ROOZI SE MUTALIQ EHTIYAAT


ROOZI SE MUTALIQ EHTIYAAT
Fatwaa : FAZILAT-USH-SHAIKH HAFIZ ABDUL SATTAR AL-HAMMAD hafizahullah

Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

يَأْتِي عَلَى النَّاسِ زَمَانٌ، لَا يُبَالِي الْمَرْءُ مَا أَخَذَ مِنْهُ، أَمِنَ الْحَلَالِ أَمْ مِنَ الْحَرَامِ
"Logon par aisa waqt zaroor aaye ga ke insaan apni rozi ke mutaliq halal o haraam ki parwah nahi kere ga."(Sahih Bukhari:2059)

FAWAAYED:
Daur-e-haazir mein hamare andar hiras, tama'a aur lalach ne is qader jadain mazboot kar rakhi hain ke hum bahami lain-den ke mamlaat mein afraat o tafreet ka shikaar hain. RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne aisay halaat ke mutaliq hi bator pishin goi mazkoorah baala hadees bayan farmai hai. Chunanche hamare muashray ki aksariyat ne apni rozi ke mutaliq halal o haraam ki tameez chodh di hai. Pass ek hi dhun sawaar hai ke doulat kisi terhan jama ki jaye. RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne sood ke mutaliq ek martaba farmaya tha:

"Logon par woh waqt ane wala hai ke woh bilaa daregh sood ka istemaal karenge. Arz kya gaya : aaya sab log is waba mein mubtala hon ge? AAP sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: jo sood nahi khaye ga usay sood ki ghubaar zaroor apni lapait mein le'legi."(Musnad Ahmed:2/494)

Is hadees ki roshni mein jab hum dekhte hain to poori duniya ke logon mein sood kuch is tarha sarayat kar gaya hai jis se har shakhs shaori tor par mutasir ho raha hai. Un halaat mein agar koi musalman poori naik niyati ke sath sood se bachna chahay to usey qadam qadam par uljhanein paish aati hain. Soodi dhanda karne walay har taraf phailay howe hain aur unhon ne logon ko phansanay ke liye hum rang zameen jaal bicha rakhay hain. Un se bachao ki soorat agar namumkin nahi to mushkil zaroor hai halaank irshad BAARI TA'ALA hai:

يَا أَيُّهَا النَّاسُ كُلُوا مِمَّا فِي الْأَرْضِ حَلَالًا طَيِّبًا
"Logo! zameen mein jitni bhi halal aur pakeeza cheeze hain, inhen khao piyo."(Surah al-Baqarah:168)
 
Top