وَالْمُنْكَرِ
"Yaqinan namaaz be-hayaayi aur munkaraat se rookti hai."(Surah al-Ankaboot:45)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Israr Hussain Al-Wahhabi Ta’leem o Ta’allum 0

Similar threads


Top