Rizq Ki Kunjiya


Abdul Mussavir

New member
بسم الله الرحمن الرحيم

Rizq ki Kunjiya
Tehreer :- Muhammad Waseem Umari

Source :- Nawa -e -Islam magazine April 2019
Romanised :- Abdul Mussavir


Allah سبحانه وتعالى sab ka khaliq wa Malik hai wa raaziq hai, rizq aur har tarah ke khazane Allah hi ke pass hai :-

وَ اِنۡ مِّنۡ شَیۡءٍ اِلَّا عِنۡدَنَا خَزَآئِنُہٗ ۫ وَ مَا نُنَزِّلُہٗۤ اِلَّا بِقَدَرٍ مَّعۡلُوۡمٍ ﴿۲۱
(Surat-Al-Hijr)
Aur jitni bhi cheezen hain unn sab kay khazaney humaray pass hain aur hum her cheez ko uss kay muqarrar andaz say utartay hain.
Allah تعالى hi sab ko rozi dene wala hai, usi ne bando ke rizq ki zimmedari li hai .

مَاۤ اُرِیۡدُ مِنۡہُمۡ مِّنۡ رِّزۡقٍ وَّ مَاۤ اُرِیۡدُ اَنۡ یُّطۡعِمُوۡنِ ﴿۵۷)
(Surah-Zaariyat)
Na mein inn say rozi chahta hun na meri yeh chahat hai kay yeh mujhay khilayen.
اِنَّ اللّٰہَ ہُوَ الرَّزَّاقُ ذُو الۡقُوَّۃِ الۡمَتِیۡنُ ﴿۵۸﴾
Allah taalaa to khud hi sab ka rozi rasan tawanaee wala aur zor awar hai

Allah ke khazane ne koi kami nhi hai agar har insaan uski mangi hui cheej de de phir bhi uske khazane me itni bhi kami nhi aygi jitni samandr me se koi dooba kar nikala jaye.
Quran aur hadees me rizq ke asbaab

1) Allah تعالى par imaan

وَ لَوۡ اَنَّ اَہۡلَ الۡقُرٰۤی اٰمَنُوۡا وَ اتَّقَوۡا لَفَتَحۡنَا عَلَیۡہِمۡ بَرَکٰتٍ مِّنَ السَّمَآءِ وَ الۡاَرۡضِ وَ لٰکِنۡ کَذَّبُوۡا فَاَخَذۡنٰہُمۡ بِمَا کَانُوۡا یَکۡسِبُوۡنَ ﴿۹۶﴾
( Surah-Al-Aeraaf)

Aur agar unn bastiyon kay rehney walay eman ley aatay aur perhezgari ikhtiyar kertay to hum unn per aasman aur zamin ki barkaten khol detay lekin unhon ney takzeeb ki to hum ney unn kay aemaal ki waja say unn ko pakar liya.

2) Taqwa

Ya'ni Allah ne jin kaamo se roka unse ruka jaye aur jinhe karne ka hukm diya usse kiya jaaye.

وَ مَنۡ یَّتَّقِ اللّٰہَ یَجۡعَلۡ لَّہٗ مَخۡرَجًا ۙ﴿۲﴾

aur jo shaks Allah say darta hai Allah uss kay liye chutkaray ki shakal nikal deta hai.

وَّ یَرۡزُقۡہُ مِنۡ حَیۡثُ لَا یَحۡتَسِبُ ؕ وَ مَنۡ یَّتَوَکَّلۡ عَلَی اللّٰہِ فَہُوَ حَسۡبُہٗ

Aur ussay aisi jagah say rozi deta hai jiss ka ussay guman bhi na ho aur jo shaks Allah per tawakkal keray ga Allah ussay kafi hoga.
(Surah Talaaq 2-3)

3) Astagfaar

Insaan hamesah tauba wa istegfaar kare , gunah ho gya to bhi kare aur na hua fr bhi

فَقُلۡتُ اسۡتَغۡفِرُوۡا رَبَّکُمۡ ؕ اِنَّہٗ کَانَ غَفَّارًا ﴿ۙ۱۰﴾

Aur mein ney kaha kay apney rab say apney gunha bakhswao ( aur maafi mango ) wo yaqeenan bara bakhsnay wala hay

یُّرۡسِلِ السَّمَآءَ عَلَیۡکُمۡ مِّدۡرَارًا ﴿ۙ۱۱﴾

Wo tum per aasman ko khob barsata hua chor dega

وَّ یُمۡدِدۡکُمۡ بِاَمۡوَالٍ وَّ بَنِیۡنَ وَ یَجۡعَلۡ لَّکُمۡ جَنّٰتٍ وَّ یَجۡعَلۡ لَّکُمۡ اَنۡہٰرًا ﴿ؕ۱۲﴾


Aur tumhein khob pay dar pay maal aur olaad mein taraqi dega Aur tumhein baaghat dega aur tumharay liye nikaal dega
(Nooh 10-12)

4) Shukar

ALLAH سبحانه وتعالى ne hume jo bhi nematein di hai uska shukar ada kare.

وَ اِذۡ تَاَذَّنَ رَبُّکُمۡ لَئِنۡ شَکَرۡتُمۡ لَاَزِیۡدَنَّکُمۡ وَ لَئِنۡ کَفَرۡتُمۡ اِنَّ عَذَابِیۡ لَشَدِیۡدٌ ﴿۷﴾ ( Ibrahim :7)

Aur jab tumharay perwerdigar ney tumhen aagah kerdiya kay agar tum shukar guzari kero gay to be-shak mein tumhen ziyada doon ga aur agar tum na shukri kero gay to yaqeenan mera azab boht sakht hai.

5) Infaaq (Kharch karna Allah ki raah me)

Allah ta'la ne hume jo kuch bhi diya unme se Allah ki raah me kharch krte rehna chahiye.

قُلۡ اِنَّ رَبِّیۡ یَبۡسُطُ الرِّزۡقَ لِمَنۡ یَّشَآءُ مِنۡ عِبَادِہٖ وَ یَقۡدِرُ لَہٗ ؕ وَ مَاۤ اَنۡفَقۡتُمۡ مِّنۡ شَیۡءٍ فَہُوَ یُخۡلِفُہٗ ۚ وَ ہُوَ خَیۡرُ الرّٰزِقِیۡنَ ﴿۳۹﴾
(Surah As-Saba)

Keh dijiye! kay mera rab apnay bandon mein jiss kay liye chahaye rozi kushada kerta hai aur jiss kay liye chahata hai tang ker deta hai tum jo kuch bhi Allah ki raah mein kharach kero gay Allah uss ka ( poora poora ) badla dey ga aur woh sab say behtar rozi denay wala hai.


jo asbaab hai jisse rizq ka zariya hasil hota hai ab in asbaab ke hasil ke baad kiya kare ?

1) Asbaab apnane ke baad Allahi hi par bharosa karna.

Hazrat umar bin khattab رضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaya :- (Sunan Tirmizi 2344)

قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : " لَوْ أَنَّكُمْ كُنْتُمْ تَوَكَّلُونَ عَلَى اللَّهِ حَقَّ تَوَكُّلِهِ لَرُزِقْتُمْ كَمَا يُرْزَقُ الطَّيْرُ، تَغْدُو خِمَاصًا وَتَرُوحُ بِطَانًا

Agar tum jis tarah Allah par bharosa karne ka haq hai wesa bharosa karo to tumhe wese hi rozi dega jese parindoh ko deta hai subah khali pet jaate hai aur asodah hokar laut te hai.

2) Sulah rehmi karna

Hazrat anas bin malik رضي الله عنه farmate hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaya :- (Sahi Bukhari 5986)

" مَنْ أَحَبَّ أَنْ يُبْسَطَ لَهُ فِي رِزْقِهِ، وَيُنْسَأَ لَهُ فِي أَثَرِهِ ، فَلْيَصِلْ رَحِمَهُ ".

Jo chahta hai ke uska rizq me khushadgi ho aur uski umar lambi ho to woh sulah rehmi kare.

3) Gareebo aur kamzoro par reham karna

Hazrat abu darda رضي الله عنه se marvi hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaya : - (Sunan Abu Dawood 2594)

رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ : " ابْغُونِي الضُّعَفَاءَ ؛ فَإِنَّمَا تُرْزَقُونَ وَتُنْصَرُونَ بِضُعَفَائِكُمْ

mere liye kamzoro ko talaash karle aao kyu ke tum Apne kamzoro ki wajah se rizq diye jaate ho aur madad kite jatte ho.

4) Baar baar haj umrah karna

Hazrat Abdullah bin abbas رضي الله عنه se rivayat hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaya:- (Sunan Nas'ai 2630)

قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : " تَابِعُوا بَيْنَ الْحَجِّ وَالْعُمْرَةِ ؛ فَإِنَّهُمَا يَنْفِيَانِ الْفَقْرَ وَالذُّنُوبَ، كَمَا يَنْفِي الْكِيرُ خَبَثَ الْحَدِيدِ ".

Haj wa umrah karte raho kyu ke yeh dono faqha aur gunaho ko ese mita dete hai bhatti lohe ki gandagi saf kardeti hai.

5) Allah ki ibadat ke liye farig hona ya waqt nikalna

Abu Huraira رضي الله عنه se marvi hai Rasulullah ﷺ ne farmaya :- (Sunan Ibn Majah 4107)

" يَقُولُ اللَّهُ سُبْحَانَهُ : يَا ابْنَ آدَمَ، تَفَرَّغْ لِعِبَادَتِي أَمْلَأْ صَدْرَكَ غِنًى وَأَسُدَّ فَقْرَكَ، وَإِنْ لَمْ تَفْعَلْ مَلَأْتُ صَدْرَكَ شُغْلًا، وَلَمْ أَسُدَّ فَقْرَكَ ".

Allah tala kehte hai ke aey ibn adam tu meri Ibadat ke liye farig hoja me tuje beniyaaz kardunga aur tumhari fiqr ko dur kardunga . Aur tumne esa na kiya to me tumhe mashgool kardunga aur tumhari fiqr door nhi karunga

6) Rizq ke liye dua karna.

Rizq ke asbaab me se yeh bhi hai banda Allah se dua karta rhe iss liye ke Allah ne hume dua karne ka hukm diya hai

وَ قَالَ رَبُّکُمُ ادۡعُوۡنِیۡۤ اَسۡتَجِبۡ لَکُمۡ ؕ اِنَّ الَّذِیۡنَ یَسۡتَکۡبِرُوۡنَ عَنۡ عِبَادَتِیۡ سَیَدۡخُلُوۡنَ جَہَنَّمَ دٰخِرِیۡنَ

(Surah Ghafir 60)

Aur tumharay rab ka farman ( sirzad ho chuka ) hai kay mujh say dua kero mein tumhari duaon ko qabool keroon ga yaqeen mano kay jo log meri ibadat say khudsari kertay hain woh abhi abhi zaleel hoker jahannum mein phonch jayen gay.

Kuch duaein jo Rasulullah ﷺ se sabit hai

Hazrat Tariq bin Aseem. رضي الله عنه kehte hai ke Rasulullah ﷺ ke pass ek aadmi aya aur pucha Aey Allah ke Rasul ﷺ jab me Apne rabb se mangu to kya kahu ? Aap ﷺ ne farmaya :- tum ese kehna.

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي، وَارْحَمْنِي، وَاهْدِنِي، وَعَافِنِي، وَارْزُقْنِي

(Aey Allah tu muje muaaf karde mujh par reham kar muje aafiyat de aur muje rozi de).

(Sahi Muslim 2697)

Yaad rakhiye.

Allah سبحانه وتعالى ka har kaam hikmat par mabni hai, lehaza bande ke liye rizq ki taqseem me iski hikmat wazeh hai ek dusre pe rizq me fo'qiyat ki hikmat bhi bayan farmayi hai :-

اَہُمۡ یَقۡسِمُوۡنَ رَحۡمَتَ رَبِّکَ ؕ نَحۡنُ قَسَمۡنَا بَیۡنَہُمۡ مَّعِیۡشَتَہُمۡ فِی الۡحَیٰوۃِ الدُّنۡیَا وَ رَفَعۡنَا بَعۡضَہُمۡ فَوۡقَ بَعۡضٍ دَرَجٰتٍ لِّیَتَّخِذَ بَعۡضُہُمۡ بَعۡضًا سُخۡرِیًّا ؕ وَ رَحۡمَتُ رَبِّکَ خَیۡرٌ مِّمَّا یَجۡمَعُوۡنَ ﴿۳۲﴾

Kiya aap kay rab ki rehmat ko yeh taqseem kertay hain? Hum ney hi inn ki zindagniy-e-duniya ki rozi inn mein taqseem ki hai aur aik ko doosray say buland kiya hai takay aik doosray ko matehat ker ley jissay yeh log samettay phirtay hain iss say aap kay rab ki rehmat boht hi behtar hai.(43:32)


Aur agar tamam insano ke liye rizq ki taqseem hoti to uss ke nataij kiya hote isko bhi bayan Kiya hai :-

لَوۡ بَسَطَ اللّٰہُ الرِّزۡقَ لِعِبَادِہٖ لَبَغَوۡا فِی الۡاَرۡضِ وَ لٰکِنۡ یُّنَزِّلُ بِقَدَرٍ مَّا یَشَآءُ ؕ اِنَّہٗ بِعِبَادِہٖ خَبِیۡرٌۢ بَصِیۡرٌ ﴿۲۷﴾

Agar Allah Taalaa apnay ( sab ) bandon ki rozi faraakh ker deta to woh zamin mein fasad barpa ker detay lekin woh andazay kay sath jo kuch chahata hai nazil farmata hai woh apnay bandon say poora khabardar hai aur khoob dekhney wala hai. (As-shoora 27)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Muhammed Ali Owais Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top